New Zealand Ki Cricket Team Pakistan Puhanch Chuki Hay. Pakistan Ki Us Team Ka Muqabla Karnay Jis Nay Saal 2022 Mein Home Ground Par Aik Test Match Bhi Nahi Jeeta. Yani Ab To Pakistan Hi Pakistan Ka Hunting Ground Ban Chuka Hay.
England Kay Hathon 3-0 Ki Historic Defeat Kay Baad To Koi Expect Bhi Nahi Kar Raha Ke Babar XI New Zealand Kay Against 2 Test Matches Ki Series Jeet Bhi Sakay Gi. Laikin Ye Unpredictable Pakistan Hay, Phir New Zealand Kay Against Aik Acha Record Bhi Rakhta Hay.
Donon Teams Nay 67 Saal Ki History Mein Total 60 Matches Khelay Hain, Jin Mein Say 25 Pakistan Nay Jeetay Hain Aur 14 New Zealand Nay. 21 Test Matches Draw Huay Hain.
vs | Mat | Won | Lost | Draw | |
---|---|---|---|---|---|
Pakistan | New Zealand | 60 | 25 | 14 | 21 |
Laikin… 1 Minute … 1 Minute… Last 10 Pak-New Zealand Test Matches Mein Say Green Shirts Sirf 2 Jeet Sakay Hain. Jee Haan! 2014 Ka Abu Dhabi Aur 2018 Mein Dubai Test. Baqi Ground Sharjah Ka Ho Ya Christchurch Ka, Hamilton Say Mount Maunganui Tak, New Zealand Kay Against Pakistan Koi Test Jeet Nahi Saka. Yani Ab Muqabla Sakht Hoga.
Pakistan vs New Zealand Test Results
Last 10 Years Mein Honay Walay Test Matches
vs | Result | Margin | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
Pakistan | New Zealand | won | 248 runs | Abu Dhabi | Nov 2014 |
Pakistan | New Zealand | draw | - | Dubai | Nov 2014 |
Pakistan | New Zealand | lost | inns & 80 runs | Sharjah | Nov 2014 |
Pakistan | New Zealand | lost | 8 wickets | Christchurch | Nov 2016 |
Pakistan | New Zealand | lost | 138 runs | Hamilton | Nov 2016 |
Pakistan | New Zealand | lost | 4 runs | Abu Dhabi | Nov 2018 |
Pakistan | New Zealand | won | inns & 16 runs | Dubai | Nov 2018 |
Pakistan | New Zealand | lost | 123 runs | Abu Dhabi | Dec 2018 |
Pakistan | New Zealand | lost | 101 runs | Mount Maunganui | Dec 2018 |
Pakistan | New Zealand | lost | inns & 176 runs | Christchurch | Jan 2021 |
Agar 2020-21 Ki Last Pak-New Zealand Series Dekhain To Wahan Hamain 2-0 Say Shikast Hui Thi. Yahi Nahi, 2018 Ki Last Home Series Bhi Hum Haaray Hi Thay. Yani Modern History To Totally New Zealand Kay Haq Mein Khari Hay. Is Liay Hamain Kuch Khaas Umeed Nahi Hay. Khair, Jab Tak Series Shuru Ho, Tab Tak Kuchh Memorable Pak-New Zealand Test Matches To Yaad Kar Saktay Hain.
Inzi Aur Shobi Ka Waar
Pakistan Aur New Zealand Ka Last Zabardast Test May 2002 Mein Hua Tha. Gaddafi Stadium, Lahore Mein Pakistan Kay Batsmen Hi Nahi, Bowlers Bhi Aasman Par Thay. Agar Aap Pakistan Ki Batting Line Dekhain To Shayad Aap Ko Hairat Hogi: Shahid Afridi, Imran Nazir, Younis Khan, Inzamam-Ul-Haq, Mohammad Yousuf Aur Abdul Razzaq. Shock Laga Na? Jee Haan! Laikin Ye Sun Kara Ap Ko Hairat Nahi Hogi Kay Pakistan Ki First And Only Innings Mein Shahid Afridi 0 Par Out Huay Thay. Khair, Pakistan Nay Imran Nazir Ki Century Aur Phir Inzamam-Ul-Haq Ki Career Best 329 Runs Ki Innings Ki Badaulat 643 Runs Banaey.
New Zealand Is Sadmay Say Nikla Hi Nahi Tha Ke Shoaib Akhtar Qehr Ban Kar Toot Paray. Us Din To Lahore Mein Kiwi Batsmen Ki “Kaanpein Taang Gaeen." Lou Vincent Aur Craig McMillan Hi Double Figures Mein Gaey, Baqi Koi Batsman 8 Runs Say Zyada Nahi Bana Saka. 31st Over Mein New Zealand Sirf 73 Runs Par All Out Ho Gaya.
Shoaib Akhtar Nay 11 Runs Day Kar 6 Khilarion Ko Out Kia Tha.
