T20 World Cup Aa Nahi Raha, Balkay Aa Chuka Hai! Yeh Hoga Shandaar Cricket Ka Aik Jandaar Season. Aisi Cricket Jis Mein Ghalti Ki Gunjaish Bilkul Nahi. Yeh Test Nahi Hai Ke Do Innings Khailnay Ko Mil Jaen. One Day Bhi Nahi Ke Poooray Din Ka Muqaabla Ho. Yeh T20 Hai Bhai! Zara Si Ghalti Hui, Aur Match Hathon Se Gaya.
Yahi Wajah Hai Ke T20 Format Mein Chhoti Aur Barri Teamon Ke Darmiyan Farq Bohat Kam Reh Jata Hai. 2007 Se Le Kar Ab Tak T20 World Cup Tournaments Mein Hamein Kai Upset Dekhnay Ko Miley Hain. Jab Chhoti Teamon Ne Barray Karname Kiye, Ya Yun Keh Len Ke Choonti Ne Hathi Ka Shikar Kar Liya.
Yeh Silsila Pehlay T20 World Cup Se Hi Shuru Ho Gaya Tha, Jis Mein Zimbabwe Ne Haraya Tha Australia Ko. Is Match Main Australia Ne Pehlay Batting Ki Thi Aur Sirf 19 Runs Par Hi Us Ke Teen Out Ho Gaye. Andrew Symonds Aur Brad Hodge Ne Innings Ko Kuch Sanbhala, Lekin Barra Zore Laga Kar Bhi 138 Runs Tak Hi Pahonch Sakay.
Pehla Upset
Zimbabwe Ke Liye To 139 Runs Ka Target Bhi Aasaan Nahi Tha, Kyunkay Australia Ki Bowling Bohat Tagrri Thi. Aik Taraf One Of The Fastest Bowler Brett Lee Thay To Doosri Taraf Mitchell Johnson Aur Nathan Bracken. Par Zimbabwe Ne Kamaal Kar Diya. Brendan Taylor Aakhir Tak Jamay Rahay Aur 45 Balls Par Not Out 60 Runs Banaye. Zimbabwe Aakhri Over Mein Target Tak Pahonch Gaya. Yun Hua T20 World Cup Ki History Ka Pehla Barra Upset.
Netherlands, Lord’s Ka Lord
2009 Mein Agla T20 World Cup Hua, Jis Mein Netherlands Ban Gaya Lord's Ka Lord! Aur Haraya England Ko. Yeh Koi Low-Scoring Match Nahi Tha. 163 Runs Ko Chase Karte Hue Netherlands Ne Barri Himmat Dikhayi. Tom De Grooth Ne Banaye 30 Balls Par 49 Runs, Phir Peter Borren Aur Ryan Ten Doeschate Ne Pohanchaya Manzil Tak. Aakhri Baal Par Overthrow Ke Run Ke Sath Netherlands Jeet Gaya. Yun Hua T20 World Cup Ka Doosra Bara Upset!
Yak Na Shudd, Do Shudd!
Mazay Ki Baat Yeh Ke Aisa Sirf Aik Baar Nahi Hua, Balkay 2014 Mein Bhi England Isi Netherlands Se Haar Gaya Tha. Is Baar England Chase Kar Raha Tha, Aur Samnay Target Tha Sirf 134 Ka. Lekin Woh All Out Ho Gaya Sirf Aur Sirf 88 Runs Par.
Bangladesh Haara Bangladesh Main
Isi World Cup Mein Yani 2014 Mein Aik Aur Barra Upset Hua Jab Hong Kong Ne Haraya Bangladesh Ko. Herat Ki Baat Yeh Hai Ke Bangladesh Yeh Match Apne Home Ground Par Haara Tha. Is Match Main Hong Kong Ne Pehlay Bowling Ki Aur Bangladesh Ko 108 Runs Par Hi All Out Kar dia. Phir Kisi Nah Kisi Tarah Yeh Target Haasil Kar Hi Liya.
West Indies Haara Sirf 1 Match, Laikin Kis Say?
2016 Ke T20 World Cup Mein West Indies Aik Martaba Phir Champion Bana Tha. Woh Pooray Tournament Mein Sirf Aik Match Haara Tha. Lekin Haara Kis Se? Afghanistan Se. Jahan Target Tha Only 124, Aur West Indies Ki Himmat Jawab Day Gai Sirf Aur Sirf 117 Runs Par. Isay Aaj Bhi Afghanistan Ki Bohat Barri Jeet Samjha Jata Hai.
Aik Baar Phir Bangladesh
Bangladesh Ko World Cup 2021 Mein Bhi Aik Upset Ka Moun Dekhna Para. Is Martaba Usay Haraya Scotland Ne, Jis Ne 140 Runs Banaey Thay Aur Phir Bangladesh Ko 134 Runs Par Hi Roke Liya. Bangal Tigers Main Round Mein Pahonch To Gaey Lekin Wahan Saaray Matches Haar Kar Buri Tarah World Cup Se Bahar Hue.
Aap Ke Khayaal Mein T20 World Cup Ka Kon Sa Match Hai Jisay Upset Kehna Chahiye?