Workplace Yani Kaam Ki Jaga Par Halaat Theek Nahi? Mahaul Kharab Hota Ja Raha Hay? To Aap Akelay Nahi Hain, Is Waqt Dunya Mein Buhat Say Logon Ko Is Situation Ka Samna Hay. Worst Economic Conditions Aur Market Main Layoffs Ka Trend Zaur Pakarr Jana Is Ki Aik Waja Hay. Ab In Mushkil Halaat Mein Bhi, Dil Par Pathar Rakhtay Huay, Naukri Chhornay Ki No. 1 Waja Yahi Toxic Workspace Culture Hay.

Insaal Buhat Adaptable Hay, Wo To Siberia Kay Coldest Areas Mein Bhi Rehta Hay Aur Kuwait Ki Zabardast Garmi Bhi Bardasht Kar Leta Hay. Isi Tarah Insaan Workplace Par Bad-Tareen Treatment Bhi Kisi Na Kisi Tarah Bardasht Kar Hi Laita Hay, Kyunke Aik Rishtay Ki Tarah ‘Aakhir Guzara To Karna Hay!’.

Raftar Bharne Do
(Photo: Adobe Stock)

To Aap Jan’na Chahtay Hain Ke Kya Aap Ko Waqai Aik Toxic Environment Ka Saamna Hay Ya Aap Overreact Kar Rahay Hain To Khud Say Ye Sawaal Karain:

  • Kya Managagement Style Khauf, Intimidation, Buhat Zyada Pressurize Karnay Aur Gali-Galoch Par  Base Karta Hay?
  • Kya Aap Ko Colleagues Ki Taraf Say Backstabbing Ka Saamna Hay? Wo Gossiping Yani Aik Doosray Ki Gheebat Kartay Hain Aur Aur Ulti Seedhi Rumors Bhi Phelatay Hain Aur Management Is Situation Mein Interfere Tak Nahi Karti?
  • Kya Company Nay Kuchh Logon Ko Nikala Hay, Job Offers Band Kardi Hain Ya Hiring Nahi Kar Rahi Hay, Wo Bhi Staff Ko Bataey Baghair Ke Akhir Ye Chal Kya Raha Hay Aur Ye Situation Kab Khatam Hogi?
  • Ko Aap Ko Khulay Threat Ka Samna Hay Ke Jo Boss Kahain Gay Wo Nahi Karna To Agli Baari Aap Ki Hogi?
  • Kya Aap Ka Immediate Supervisor Aap Ka Faida Uthanay Ki Koshish Karta Hay? Harass Karta Hay Ya Discrimination Karta Hay?
  • Kya Aap Ko Dair Tak Beth Kar Kaam Karna Parta Hay Aur Weekends Par Bhi Aisa Hi Hota Hay? Aur Aap Ki Personal Life Ko Importance Nahi Di Jati?
  • Kya Aap Kay Boss Aap Kay Har Kaam Ko Micromanage Kartay Hain Ya Aap Kay Computer Par Snooping Software Dalay Gaey Hain?
  • Kya Company Nay Aap Ko Kaam Kay Liay Remote, Hybrid Ya Flexible Options Day Rakhay Hain? Kya Work From Home Ki Ijazat Hay? Ya Har Din Office Aana Zaruri Hay?

To Aisi Kisi Job Mein Phans Jana Aur Toxic Workspace Culture Ka Samna Karna Aap Ka Self-Confidence Tabah Kar Deta Hay. To Is Situation Mein Aagay Barhnay Kay 2 Raastay Hain. Aik To Ye Ke Proactive Banain Aur Apnay Boss Aur Human Resource Say Baat Karain.

Agar Manager Aur HR Koi Action Na Lay Aur Samajh Jayen Ke Ab Ye Job Chhornay Ka Waqt Aa Chuka Hay. Yahan Aap Jitnay Din Rahain Gay, Utna Hi Aap Ki Self-Esteem Aur Morale Ko Nuqsan Puhanchay Ga. Aap Har Waqt Ghussa Karnay Walay Aur Chirchiray Ho Jaen Ga. Inhi Jazbaat Kay Sath Aap Ghar Bhi Jayen Gay Aur Ye Ghussa Apnay Pyaron Par Utarein Gay. Shuru Mein To Shayad Aap Ki Family Aap Say Hamdardi Karay, Laikin Mustaqil Aisa Hona Aap Ki Personal Life Tabah Kar Day Ga.

Is Liay Aap Ko Apni Mental Aur Emotional Health Kay Liay Step Uthana Hoga, Is Say Pehlay Kay Buhat Dair Ho Jaey. Ye Aasan Nahi Hoga, Especially In Economic Conditions Mein, Laikin Yaad Rakhain Family Sab Say Important Hay. Yahi Doosra Aur Aakhri Raasta Hay!

What's Next?

Toxic Workspace Culture

Stress Mein Rehnay Ki Waja Say Aap Ki Self-Esteem Aur Confidence Ko Buhat Nuqsan Hota Hay. Is Liay Aap Ko Khud Par Refocus Karnay Ki Zarurat Hay. Aisay Experiences Kay Baad Aap Ko Apni Self-Esteem Aur Confidence Ko Regain Karnay Kay Liay Kaam Karna Paray Ga. Kisi Sports Mein Hissa Lain, Purani Hobbies Ko Waqt Dain Aur Aisi Activities Karain Jinhain Aap Enjoy Kartay Hain. In Mein Choti Moti Kamyabian Aap Ka Confidence Bahaal Karain Gi.

Aur Haan! Ye Qadam Uthanay Par Sharminda Ya Pashemaan Honay Ki Bilkul Zarurat Nahi. Aap Ki Ghalti Nahi Hay. Laikin Agar Aap Kay Zehn Par Ab Bhi Us Environment Ka Asar Hay To Kisi Therapist Ya Mental Health Professional Say Raabta Karain, Takay Wo Recovery Mein Aap Ki Madad Karay. Agar Aap Nay Ignore Kia To Aap Is Experience Ko Sath Liay Phirtay Rahain Gay Aur Next Job Kay Interview Mein Bhi Isi Mindset Kay Sath Jayen Gay.

New Job Kaisay?

Toxic Workspace Culture

New Job Kay Interview Mein Kuchh Cheezon Ka Khayal Rakhain. Aap Say Last Job Kay Baray Mein Poocha Bhi Jaey To Complain Na Karain. Us Toxic Workspace Culture Kay Baray Mein Aap Ki Batein Chahay Kitni Such Kyun Na Hon, Laikin Interview Lainay Wala Sun Kar Pareshan Ho Jaey Ga. Usay To Ye Bhi Nahi Pata Ke Aap Such Bol Rahay Hain, To Ho Sakta Hay Wo Ye Samjhay Ke Ghalti Aap Ki Hogi. Aur Ye Bhi Socha Ja Sakta Hay Ke Agar Aap Ko Hire Karlia To Shayad Next Job Kay Interview Mein Aap Un Ki Burai Karain.

To New Job Kay Liay Tayaar Honay Say Pehlay Zaruri Hay Ke Us Is Nafrat Aur Ghussay Ko Aik Taraf Rakh Dain. Khud Par Kaam Karain, Positive Aur Confident Rahain Aur Mustaqbil Kay Barain Mein Sochain.

Aik Tip Ye Bhi Hay Ke New Interview Ki Practice Karain. Aam Sawalaat Ki Tayari Karain Ke Aap Nay Un Ka Kya Aur Kaisay Jawab Dena Hay.

Good Luck!

شیئر

جواب لکھیں