Asia Cup 2023 Pakistan Main Hoga, Laikin Kia Ye Waqai Ho Bhi Paey Ga? Kiunke India To Pakistan Nahi Aanay Wala.

India Nay Aakhri Baar Pakistan Ka Tour Asia Cup 2008 Kay Liay Kia Tha. Us Kay Baad 14 Saal Ho Chukay Hain, Wapis Nahi Aaya. In Saalon Main Halaat Kitni Tezi Say Aur Kitnay Ziada Badlay Hain, Ye Sab Jantay Hain. Is Liay India Kay Aanay Ka Chance To Waisay Hi Nahi Tha, Bus Social Media Par Aisi News Garam Theen Ke India Ab Aaya, Ke Tab Aaya.

Laikin Aaj Aisi Sab Baaton Ki Haqeeqat Samnay Aa Gai. Board Of Control For Cricket In India (BCCI) Kay Secretary Jay Shah Nay Saaf Keh Dia Hay Ke Agla Asia Cup Neutral Venue Par Hoga. Hum Nay Faisla Kar Lia Hay Ke Pakistan Nahi Jaen Gay.

Jay Shah Asian Cricket Council (ACC) Kay President Bhi Hain, Yani Ye Faisla Ab Change Honay Wala Nahi.

Future Tours Program (FTP) Kay Mutabiq Next 3 Years Main 2 Barray Events Pakistan Main Honay Hain. Jin Main Asia Cup Bhi Shamail Hay, Ya Keh Lain Ke Tha. Phir 2025 Main Champions Trophy Bhi Pakistan Main Hogi.

Last Years Main Cricket Ki Sab Top Teams Pakistan Ka Tour Kar Chuki Hain, Aur Kuchh Karnay Wali Hain. To India Kab Tak Pakistan Say Bhagay Ga? Kia Asia Cup Kay Baad Champions Trophy Bhi Nahi Khelay Ga?

Khair, Ye To Door Ki Baat Hay, Abhi To Ye Dekhna Hay Ke Pakistan Kia Reaction Deta Hay?

شیئر

جواب لکھیں