2022 Ka Saal Khatam Ho Raha Hay. Ye Saal Pakistanion Ke Liye Khasa Hungama Khez Raha. Is Aik Saal Main Mulk Main Bohat Si Tabdeeliyan Aayeen. Tabdeeli Sarkar Ke Bajaye PDM Ki Hukumat Ban Gayi. Shikwa Karnay Walay Kehtay Hain Ke Awam Ki Halat Nahi Badli. Aisa Nahi Hay, Awam Ki Zindagiyon Main Bhi Bohat Tabdeeli Aayi Hay. Ye Baat Aur Hay Ke Tabdeeli Positive Ke Bajaye Negative Rahi Hay. Petrol, Bijli, Gas, Food Items Aur Dusri Cheezon Ki Mehngai Ne Awam Ko Din Main Taray Dikha Diye Hain.

2022 Pakistanion Ko Kya De Kar Ja Raha Hay?

January 2022

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 1

7 January: Murree Main Aik Saniha Pesh Aaya. Shadeed Barfbari Main Local Tourist Ki Gariyan Phans Gayeen. Logon Ne -8 Degree Celsius Main  Raat Sarkon Per Guzari. Is Dauran Shadeed Sardi Aur Garion Main Dhuwan Bhar Janay Se At Least 23 Afrad Ki Jaan Gai.

20 January: Lahore Ke Elaqay Anarkali Main Motorcycle Bomb Blast Hua. Dhamakay Main 3 Afraad Jan-Bahaq Aur 20 Se Zyada Zakhmi Huay. Dhamakay Ki Zimmedari Baloch Nationalist Army Ne Qabool Ki.

February 2022

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 2

2 February: Karachi Main Lumpy Skin Disease Ka Outbreak Hua. Gaey Bhenson (Cattles) Ki Ye Beemari Sab Se Pehlay November 2021 Main Jamshoro Main Notice Ki Gayi Thi. Sindh Ke Baad Ye Punjab Main Bhi Pheli. March 2022 Main Is Ke Liye Vaccine Import Ka Approval Diya Gaya.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 3

27 February: PPP Chairman Bilawal Bhutto Zardari Ne Karachi Se Long March Ka Aagahz Kiya. Is March Ko ‘Mehngai Mukao March’ Ka Naam Bhi Diya Gaya Tha. March Ka Maqsad PTI Government Ko Hatana Tha. Bilawal Ka Qafila 8 March Ko Islamabad Pohncha. Isi March Ke Dauran Khitab Main Bilawal Ne ‘Kanpen Taang Jati Hain’ Wala Famous Jumla Ada Kiya Tha.

March 2022

2 March: Quetta Ke Fatima Jinnah Road Per Mobile Ke Qareeb Blast Main 3 Afrad Janbahaq Aur 20 Se Zyada Zakhmi Huay. Phir 4 March Ko Sibbi Main Suicide Hamlay Main 5 Afrad Jan-bahaq Huay. FC Ke 6 Aur Police Ke 10 Ehalkaron Samait 20 Se Zyada Afrad Zakhmi Bhi Huay. 15 March Ko Bhi Sibbi Main FC Ke Convoy Ke Qareeb IED Blast Hua Jis Main FC Ke 4 Jawan Shaheed Huay.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 4

4 March: Peshawar Ke Qissa Khwani Bazar Ki Masjid Main Jummay Ki Namaz Ke Dauran Suicide Hamla Kiya Gaya. Dhamakay Main 65 Namazi Jan-Bahaq Aur 200 Se Zyada Zakhmi Huay. Hamlay Ki Zimmedari Daesh Khorasan Ne Accept Ki.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 5

9 March: India Ke Shehar Haryana Se Chalaya Gaya Aik Cruise Missile Brahmos Pakistan Ke Elaqay Mian Channu Main Gira. Missile Girnay Se Koi Jani Nuqsan To Nahi Hua, Laikin Is Missile Nay Pakistani Territory Main 124 Kilometers Ka Safar  3 Minute 44 Second Main Tay Kiya. Pakistan Ne India Se Sakht Protest Kiya. India Ne Apni Investigation Ke Baad Kaha Ke Missile Accidentally Fire Hua Tha.

