Taleem Buhat Zaruri Hai, Par Sahi Education Us Se Bhi Ziada Zaruri Hai. Hamara Educational System Hamesha Se Ek Hi Pattern Par Chalta Aa Raha Hai, Na Students Ko Parwa Hay Aur Na Teachers Ko. Is Liay Education System Say Students Ka Potential Bahar Nahi Aa Raha.
Students Kehtay Hain:
“School Time Waste Kar Raha Hai."
"Mein Algebra Kyun Parhoon Jab Mujhe Samajh Hi Nahi Aata?"
"In Subjects Ki Real Life Implementation Kahan Hogi?"
Aakhir Hamare Education Systems Ka Masla Kya Hay? Aayen Dekhtay Hain:
Teachers Certified, Not Qualified
Students Ki Attention Haasil Karna Kisi Bhi Teacher Ke Liye Buhat Zaruri Hai. Is Se Ek Friendly Environment Create Hota Hai. Aap Ki Life Mein At Least Ek Teacher To Aisa Hoga Ya Hogi, Jis Nay Aap Ki Attention Sahi Say Hasil Ki, Aur Aap Jantay Hain Ke Aap Ko Un Subject Seekhnay Mein Asaani Rahi Hogi.
Aik Acha Teacher Apne Students Se Interact Karna Janta Hay, Aur Yahi Us Ki Teaching Skill Hay. Laikin Hamaray Haan Zyada Tar Teachers Ki Hiring Kis Base Par Hoti Hai? Memory Skills Aur Certifications Par.
Saara Kaam Yaheen Say Kharab Hota Hay. Teachers Ke Pass Certification To Hay, Laikin Students Ki Attention Gain Karna Ka Hunar Nahi. Course Dry Aur Mentally Unattended Reh Jaata Hai. Isi Liye Zaroori Hai Ke Course Certifications Ke Sath Sath Teaching Quality Certification Bhi Ho.
Reacted, Not Responded
Students Ko Zyada Tar Input And Output Learning Method Se Parhaya Jaata Hai. Yani "Jab Tumse Ye Sawal Poocha Jaye To Tum Ye Jawab Daina." Yaani Sab Kuch Reaction Based Kia Jata Hay Aur Students Ko Proper Understanding Nahi Di Jaati.
Is Method Se Jawab To Sahi Hasil Ho Jaate Hein, Par Cognitive Development Ki Maut Ho Jaati Hai.
Cognitive Development Ek Young Student Mein Us Ability Ko Kaha Jaata Hai Jis Se Wo Sochte Hein, Waja Dhondte Hein, Unki Curiosity Barhti Hai Aur Phir Ek Proper Response And Understanding Generate Hoti Hai. Aap Agar Iska Hi Khaatma Kar Deinge Tou Ek Student Hamesha “From The Group” Hi Rahega, Aik Individual Mushkil Se Hi Banega.
What To Learn, Not “How” To Learn:
Insaan Har Waqt Kuch Na Kuch Learn Kar Hi Raha Hota Hai, Chahe Studies Se Related Ho Ya Na Ho.
Young Minds Se Hamesha Ye Bola Jaata Hai Ke Ye Learn Karo, Wo Learn Karo, Par Koi Ye Nahi Batata Keh Asal Learning Technique Hoti Kiya Hai.
Cognitive Skills Ke Sath Ek Attention Skill Bhi Hai Jo Insan Ke Learning Pattern Mein Buhat Important Role Play Karti Hai. Kisi Topic Ko Bagher Kisi Attention Ke, Bagher Kisi Proper Learning Practice Ke Apnay Andaz Mein Karne Se Bacha Kuch Seekhey Ga, Na Aagaey Barhe Ga.
Is Liye Ye Buhat Zaruri Hai Ke Jab Teachers Koi Subject Present Karein Tou Ye Zarur Batayein Ke Is Subject Ko Practice Mein Kese Laya Jaye.
Conclusion
Education Aur Intelligence Donon Knowledge Se Connected Hein Par, Jis Tareeqe Se Ek Insaani Dimagh Kaam Karta Hai Wo Thora Alag Hai. Intelligence Ko Aap Ek Student Par Force Karke Nahi Laa Sakte, Ye Over Time Khud Hi Develop Ho Jaati Hai.
Dusri Taraf Education Force Karne Se Aa Tou Jaati Hai, Par Baad Mein Zaya Bhi Ho Jaati Hai Aur Ek Student Proper Intellectual Nahi Ban Pata.
To Education System Ko Information Feeding Kay Bajaey Student Development Par Ziada Focus Karna Chahiye.