International Cricket Main Sub Say Zyada Paisa Kis Main Hay? Pakistan Aur India Kay Match Main. Kuchh Din Pehlay Hum Nay Dekha, Sub Nay Dekha. T20 World Cup Main Pakistan Aur India Ka Match Dekhnay Kay Liay Melbourne Cricket Ground Main Record 90,000 Say Zyada Fans Mojood Thay. Itnay Laug To Khud Australia Kay Matches Main Nahi Aaey. Yahi Waja Hay Ke Ab Sub Ki Raal Tapak Rahi Hay.

Raftar Bharne Do
T20 World Cup 2022 Main Pak-India Match Ko Record 90,293 Spectators Nay Dekha (Photo: AFP)

Australia Kay Sabiq All-Rounder Aur Famous Commentator Simon O’Donnell Nay Kaha Hay Ke Pakistan Aur India Ka 1 Test Match Australia Main Karwanay Kay Liay Muzakraat Chal Rahay Hain. Agar Aisa Na Ho Saka To Pakistan Aur India Kay Sath Aik Tri-Angular Series Ki Koshish Ki Jaey Gi.

Pakistan Aur India Ki Last Test Series 2007 Main Hui Thi. Yani 15 Saal Say Donon Mulkon Nay Koi Test Match Nahi Khela. Haan! 2012 Main Pakistan Ka Tour Only Bi-Lateral Series Thi, Laikin Us Main Test Koi Nahi Tha. 15 Saalon Main Donon Nay Sirf ICC Tournaments Main Hi Aik Doosray Ka Samna Kia Hay, Ya Phir Asia Cup Main Khelay Hain.

Pakistan India Test Par Barri Khabar!

Australian Radio Sen 1116 Say Baat Kartay Huay Baat Kartay Huay Simon O’Donnell Nay Kaha Ke Pak-India Match Is World Cup Ka Sub Say Barra Aur Sub Say Achha Muqabla Tha. 90,000 Say Zyada Tamashai, Wo Bhi Aik Neutral Venue Par? Jahan Jazbat Urooj Par, Muqabla Takkar Ka Aur Pressure Bhi. Ye Jis Level Ka Match Tha, Main Keh Sakta Hoon Ke Is Kay Baad Australia Main Pak-India Test Match Host Karnay Ki Baat Zaroor Hogi. Ya Phir Aik Tri-Angular Series Ka Bhi Chance Hay. Balke Kuchh Baat To Ho Bhi Chuki Hay.

Aisa Pehli Baar Nahi Hua Ke Kisi Mulk Nay Pak-India Test Ko Host Karnay Ki Offer Ki Ho. September Main England And Wales Cricket Board (ECB) Nay Bhi Kaha Tha Ke Wo Pakistan Aur India Ki Bi-Lateral Series Ki Mezbani Kay Liay Tayar Hay.

Kya India Bhi Tayar Hay?

Laikin… ! Kya India Bhi Tayar Hay? Hamain To Wo Pakistan Kay Sath Khelnay Kay Mood Main Nazar Nahi Aata. Aik Indian Website insidesport.in Kay Mutabiq BCCI Aisi Kisi Offer Ko Qubool Karnay Wala Nahi. BCCI Kay Aik Senior Official Ka Kehna Hay Ke ICC Aur Asian Events Kay Ilawa Pakistan Say Khelnay Ka Sawal Hi Paida Nahi Hota. Na Hum Pakistan Ja Rahay Hain Aur Na Us Kay Saat Kaheen Aur Khelain Ga.

“Chahay Pak-India Cricket Main Kitna Hi Interest Kyun Na Develop Ho Jaey, Laikin Hum Koi Private Company Nahi. Hum Government Rules Kay Paband Hain. Agar Wo Hamain Pakistan Say Khelnay Ki Ijazat Nahi Deti To Hum Aisa Nahi Kar Saktay.”

Phir Ye Bhi Yaad Rakhain Ke Abhi Kuchh Din Pehlay Hi India Nay Asia Cup 2023 Kay Liay Pakistan Aanay Say Inkaar Kar Dia Tha. T20 World Cup Say Kuchh Din Pehlay BCCI Kay Secretary Jay Shah Nay Kaha Tha Ke Indian Cricket Team Asia Cup Khelnay Pakistan Nahi Jaey Gi. Is Liay Tournament Kisi Neutral Venue Par Shift Kia Jaey.

Ab Dekhna Ye Hay Kis Ki Zidd Pakki Hay? India Ki ‘Main Na Manoon'? Ya Pakistan Aur Dunya Ki Doosri Barri Cricket Powers Ki?

شیئر

جواب لکھیں