Ab 570 Runs Ka Deficit Tha Aur New Zealand Follow-On Kar Raha Tha. 2nd Innings Mein Shoaib Akhtar Nay Bowling Nahi Karwai To Danish Kaneria New Zealand Ko Larr Gaey. Is Baar Unhon Nay 5 Wickets Leen Aur Pakistan Innings Aur 324 Runs Say Jeet Gaya, Us Margin Say, Jo Teams Sirf Khwab Mein Dekhti Hain.
Two Ws, Hunting In Packs
Pakistan Aur New Zealand Ki Test History Is Match Ka Zikar Kia Baghair Puri Nahi Hogi. 1992 World Cup Jeetnay Kay Baad 1993 Mein Ye Pakistan Ka Pehla New Zealand Tour Tha. Is Series Ka Hamilton Test Bhi Kya Match Tha. Pakistan First Innings Mein 216 Runs Par All Out Hua Aur Phir New Zealand Ko 264 Runs Par All Out Kar Kay Match Mein Wapis Aa Gaya. Laikin Wapis Aanay Ka Chance Milnay Kay Bawujood Pakistan Batsman Mauqay Ka Faida Nahi Utha Sakay Aur Second Innings To 174 Runs Par Hi Khatam Ho Gai.
New Zealand Ko 127 Runs Ka Target Mila. Aur Phir Wasim Akram Aur Waqar Younis Nay Anhoni Ko Mumkin Bana Dia. Two Ws Ki Is Bowling Ko Dekh Kar Aaj Bhi Hairat Hoti Hay. Donon Nay 5,5 Wickets Leen Aur New Zealand Ko Sirf 93 Runs Par All Out Kardia. Pakistan 33 Runs Say Ye Match Jeet Gaya.
Wasim Ka 'Khopri Torr' Debut
Pakistan New Zealand History Ka Aik Yaadgar Muqabla 1985 Ka Dunedin Test Tha. Wo Test Jis Mein 'Sultan Of Swing' Wasim Akram Ka Test Debut Hua.
Pakistan Nay 274 Runs Banaey Aur Naujawan Wasim Akram Ki 5 Wickets Ki Madad Say 54 Runs Ki Lead Bhi Haasil Ki.
Second Innings Mein Bhi Qasim Umar Hi Chalay Jinhon Nay 96 Kay Baad 89 Runs Ki Aik Aur Kamaal Innings Kheli, Laikin Doosra Koi Pakistan Batsman Chala Hi Nahi. Khair, Pakistan 278 Runs Ka Target Day Saka, Aur Jab New Zealand Ki 23 Runs Par 4 Wickets Lay Leen To Apni Jeet Yaqeeni Thi.
Yahan Par Martin Crowe Aur Jeremy Coney Ki 157 Runs Ki Partnership New Zealand Ko Muqablay Mein Wapis Lay Ai. Crowe Nay 84 Runs Banaey Aur Phir Wasim Akram Nay Tabahi Pacha Di. Ian Smith Ko Out Kia, Lance Cairns Ki To Khopri Hi Torr Di. Phir Brendon Bracewell Ko Bhi Out Kar Kay New Zealand Ko Phansa Dia. Jis Kay Liay Jeet Abhi 50 Runs Door Thi, Aur Wickets Sirf 2, Balkay 1, Kyunke Cairns To Hospitalized Thay.
Yahan New Zealand Nay Apnay Badnaam Umpires Ki Madad Say Jeet Tak Puhanch Kar Hi Dam Lia. Coney Nay Not Out 111 Runs Banaey, Un Kay Sath Last Batsman Ewen Chatfield Nay 84 Balls Par Qeemti 21 Runs Score Kiay. Pakistan Sirf 2 Wickets Say Ye Match Haar Gaya, Aur Saath Hi Series Bhi Chali Gai.
Closest Match Ever
aik test match kitnay runs say haara ja sakta hay? 100, 50, 25, 10...? Pak-new zealand abu dhabi test, 2018 ka faisla sirf 4 runs say hua. first innings mein new zealand ko 153 runs par all out karnay walay pakistan ko sirf 176 runs ka target mila tha. 48 runs par 3 out ho janay kay baad azhar ali aur asad shafiq nay match sanbhala. score 130 runs tak puhanch gaya. ab sirf 46 runs ki zarurat thi aur 6 wickets bhi haath mein theen.
aur Yahan dimagh ki batti bhuj gai!
azhar ali kay hotay huay bhi pakistan match jeet nahi saka. 130 runs par 3 say pakistan 171 runs par all out Ho gaya. Aakhri out honay walay koi aur nahi, azhar ali hi thay. jo 136 balls par 65 runs bananay kay baad, finally out ho gaey. is tarah ke umpire's call par lBW qarar paey. youn new zealand sirf aur sirf 4 runs say jeet gaya. itna close contest Aakhri Baar kab dekha tha aap nay?
Kya Ab New Zealand Kay Khilaf Is Series Mein Aisa Koi Test Dekhnay Ko Milay Ga? Ho Bhi Sakta Hay. Australia Aur England Kay Against Home Series Mein Pakistan Jeet To Nahi Saka, Laikin Buhat Shandaar Matches Zarur Huay Thay. Is Liay Muqabla To Hoga, Aur Khoob Hoga!