April 2022

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 6

3 To 11 April: Imran Khan Ke Khilaf National Assembly Mian Opposition Ki No Confidence Motion Ko Speaker Qasim Suri Ne Dismiss Kar Diya. Un Ka Kehna Tha Ke No Is Beruni Sazish Thi. Usi Din PM Imran Khan Ki Advice Per President Arif Alvi Ne National Assembly Dissolve Kar Di. Speaker Aur President Ke Iqdam Per Supreme Court Ne Suo Moto Liya. Court Ne 4 Din Baad 5-0 Se Faisla Sunya Ke No Confidence Motion Ka Dismissal Aur Assembly Ki Dissolution Unconstitutional Thi. Supreme Court Ne National Assembly Ko Reinstate Kia Aur No Confidence Motion Per Counting Karanay Ka Hukm Diya. Phir 10 April Ko No Confidence Motion Per Voting Hui Aur Imran Khan Hukumat Khatam Ho Gai. Wo Pakistan Ke First Prime Minister Banay Jinhain No Confidence Motion Se Hataya Gaya. 11 April Ko Assembly Ne Shehbaz Sharif Ko Naya Prime Minister Select Kar Liya.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 7

1-30 April: Punjab Assembly Main Bhi Opposition Ne No Confidence Movement Jama Karai Thi Magar Usman Buzdar Ne 1st April Ko Resign Kar Diya Tha. Us Ke Baad Punjab Main Bhi Khoob Jor Tor Hua. Q League 2 Tukron Main Batt Gayi. 16 April Ko Voting Hui To Hamza Shehbaz Ne 197 Vote Liye Jin Main Se 25 PTI Ke Members Ke Thay. House Main Khoob Protest Aur Violence Hua. Hamza Shehbaz Ne 30 April Ko Chief Minister Ka Oath Liya. PTI Ne Apnay Party Members Ki Floor Crossing Ke Khilaf Court Main Petition File Kar Di.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 8

26 April: Karachi University Main Aik Khatoon Suicide Bomber Ne Blast Kiya. Jis Ke Natijay Main Confucius Institute Ke Chinese Director Aur 2 Chinese Teacher Jaan Se Gaye. Hamlay Ki Responsibility Baloch Liberation Army Ne Qubul Ki.

May 2022

17 May: Punjab Ki Political Situation Par Supreme Court Ne Faisal Diya Ke Party Ke Faislay Ke Khilaf Vote Dene Walay Member Ka Vote Count Nahi Ho Ga, Aur Party Chahay Tou Un Ko De-Seat Kara Sakti Hay. Is Faislay Ke Baad Hamza Shehbaz Ka CM Ka Election Invalid Ho Gaya.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 9

25 May: PTI Chairman Imran Khan Ne Apnay Ouster Ko Foreign Sazish Ka Natija Qarar Diya. PDM Ki Hukomat Ko Unhon Ne Imported Hukumat Ka Naam Diya Aur Us Ke Khilaf Musalsal Protest Kartay Rahay. May Main Unhon Ne Government Ke Khilaf Azadi March Ka Elan Kiya. 25 May Ko Un Ka Qafla Islamabad Pohncha. Supreme Court Ne Red Zone Main Protest Na Karnay Ka Hukm De Rakha Tha Phir Bhi PTI Ke Saikron Workers D Chowk Pohnchay. Police Ne Un Per Shelling Aur Baton Charge Kiya. Imran Khan Ne Dharna Na Denay Ka Elan Kiya Aur Protest Call Off Kar Diya.

June 2022

1 June: Federal Shariah Court Ne Mulk Se Usury (Interest) System Khatam Karnay Ka Hukm Diya.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 10

4 June: Shangla Ke Forest Main Aag Lagi Jis Se Rescue Ehlkar Samait 5 Afrad Jan-Bahaq Ho Gaye. June Main KP Ke Deegar Elaqon Ke Janglaat Main Bhi Aag Lagi Jis Se Hazaron Acre Per Janglaat Tabah Ho Gaye.

8 June: Balochistan Ke District Qilla Saifullah Main Bus Khai Main Gir Gayi. Hadsay Main Aik Hi Family Ke 12 Afrad Samait 22 Log Jan Se Gaye. Muta'sira Bus Loralai Se  Zhob Ja Rahi Thi.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 11

14 June: June Ke Dusray Haftay Se October Tak Pakistan Main Barishon Ka Silsila Jari Raha Jis Ke Natijay Main Mukhtalif Elaqon Main Sailab Ne Shadeed Tabahi Machayi. 1800 Se Zyada Afrad Maaray Gaye. Lakhon Log Be Ghar Ho Gaye. Flood Se $15 Billion Ka Damage Aur $15 Billion Dollar Ka Economic Loss Hua. Flood Ne Sab Se Zyada Tabahi Sindh Main Machai.

July 2022

17 July: Punjab Main De-Seat Honay Walay 20 Members Ki Constituencies Main By-Election Huay. PTI Ne 15 Seats Jeet Leen.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 12

18 July: Punjab Ke Elaqay Sadiqabad Main Baraat Ki Kashti Darya-e-Sindh Main Doob Gayi. Aurton Aur Bachon Samait 50 Se Zyada Afrad Jan Bahaq Huay.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 13

22-27 July: Punjab Main Naye CM Ke Liye Voting Hui. Pervaiz Elahi Ne 186 Aur Hamza Shehbaz Ne 179 Vote Liay, Lekin Deputy Speaker Ne PML Q Ke 10 Vote Reject Kar Diye. Kiun Ke Party Head Chaudhry Shujaat Ne Apnay Members Ko Hamza Shehbaz Ko Vote Denay Ka Kaha Tha. 26 July Ko Supreme Court Ne Deputy Speaker Ki Ruling Ke Khilaf Faisla Dia. 27 July Ko Pervaiz Elahi Ne CM Punjab Ka Oath Liya.

