Cricket Mein Sab Se Khoobsurat Manzar Kon Sa Hota Hai? Kisi Batsman Ka Lagaya Gaya Six Jo Seedha Tamashaiyon Mein Ja Giray? Ya Phir Bowler Ki Taiz Gaind Par Wickten Urrnay Ka Manzar? Koi Bouncer Ya Kisi Fielder Ka Full Length Dive Maar Kar Catch Pakarrna? Yeh List Bohat Lambi Ho Sakti Hai Lekin Aik Aisa Manzar Hai Jo Sab Ko Zaroor Pasand Aata Hai: Aik Taiz Bowler Ka Lambay Run Up Ke Baad Goli Jaisi Ball Phenkna, Dil Ki Dharkanain Taiz Ho Jati Hain Yaar!

Cricket History Mein Kayi Aisay Bowlers Guzray Hain Jin Ka Run Up Dekh Kar Lagta Tha Jaisay Koi Cheeta Apne Shikaar Par Lapak Raha Ho. Aisay Bowlers Mein Pehla Naam Thay West Indies Ke Michael Holding. Holding Ka Run Up Lamba To Tha Hi Lekin Sath Hi Bohat Hi Smooth Bhi Tha. Yahi Wajah Hai Ke Inhen ‘Whispering Death’ Kehte Thay, Yani Sargoshi Karti Maut. Holding Ki Bowling Bhi Kamaal Ki Thi. Joel Garner, Andy Roberts Aur Colin Craft Ke Sath Unn Ka Tabahi Combination Tha. In Sub Ko Mila Kar ‘Fearsome Foursome’ Kaha Jata Tha.

Jab Baat Ho Longest Run Up Walay Bowlers Ki To Doosra Naam Aata Hai Australia Ke Dennis Lillee Ka. Unn Ki Fuzool Harkatein Apni Jagah, Lekin Woh Bowler Bohat Achhay Thay. Unhon Ne Test Cricket Main 355 Wickets Li Theen, Jo Uss Zamane Ka World Record Tha.

Longest Runup Walay Bowlers Mein Aik Naam West Indies Ke Wes Hall Ka Bhi Hai. Apni Debut Series Mein Indian Batting Line Ko Babar Kar Kia, Phir Pakistan Ke Khilaaf Hatrick Bhi Ki. Woh Baad Mein Siyasat Daan Bhi Banay. Kehte Thay Meri Speeches Mere Run Up Se Bhi Lambi Hain.

Phir England Ke Bob Willis Ka Run Up Bhi Bohat Bara Tha. Woh Apne Zamane Ke Aik Barray Bowler Thay. English Conditions Mein Bob Willis Ko Bowling Karte Dekh Kar Aankhein Thandi Ho Jati Theen.

Bohat Hi Lambay Run Up Walon Mein Aakhri Bara Naam Tha Shoiab Akhtar Ka. Un Ki Balls Par Rahul Dravid Aur Sachin Tendulkar Ka Out Hona Kaun Bhula Sakta Hai? Phir World Cupp ‘99 Mein Un Ke Lambay Run Up Par Urrti Hui Wickets Bhi Aaj Tak Sab Ko Yaad Hain.

Shoiab Akhtar Sirf Longest Runup Walay Bowlers Main Hi Nahi Thay, Balkay Woh Sab Se Taiz Bowler Bhi Thay. Un Ka Fastest Ball Ka Record Aaj Bhi Qaim Hai, Aur Lagta Nahi Ke Koi Bowler 161. 3 KMPH Ka Yeh Record Torr Bhi Sakay Ga. Aap Ka Kya Khayaal Hai?

شیئر

جواب لکھیں