International Film Festival Of India (IFFI) Mein Controversial Movie ‘The Kashmir Files’ Ko Sakht Tanqeed Ka Nishana Banaya Gaya Hay. Yani Wo Such Jisay Propaganda Say Chupaya Ja Raha Tha, Sab Kay Samnay Aur Moun Par Keh Dia Gaya.

Ye Kaam Kia IFFI Ki Jury Mein Shamil Israeli Director Nadav Lapid Nay. Junhon Nay The Kashmir Files Ko Aik Propaganda Aur Vulgar Movie Qarar Dia Aur Kaha Ke Hum Ye Movie Dekh Kar Buhat Mayoos Huay. Ye Aik Shocking Movie Thi Jo Kisi Festival Mein Dikhanay Kay Qabil Nahi Thi. Aur Aisa Kehnay Mein Hamain Koi Sharam Nahi Hay Kyunkay Ye Movie Is Festival Ki Asal Spirit Aur Rooh Kay Khilaf Thi.

The Kashmir Files Mein Hay Kya?

The Kashmir Files Director Vivek Agnihotri Ki Movie Hay Jis Mein 90s Mein Occupied Kashmir Say Kashimiri Hindus Ki Hijrat Ko Mozoo Banaya Gaya Hay. Film Mein Hindu Right Wing Kay Propaganda Ko Haqeeqat Bana Kar Pesh Karnay Ki Koshish Ki Gai. Jis Kay Mutabiq Kashmir Mein Muslims Nay Hindu Pandits Kay Khilaf Violence Kia. Movie Mein Islamophobia Us Level Ka Nazar Aaya, Jaisa Nazi Germany Mein Antisemitism Tha.

Is Agenda-Driven Movie Ko March 2022 Mein Release Kia Gaya. Aur Phir Anti-Muslim Sentiments Apnay Urooj Par Nazar Aaey. Film Mein Hate Speech Itni Khuli Thi Dekhnay Walon Nay Musalmanon Ko Qatal Karnay Aur Un Ka Boycott Karnay Kay Mutalbay Tak Kiay.

IFFI Aik Sarkari Film Festival Hay, Jis Kay Liay Funding Ministry Of Information Aur Broadcasting Nay Ki Thi, Is Liay Wahan Stage Par Us Movie Ko Propaganda Aur Vulgar Qarar Daina BJP Kay Liay Sharmindagi Ki Baat Hogi Jo Is Film Ko Promote Karnay Mein Sab Say Aagay Thi. Kai States Nay To The Kashmir Files Kay Tax Tak Mu’af Kardiay Thay, Maslan Gujarat, Haryana, Karnataka, Uttar Pradesh, Bihar Aur Himachal Pradesh Nay, Jahan BJP Ki Governments Hain. Party Kay Kai Chief Ministers Aur Member Parliament Nay Kaha Ke ‘The Kashmir Files Sab Ko Dekhni Chahiye.”

شیئر

جواب لکھیں