August 2022

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 14

1 August: Balochistan Ke Elaqay Lasbella Main Army Helicopter Crash Ho Gaya. Hadsay Main Corps Commander Balochistan Lt. General Sarfaraz Ali Samait 6 Army Personnel Shaheed Ho Gaye.

2 August: Election Commission Ne PTI Foreign Funding Case Ka Faisla Sunaya Ke PTI Ke Khilaf Prohibited Funding Lenay Kay Allegation Sabit Ho Gaye Hain. PTI Ne Verdict Ko Supreme Court Main Challenge Karnay Ka Elan Kiya.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 15

16 August: Multan-Sukkur Motorway M5 Per Sleeper Bus Aur Oil Tanker Main Collision Hua, Jis Main 20 Afraad Jan-Bahaq Huay.

September 2022

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 16

24 September: Pakistan Main Audio Leaks Ka Naya Khel Shuru Hua. Prime Minister’s Office Ki Kai Audios Viral Hueen. Jin Main Prime Minister Shehbaz Sharif Aur Ex Prime Ministers Imran Khan Ki Audios Shamil Theen. Hacker Ne Claim Kiya Ke Us Ke Paas Aur Bhi Audios Hain.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 17

13 October: Multan Ke Nishtar Hospital Ki Roof Se Saikron Bodies Milnay Ka Scandal Samnay Aaya.

16-30 October: National Assembly Ki 9 Aur Punjab Assembly Ki 3 Seats Per By-Election Huay. PTI Ne Landslide Victory Hasil Kartay Huay National Assembly Ki 9 Main Se 7 Aur Punjab Ki 3 Main Se 2 Seats Jeet Leen.

2022; Arshad Sharif Assassination
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 18

23 October: Pakistan Ke Famous Journalist Aur tv Anchor Arshad Sharif Ko Kenya Main Police Ne Qatal Kar Diya.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 19

28 October: PTI Ke Chairman Imran Khan Ne Hukumat Ke Khilaf Azadi March II Ka Aghaz Lahore Se Kia. Imran Khan Ka Mutalba Tha Ke Mulk Main Fori Taur Per Naye Election Karaye Jayen.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 20

30 October: PTI Long March Ki Coverage Karnay Wali Khatoon Reporter Sadaf Naeem Jan-bahaq Hueen. Allegedly Wo Imran Khan Ke Truck Per Charna Chahti Theen Ke Disbalnce Ho Kar UsiTruck Ke Pahiye Ke Neechay Aa Gayeen.

November 2022

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 21

3 November: Former Prime Minister Imran Khan Per Qatilana Hamla Hua. Wo Azadi March Ke Dauran Wazirabad Main Apnay Container Par Kharay Thay Ke Aik Shaks Ne Un Per Firing Kardi. Imran Khan Ke Pair Main Do Jaga Goliyan Lageen. Dusray Leaders Ko Bhi Zakhm Aaye. Firing Karnay Walay Mulzim Naveed Ko Pakar Liya Gaya Jis Ne Kaha Ke Ye Us Ka Individual Iqdam Tha. PTI Ka Claim Hay Ke Firing 2 Afrad Ne Ki Aur Ye Planned Attack Tha.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 22

16 November: KP Ke Elaqay Laki Marwat Main TTP Ke Attack Main 6 Police Officials Jan-Bahaq Huay.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 23

29 November: General Qamar Javed Bajwa 6 Saal Army Chief Rehnay Ke Baad Retire Ho Gaye. General Asim Munir Pakistan Ke 17th COAS Banay.

30 November: Quetta Main Police Truck Per Suicide Attack Kiya Gaya. 3 Police Officials Jan-Bahaq Aur 23 Ehalkaron Samait 27 Afrad Zakhmi Huay.

December 2022

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 24

18 December: KP Ke Elaqay Bannu Main Counter Terrorism Department Ke Police Station Per Terrorist Ne Qabza Kar Liya Aur 20 Se Zyada Logon Ko Hostage Bana Liya. ISPR Ke Mutabiq Ye Terrorist CTD Center Main Under Investigation Thay. CTD Ke Operation Ke Baad 25 Terrorist Ko Halak Kar Diya Gaya Jabkay 2 Soldiers Janbahq Huay.

Raftar Bharne Do
2022; Pakistan Main Kya Kya Hua? 25

23 December: Islamabad Ke I-10 Main Aik Taxi Main Suicide Blast Se Aik Policeman Janbahq Aur Kai Afrad Zakhmi Ho Gaye.

شیئر

جواب لکھیں