کوئی بھی ملک جب ڈیفالٹ کرتا ہے تو اس کی کرنسی تیزی سے اپنی قدر کھونے لگتی ہے۔ خوش قسمتی سے پاکستان 75 سال کی تاریخ میں کبھی ڈیفالٹ تو نہیں ہوا تاہم بدقسمتی سے 75 سال سے پاکستان ڈالر کے مقابلے میں پاکستانی روپیا اپنی قدر مسلسل کھو رہا ہے۔ 1971 تک تو یہ کمی آہستہ آہستہ ہو رہی تھی مگر ملک ٹوٹنے کے بعد اس میں اتنی تیزی آئی کہ یہ سلسلہ آج تک نہیں رکا۔

گزشتہ کئی مہینوں سے ملک میں ڈالر نایاب ہے۔ انٹربینک اور اوپن مارکیٹ میں ڈالر کی قیمت میں بہت زیادہ فرق رہنے لگا ہے۔ انٹربینک میں ان دنوں ڈالر 285 روپے کا ہے مگر اوپن مارکیٹ میں 300 روپے سے زیادہ کا مل رہا ہے۔ آئیے دیکھتے ہیں جب پاکستان بنا تھا تو ڈالر کتنے کا تھا اور کس کس دور میں روپے کی قدر میں کتنی کمی ہوئی۔

Raftar Bharne Do

‏1947 سے 1971 تک ڈالر کتنا بڑھا؟

1947 Main Dollar 3.31 Rupee Ka Milta Tha. Pakistan Ki Economy Us Waqt Bhi Crisis Ka Shikaar Thi. 1952 Main Pakistan Ne World Bank Se Pehla Loan Liya Tha Lekin Rupee Ki Value Nahi Giri Thi. Dollar Ki Qeemat Main Pehli Baar Izafa 1955 Main Hua Aur Yeh 3.31 Se Barh Kar 3.91 Rupee Tak Pohanchi. 1956 Main Pakistani Currency Mazeed Giri Aur Dollar 4.77 Rupee Ka Ho Gaya.
Un Dinon Bhi Pakistan Main Siyasi Circus Laga Hua Tha. Siyasi Hukoomaton Ke Takhtay Ultay Ja Rahay Thay. Naye Naye Experiment Ho Rahay Thay. 3 Saal Main 5 Prime Ministers Badlay Gaye. 1958 Main Mulk Main Pehla Martial Law Lag Gaya. IMF Se Bhi Qarzay Lainay Paray Lekin Rupee Ki Value Barqarar Rahi.

Rupee Ka Downfall 1971 Ke Baad Shuru Hua

Rupee Ko Pehli Baar Sab Se Bara Jhatka 1971 Ki War Ke Baad Zulfiqar Ali Bhutto Ke Daur Main Laga. Mulk Do Tukre Ho Chuka Tha. Economy Tabah Haal Thi. Sarmaya Farar Ho Raha Tha. 1972 Main Dollar 4.77 Se Barh Kar 11 Rupee Tak Pohanch Gaya. 1973 Main Rupee Ki Value Main Kuch Behtari Hui Aur Dollar 9.90 Rupee Ka Ho Gaya. Ye Qeemat 1977 Main Bhutto Ki Hukoomat Ke Khatmay Tak Barqarar Rahi.

Raftar Bharne Do

July 1977 Main Army Cheif General Zia ul Haq Ne Bhutto Ke Khilaaf Coup Kya Aur Mulk Main Martial Law Laga Diya. Un Ke Daur Main Shuru Ke Kuch Saal Tou Rupee Apne Pairon Par Khara Raha Aur Dollar Ki Qeemat 9.90 Rupee Hi Rahi. Un Dinon Afghan War Ki Wajah Se American Aid Bhi Mil Rahi Thi Aur International Institutions Se Qarzay Bhi. Lekin 1982 Se Dollar Mehanga Hona Shuru Hua Aur 1988 Main Fazai Haadsay Main Un Ki Maut Tak Dollar 18.26 Rupee Ka Ho Chuka Tha.

1988-1999 Democratic Daur Main Bhi Dollar Be Lagam Raha

11 Saal Tak Military Rule Ke Baad Phir Jamhoori Daur Aaya Magar Rupee Ka Haal Bigarta Hi Chala Gaya. 1990 Main Benazir Ki Pehli Hukoomat Sack Ki Gayi To Dollar 21.80 Rupee Ka Ho Chuka Tha. Phir Nawaz Shareef Ne Iqtidaar Sanbhala Tou Aglay 2.5 Saal Main Rupee Mazeed Gir Gaya Aur Dollar 28.40 Rupee Tak Pohanch Gaya. Mulk Main Siyasi Afratafri Ki Wajah Se Caretaker Government Ke Daur Main Bhi Rupee Girta Raha Aur October 1993 Tak Dollar 30 Rupee Ka Ho Chuka Tha.

