Aajkal Pakistani Siyasat Main Audio Leaks Ne Bhonchal Paida Kar Rakha Hay. Guzishta Saal Bhi Maryam Nawaz Aur Sabiq Chief Justice Saqib Nisar Ki Mubiyana Audio Samnay Aai Theen Lekin Is Baar Muamla Gambheer Hay Kiun Ke Pehlay Infiradi Phone Call Leak Ho Rahi Theen, Ab Wazir-e-Azam House Main Ki Janay Wali Guftgu Leak Ki Ja Rahi Hain.
Ye Audio Kaun Leak Kar Raha Hay? Se Ziyada Eham Sawal Ye Hay Ke Aik Nuclear Power Mul Ke PM House Main Audios Record Kis Ne Keen? Phir Un Recording Ka Sara Data Kahan Rakha Gaya Hay? Kia Kisi Hacker Ne Us Data Tak Rasai Hasil Ki Ya Record Karnay Walay Khud Hi Usay Leak Kar Rahe Hain?
Audio Leaks Ka Naya Khel Shurua Hua 20 August 2022 Ko Jab Aik Data Hacking Ki Mashhoor Website Per “Indishell” Nami Hacker Ne PM House Ki Audio Ka Data Farokht Ke Liye Paish Kiya. Hacker Ka Dawa Hay Ke Us Ke Pass 8 GB Ka Data Hay. Us Hacker Ne Sample Ke Taur Per Jo Audios Paish Keen Un Main Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif Ki KI Sarkari Afsar Se Guftgu, Maryam Nawaz Ki Shehbaz Sharif Se Guftgu Aur Wifaqi Wuzra Aur Chief Election Commissioner Ki Baat Cheet Shamil Thi. Hacker Ne Tamam Data Ke Liye 180 Bitcoin Ka Mutalba Kiya Jo Taqreeban 78 Crore Pakistani Rupay Se Zaid Bantay Hain. Logon Ke Sawalat Per Hacker Ka Dawa Tha Ke Data Main Army Chief Ki Baat Cheet Bhi Shamil Hay.
Shehbaz Sharif Ne Press Conference Main Tasdeeq Kar Di Ke Audios Asli Hain. Unhon Ne Aik Inquiry Committee Bananay Ka Bhi Elan Kia.
PM House Main Shebaz Sharif Maryam Nawaz Aur Deegar Ki Audio Release Honay Ke Kuch Hi Din Baad Imran Khan Ki Bhi Aik Audio Samnay Aa Gayi Jis Main Wo Sifarati Cypher Ke Baaray Main Baat Kar Rahe Thay. Imran Khan Ne Bhi Apni Audio Ki Tardeed Nahi Ki Bulke Kaha Ke Leak Audio Ne Un Ka Mauqif Durust Sabit Kar Diya Hay.
Sabiq Wifaqi Wazir-e-Ittelaat Fawad Chaudhry Ne Audio Leaks Ko Security Idaron Khusoosan IB Ki Nakami Qarar Diya.
Udhar Maujuda Wazir-e-Dakhla Rana Sana Ullah Ne Security Idaron Ko Clean Chit De Di Hay Ke Is Main Koi Agency Mulawis Nahi.
Isi Dauran Imran Khan Ki Aik Aur Mubaiyyana Audio Bhi Samnay Aa Gai Jis Main Wo Vote Of No Confidence Aur Number Game Ki Baat Ho Rahi Thi. Aik Jaga Imran Khan Ye Kehtay Sunai Diye Ke Unhon Ne 5 Khareed liye Hain. Mukhalifeen Ye Ilzam Laga Rahe Hain Ke Imran Khan MNAs Ko Khareednay Ki Baat Kar Rahe Hain. Magar PTI Ke Rehnumaon Ne In Ilzamat Ki Tardeed Ki Hay. Khud Imran Khan Jinhon Ne Pichli Audios Ki Tardeed Nahi Ki Thi Is Audio Ko Edited Qarar De Rahay Hain. Unhon Ne Aik Jalsay Main Nawaz Sharif Ki Edited Audio Chala Kar Awam Ko Bataya Ke Fake Audios Is Tarah Taiyyar Ki Jati Hain.
In Audio Leaks Ke Bawajood Imran Khan Ki Maqbuliat Main Bazahir Koi Kami Nazar Nahi Aai Hay. Log Un Ke Jalson Main Ab Bhi Bari Tadad Main Shareek Ho Rahe Hain Aur PTI Ke Haami Social Media Per Apne Leader Ka Difaa Kartay Nazar Aatay Hain.
Dono Janib Ke Rehnumaon Ki Audio leaks Se Andaza Hota Hay Ke PM House Ki Audio Recording Ka Data Dono Ke Paas Hay. Shatranj Ki Tarah Aik Chaal PML N Chalti Hay Tou Dusri Chaal PTI Ki Taraf Se Chali Jati Hay. Yahan Phir Wohi Sawal Paida Hota Hay Ke Aik Atomic Mulk Ke PM House Main Itna Bara Security Breach Kese Hua? Siyasi Jamaten Is Per Point Scoring Tou Kar Rahi Hain Magar Ab Tak Na Kisi Ne Judicial Commision Bananay Ka Mutalba Kiya Na Koi Adalat Gaya Ke Mulk Ke Wazir-e-Azam Ke Drawing Room Ko Tou Mehfooz Rehne Diya Jaye. Shehbaz Sharif Bhi Shikwa Kar Chukay Hain Ke Aise Main Koi Ghair Mulki Dost PM House Main Kis Tarah Khul Kar Baat Kar Sakay Ga.
Zarurat Is Baat Ki Hay Ke In Audio Leaks Ki Tehqiqat Kar Ke Zimmedaron Ko Qanoon Ke Mutabiq Saza Di Jaye Kiun Ke Ye Sirf PTI Aur PML N Ka Nahi Mulk Ki Qaumi Salamati Ka Muamla Hay.