Aap Kisi Bhi Age Kay Hon Exercise Say Khud Ko Fit Rakh Saktay Hain. Laikin Jahan Exercise Kay Liye Energy Zaruri Hoti Hai Waheen Motivation Bhi Aik Key Factor Hay. Aaj Ki Modern Aur Tez Raftar Life Main Teenagers Aur Youth Ko Exercise Ki Taraf Lana Thora Mushkil Hota Hay.

Waisay Aik Zamana Tha Jab Naujawanon Ko Body Building Ka Junoon Tha. Ab Naujawan Khudh Ko Fit Rakhnay Kay Liye Warzish Kartay Hain. Exercise Ki Latest Techniques Nay Fit Rehna Aur Bhi Aasan Bana Diya Hay.

World Health Organisation Kay Mutabiq Adolescents Ko Daily 60 Minutes Ki Moderate Aur Vigorous Physical Activity Zaroor Karni Chahiye. Laikin The Lancet Child & Adolescent Health Journal Nay Claim Kia Hay Kay Dunya Bhar Main School Janay Walay Bachon Main 20% Say Bhi Kam Hain Jo Aisi Activities Kartay Hain.

Is Ka Aik Bara Reason To Schools Say Play Grounds Ka Khatma Aur Organized Sports Kam Hona Hay. Rahi Sahi Kasar Covid 19 Nay Puri Kardi, Jis Ki Waja Say Bhi Sports Aur Exercise Ka Rujhan Kam Ho Gaya.

Aajkal Ka Aik Aur Mas'la Parents Ka Busy Hona Hay. Chahay Parents Donon Hi Job Kartay Hon, Ya Maan Ko Ghar Kay Kaam Nimtanay Ho, Bachay Ko "Busy" Rakhnay Kay Liay Usay Smartphone, Tablet Ya Aisay Hi Gadgets Ki Aadat Daal Di Jati Hay. Jis Say Wo Bachpan Say Hi Passive Ho Jata Hay Aur Ye Us Ki Sehat Kay Liay Buhat Nuqsan-Deh Hay.

Boost Physical Activity

Work Out Karna Ya Running Kay Liay Nikalna Aasan Nahi. Is Kay Liay Self Motivation Aur Support Buhat Zaroori Hain. Families Ko Chahiye Kay Sath Mil Kar Bike Ride Ya Park Ka Visit Karnay Ki Aadat Bana Lain. Off Days Main Camping Karnay Ya Swimming Bhi Health Kai Liye Best Hay.

Aur Haan! Aisi Activities Main Fun Per Focus Zaroori Hay. Bachon Ki Activities Main Fun Na Ho To Wo Dilchaspi Nahi Lain Gay. Mazay Mazay Main Hi Healthy Activities Us Ki Life Ka Part Ban Jayen Gi.

Organized Sports Ki Importance

Organized Sports Say Teenagers Ko Social Connections Build Up Kernay Main Madad Milti Hay. Un Main Team Work Aata Hay Aur Determination Bhi Paida Hoti Hay. Waisay Sports Say Importance Of Team Building Aur Team Work Awareness Bhi Strong Hoti Hay.

Outside The Box Sochain

Laikin Organized Sports Har Koi Enjoy Nahi Karta. Agar Aap Competitive Nahi Hain To Aap Ko Organized Sports Main Maza Nahi Aaey Ga. Khud Say Behtar Players Dekh Kar Aap Demotivate Ho Sakta Hain. Is Liay Individual Sports Kay Baray Main Soch Saktay Hain, Maslan Skateboarding Ya Performing Arts, Aur Next Level Par Rock Climbing Jaisa Khel.

Waisay Currently Virtual Reality Exercise Bhi Trend Kar Rahi Hay. Future Main Is Kay Physical Activity Par Positive Effect Hon Gay.

Kuch Naya

Waisay Daily Kay Kaam Say Bhi Calories Burn Hoti Hain. Lawn Mowing Aur Garden Maintain Rakhnay Main Bhi Aap Ki Energy Utilized Hoti Hay. Is Main Bhi Aap Ki Physical Activities Maximum Rehti Hain Aur Aap Khud Ko Fit Rakhnay Kay Liye Bhi Ye Activities Kar Saktay Hain.

To Wo Activities Perform Karain Jin Main Ap Khud Ko Fit Aur Comfortable Feel Karain. Aur Yaad Rakhain Ye Sab Karnay Ka Maqsad Health Maintain Rakhna Hay. Kisi Bhi Aisi Activity Main Nahi Parna Jo Aap Ki Sehat Kay Liye Theek Na Ho. Bus Increased Movements Kay Positive Results Ko Note Down Kar Kay Routine Ka Hissa Banayen.

Positive Results Hi Aap Ki Motivation Ka Zariya Hon Gay. Laikin Ye Sab Kuch Us Waqt Behtar Rahay Ga Jab Ap Khud Ko Fit Rakhnay Kai Liye Committed Hon. Dil Par Pathar Rakh Kar Ki Gai Koi Bhi Activity Aap Kay Liye Kabhi Fiada-Mand Nahi Hogi. Apni Sehat Kay Liye Theek Faisala Hi Aap Ko Super Fit Rakh Sakta Hay.

شیئر

جواب لکھیں