Aik Baar Phir Pakistani Team Relax Hui, Aur Opponent Nay Faida Utha Liya. New Zealand Ka 234 Par 1 Out Tha, Aur Pakistan Nay 345 Tak 9 Wickets Hasil Kar Leen. Hum To Samajh Rahay Thay Ke Bus Ab New Zealand Ki Kahani Khatam Honay Hi Wali Hay, Laikin Andaza Nahi Tha Ke Haathi Nikal Gaya, Laikin Dum Phans Gai Hay.
Karachi Mein Jari Doosray Test Kay 2nd Day Ki Highlight Thi New Zealand Ki Last Wicket Ki 100+ Ki Partnership. Matt Henry Aur Aijaz Patel Nay Sirf 149 Balls Par 104 Runs Ka Izafa Kia Aur Score Ko Puhancha Dia 449 Runs Par. Yani New Zealand Ki Innings Ka Start Bhi 100+ Ki Partnership Say Hua Aur End Bhi.
Ye Test Cricket History Mein Pakistan Kay Against Last Wicket Ki 5th Century Partnership Thi. Is Wicket Par Pakistan Kay Khilaf Sub Say Bari Partnership Bhi New Zealand Batters Ki Hi Hay. February 1973 Mein Auckland Test Mein Pakistan Kay 402 Runs Kay Jawab Mein New Zealand 251 Runs Par 9 Wickets Day Chuka Tha. Tab Brian Hastings Aur Richard Collinge Nay 10th Wicket Par 151 Runs Ki Partnership Ki, Aur New Zealand Ko Bhi 402 Tak Puhancha Dia.
Test: Highest 10th Wicket Partnerships Against Pakistan
Partner | Runs | Against | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
Brian Hastings | Richard Collinge | 151 | Pakistan | Auckland | Feb 1973 |
Hemu Adhikari | Ghulam Ahmed | 109 | Pakistan | Delhi | Oct 1952 |
AB de Villiers | Morne Morkel | 107* | Pakistan | Abu Dhabi | Nov 2010 |
Carl Hooper | Courtney Walsh | 106 | Pakistan | St John's | May 1993 |
Matt Henry | Aijaz Patel | 104 | Pakistan | Karachi | Jan 2023 |
Waisay Pakistan Ko Apni History Kay First Match Mein Hi 10th Wicket Kay Hathon Pareshani Ka Samna Karna Para Tha. 1952 Mein Pakistan Nay Test Status Milnay Kay Baad India Ka Tour Kia Tha. Series Ka Pehla Test Delhi Mein Khela Gaya Tha, Jahan 263 Runs Par India Ki 9 Wickets Lainay Kay Baad Bhi Pakistan Final Blow Na Day Saka. Hemu Adhikari Aur Ghulam Ahmed Ki Fifties Ki Madad Say India 109 Runs Ka Izafa Kar Kay 372 Runs Tak Puhanch Gaya, Aur Baad Mein Pakistan Ko Innings Say Haraya.
Pakistan Kay Khilaf Aik Yadgaar 10th Wicket Partnership 2010 Mein South Africa Kay AB De Villiers Aur Morne Morkel Nay Ki. Donon Nay 477 Runs Par 9 Players Out Honay Kay Baad Score Mein 107 Runs Ka Izafa Kia. Hairat Ki Baat Ye Hay Ke Proteas Captain Graeme Smith Nay Us Waqt Innings Declare Ki Jab De Villiers 278 Runs Par Khel Rahay Thay. Wo South Africa Kay Liay Triple Century Bananay Walay Pehlay Batsman Ban Jatay, Laikin "Kaptaan" Nay Aisa Honay Nahi Dia.
Khair, Agar Hum 10th Wicket Partnership Ka World Record Dekhain To Ye England Kay Joe Root Aur James Anderson Kay Paas Hay. July 2014 Mein Unhon Nay India Kay Khilaf Aik Test Mein Last Wicket Par 198 Runs Bana Dalay Thay. Is Mein Root Kay 154 Aur Us Say Bhi Barh Kar Jimmy Anderson Kay Zabardast 81 Runs Shamil Thay.
Test: Highest 10th Wicket Partnerships
Partner | Runs | Against | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
Joe Root | James Anderson | 198 | India | Nottingham | Jul 2014 |
Phil Hughes | Ashton Agar | 163 | England | Nottingham | Jul 2013 |
Brian Hastings | Richard Collinge | 151 | Pakistan | Auckland | Feb 1973 |
Azhar Mahmood | Mushtaq Ahmed | 151 | South Africa | Rawalpindi | Oct 1997 |
Dinesh Ramdin | Tino Best | 143 | England | Birmingham | Jun 2012 |