Raftar Bharne Do

Aglay 3 Saal Benazir Bhutto Prime Minister Raheen Aur Is Dauran Dollar 30 Rupee Se Mazeed Mehanga Ho Kar 40 Rupee Ka Ho Gaya.

Phir Nawaz Shareef Kashkol Tornay Aur Mulk Ko Asian Tiger Bananay Ka Naara Laga Kar Power Main Aaye. Dollar Ki Parwaaz Ko Magar Woh Bhi Nah Rok Sakay. Un Ke 3 Saal Main Dollar Ne Pehli Baar Half Century Banai Aur 51.7 Rupee Ka Ho Gaya.

Pakistani Rupee Ko Coalition Fund Ka Sahara

October 1999 Main Army Cheif General Pervez Musharraf Ne Nawaz Shareef Ka Takhta Ulta. Un Ke Daur Main Sirf 3 Saal Yani September 2001 Tak Dollar 64 Rupee Tak Ja Pohncha Tha. Phir 9/11 Hua, Pervez Musharraf Ne Afghanistan Par Hamlay Main America Ka Sath Diya. Is Ke Silay Main Khoob Dollar Milay Aur Aik Saal Main Dollar Dobara 57.5 Rupee Tak Agaya. Is Ke Baad Rupee Ki Qader Phir Girnay Lagi Aur March 2008 Main Pakistan Peoples Party Ki Government Qaim Honay Tak Dollar Dobara 62.75 Rupee Tak Pohanch Chuka Tha.

Raftar Bharne Do

Zardari Ki Government Main Dollar Ki Oonchi Uraan

PPP Ke 5 Sala Daur Main Dollar Ne Lambi Lambi Jumps Lagani Shuru Keen Aur Har Saal Naye Record Banaye. Pehlay Yousuf Raza Gilani Aur Phir Raja Parvez Ashraf Prime Minster Banay. Magar Rupee Ka Zawaal Na Ruka. March 2013 Main Zardari Sarkar Khatm Honay Tak Dollar 98 Rupee Ka Ho Gaya Tha.

June 2013 Main Nawaz Shareef Ke Teesri Baar Wazir-e-Azam Bantay Hi Dollar Bhi Three Digit Main Pohanch Gaya. Finance Minster Ishaq Dar Ne Aglay 4 Saal Tak Dollar Ko Ziyada High Urnay Nahi Diya Aur November 2017 Tak Dollar 105 Rupee Tak Hi Pohanch Saka. Un Ke Baad N League Ki Hukoomat Ki Muddat Poori Honay Yani 31 May 2018 Tak Dollar 115.5 Rupee Ka Ho Gaya.

Naye Election Se Pehlay Caretaker Government Bani Tou Sirf 3 Mahinay Main Dollar Mazeed 8.5 Rupee Mehanga Ho Kar 124 Rupee Ka Hogaya.

Imran Khan Aur Shehbaz Daur Main Tou Record Toot Gaye

August 2018 Main Imran Khan Prime Minister Banay. Un Ke 3 Saal 8 Mahinay Ke Daur-e-Hukoomat Main Bhi Dollar Top Gear Main Jata Raha. Dost Mulkon Se Imdaad, Qarzay Koi Cheez Dollar Ko Lagam Na Daal Saki. April 2022 Tak Dollar 189 Ka Record Bananay Ke Baad 184 Rupee Ka Ho Chuka Tha.

10 April 2022 Ko Imran Khan Ko Vote Of No Confedence Ke Zariye Hataye Jane Ke Baad Punjab Speed Ke Liye Mashhoor Shahbaz Shareef Prime Minister Banay. Guzishta 8 Mahinay Main Wo Tou Itni Speed Nahi Dikha Sakay Jitni Speed Dollar Ne Dikhai Hay. Pehlay Miftah Ismaeel Ko Finance Minister Banaya Gaya Jinhon Ne Dollar Ko Khuli Chhutti Di. Un Ke 4 Mahinay Main Dollar 184 Se 240 Ke Record Level Tak Pohanch Gaya Tha. 28 September Ko Ishaq Dar Dollar Ko 180 Rupee Tak Lanay Ka Dawa Karkay Maidan Main Utray. Un Ke Aanay Ke Baad Dollar 220 Rupee Se Neechay Aaya Lekin Forex Reserves Kam Honay Ke Baad Dollar Ki Qadar Dobara Barhnay Lagi. Ab Interbank Main Dollar 226 Rupee Ka Ho Chuka Hay.

Dollar Vs Pak Rupee Exchange Rate

State Bank Of Pakistan Ke Is Record Ke Mutabiq 75 Saal Main Dollar 75 Guna Mehnga Ho Chuka Hay. Jabkay Parvez Musharraf Ke Janay Ke Baad Se 4 Jamhoori Hukoomaton Main Dollar Ki Qeemat 400% Barh Chuki Hay. In 15 Saal Main Pakistan Ka External Debt Bhi $45 Billion Se Barh Kar $130 Billion Ho Chuka Haiy. Yani External Debt Main Bhi Almost 300% Izafa Hua Hay.

شیئر

جواب لکھیں