FIFA World Cup To Apni Jaga Chal Hi Raha Hay Laikin Is Waqt Football Clubs Kay Bhi Apnay Hi Chakkar Chal Rahay Hain. Dunya Kay 2 Baray Footballers Is Waqt Khud Football Banay Huay Hain, Aur World's Highest Paid Footballers Mein Koi Un Say Aagay Nikal Gaya Hay.

Ronaldo Ki Kahani

World's Highest Paid Footballers
(Photo: Getty Images)

Last Year Cristiano Rolando 12 Saal Baad Manchester United Mein Wapis Aaey Thay Aur Aik Season Hi Mein Un Ki Bas Ho Gai. World Cup Say Pehlay Aik Interview Mein Unhon Nay Wo Wo Batein Kar Deen, Jin Kay Baad Ronaldo Ki MUFC Mein Koi Jaga Nahi Banti Thi. Phir Contract Terminate Hua Aur Wo Free Ho Gaey.

Ab Ronaldo Kay Samnay Saudi Arabia Ki Record 225 Million Dollars Ki Offer Hay Aur Germany Ki Bundesliga Janay Kay Bhi Chances Hain. Dekhtay Hain ‘CR7’ Kahan Jatay Hain.

Messi Dastan

World's Highest Paid Footballers
(Photo: Getty Images)

Football World Kay Doosray Bay-Taj Badshah Lionel Messi Is Waqt French Club Paris Saint-Germain Say Khel Rahay Hain. Aur Imkan Hay Ke 2022-23 Ka Season Khatam Hotay Hi Wo America Ki Major League Soccer Chalay Jaen Gay. Jahan Ka Club Inter Miami Un Ka Intezar Kar Raha Hay. Kaha Ja Raha Hay Ke Wo MLS Ki History Kay Highest Paid Player Ban Saktay Hain.

Ronaldo Aur Messi Living Legends Hain. 2018 Mein Hi Donon Nay 100 Million Dollars Ki Aamdani Hasil Ki Thi, Laikin Shayad Aap Ko Jaan Kar Hairat Hogi Kay Ke Wo Dunya Kay Sab Say Ameer Footballer Nahi Rahay. Ye Aizaz Ab Kisi Aur Kay Paas Hay. Aakhir In Do Azeem Footballers Ki Mojoudgi Mein Kaun Hay Jo Un Say Bhi Zyada Kama Raha Hay? Ye Hain France Key Kylian Mbappé!

Mbappé, Aik Naya Star

World's Highest Paid Footballers
(Photo: Getty Images)

Sirf 23 Saal Ki Umar Mein Mbappé Messi Aur Ronaldo Say Bhi Aagay Nikal Gaey Hain. Wo 2022-23 Kay Season Mein 128 Million Dollars Kamaen Gay. Yani World's Highest Paid Footballers Mein Numero Uno Ban Jaen Gay.

Mbappé Is Saal Real Madrid Ja Rahay Thay, Laikin French President Emmanuel Macron Nay Unhain Aisa Karnay Say Roka Aur Unhon Nay Paris Saint-Germain Main Hi Rehnay Ka Faisla Kia. Next 3 Years Kay Liay Kiay Gaey Agreement Kay Baray Mein Kaha Ja Raha Hay Ke Is Mein Unhin 110 Million Ki Annual Salary Milay Gi.

Phir 18 Million USD To Endorsements Alag Hain Jo Wo Nike, Dior, Hublot, Oakley Aur Panini Jaisi Companies Say Haasil Kar Rahay Hain.

Mbappé Kay Is Urooj Nay Donon Star Footballers, Messi Aur Ronaldo, Ko Peechay Chhor Dia Hay, Jo 2014 Say World's Highest Paid Footballers Mein Top 2 Positions Par Qabza Kia Bethay Thay.

Apnay Career Kay End Par Bhi Messi Aur Ronaldo Ki Star Power Buhat Zyada Hay. Andaza Lagain Lain Key 35 Saal Kay Messi Is Season Mein Bhi 120 Million USD Kamaen Gay Jabkay 37 Saala Ronaldo Bhi 100 Million USD Kama Kar Jaen Gay.

Baqi World's Highest Paid Top 10 Footballers Kaun Say Hain? Aaen Dekhtay Hain:

شیئر

جواب لکھیں