Israel Mein Benjamin Netanyahu Ke Dobara Power Main Anay Ko Palestinian Musalmanon Ke Liye Bhayanak Khwab Qarar Diya Ja Raha Tha. Kyunkay Netanyahu Ne Is Baar Far Right Extremist Parties Ke Sath Coalition Government Banai Hay. Yeh Parties Musalmanoon Ke Sakht Khilaaf Aur Bait-ul-Maqdas Par Mukammal Jewish Control Chahti Hain. Palestine Aur Duniya Bhar Ke Musalmanoon Ke Khadshaat Durust Saabit Honay Lagay Hain. Nai Hukoomat Banay Abhi Chand Din Bhi Nahi Huay Ke Israeli Security Minister Itamar Ben-Gvir Ne Masjid-e-Aqsa Ka Visit Kya Hay.

Raftar Bharne Do

Masjid-e-Aqsa Ki Muslims Ke Liye Ehmiat

Masjid-ul-Haram Aur Masjid-e-Nabwi Ke Baad Masjid-e-Aqsa Musalmanon Ka Teesra Muqaddas Tareen Maqam Hai. Quran-e-Kareem Ke Mutabiq Meraaj Ki Raat Rasool-e-Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Masjid-ul-Haram Se Masjid-e-Aqsa Le Jaya Gaya Tha. Hadees Mein Aaya Hay Ke Rasool-e-Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Yahan Nabiyon Ki Imamat Farmai Thi. Hazrat Umar Farooq R.A Ke Daur Mein Palestine Ki Fatah Ke Baad Se Musalman Yahan Ibadat Karte Rahay Hain. Bait-ul-Almaqdas Ko Jewish Aur Christians Bhi Muqaddas Samajhtay Hain. 1948 Main Israel Ki Illegal State Wujood Main Aanay Ke Baad Bhi East Bait-ul-Muqaddas Musalmanoon Ke Control Main Tha. 1967 Ki Arab Israel War Ke Baad Palestine Ke Ziyada Tar Elaqon Par Israel Ka Qabza Ho Gaya. Eastern Bait-ul-Muqaddas Bhi Israel Ke Control Main Agaya. Is Ke Baad Ye Agreement Hua Masjid-e-Aqsa Aur Is Ke Compound Main Yahudion Ko Aanay Ki Tou Ijazat Hogi Magar Unhein Wahan Ibadat Ka Haq Nahi Hoga.

Raftar Bharne Do

Is Agreement Par Amal To Hota Raha. Magar Extremist Jews Parties Musalmanoon Ko Is Haq Se Bhi Mehroom Karna Chahti Hain. Maazi Main Bhi Aksar Aisay Incidents Pesh Atay Rahay Hain Jab Jews Ne Masjid-e-Aqsa Main Ibadat Karne Ki Koshish Ki. Is Ke Result Main Palestinian Musalman Resist Kartay Hain Aur Clashes Hotay Hain. Israeli Minister Ben-Gvir Ke Masjid-e-Aqsa Ke Compound Main Aamad Par Bhi Palestinian Muslman Sakht Naraaz Hain. Mazloom Palestinian Bohat Arsay Se Kehte Aa Rahay Hain Ke Israel Musalmanoon Ke Khusoosi Haq Ko Khatam Karna Aur Wahan Teesra Temple Banana Chahta Hai. Israel Ki Governments Is Ki Tardeed Karti Rahi Hain. Lekin Extremist Parties Ke Coalition Government Main Shaamil Honay Ke Baad Musalmanoon Ke Khadshaat Barhay Hain.

Israeli Minister Ke Visit Per Reaction

Palestinian Authority Ne Ben-Gvir Ke Visit Ko “Blatant Aur Shameless Provocation” Qarar Dia Hay.  Kaha Ke Is Se Violence Aur Escalation Barh Sakta Hay. Hamas Ne Kaha Ke Masjid-E-Aqsa Hamari Red-Line Hay, Ben-Gvir Ne Aqsa Compound Main Aa Kar Crime Kiya Hay.

Ben-Gvir Ne Muslmano Ke Aitraz Rejecy Kartay Huay Kaha Ke Un Ki Hukumat Hamas Ki Dhamkiyon Ko Khatir Main Nahi Laye Gi. Un Ka Mazeed Kehna Tha Ke Jews Ko Aqsa Compound Main Ibadat Ka Haq Na Dena Discriminatory Hay. Jews Ko Compound Main Prayer Ka Haq Hona Chahiye Jabkay Muslman Masjid Ke Andar Ibadat Kartay Rahen.

Ben-Gvir Is Se Pehlay Bhi Aqsa Compound Ka Visit Kartay Rahay Hain. Lekin Bator Security Minister In Ka Visit Khaas Hesiat Rakhta Hay. Kyunke Security Minister Ke Tor Per Israeli Police Aur Forces Un Ke Control Main Hain Jo Aqsa Compound Per Depoyed Hain. 2000 Main Us Waqt Ke Opposition Leader Ariel Sharon Ne Bhi Aqsa Compound Ka Controvercial Visit Kiya Tha Jis Ke Baad Palesitine Main Dusri Intifada Movement Shuru Hui Thi, Jo 2005 Tak Jari Rahi Thi.

Palestinian Prime Minister Mohammad Shtayyeh Kehtay Hain Ke Israeli Minister Ka Planned Visit Masjid Ko Jewish Temple Main Badalnay Ki Koshish Hay.

Lebanon Ke Hezbollah Movement Ke Leader Hassan Nasrallah Ne Kaha Ke Masjid-E-Aqsa Ki Hesiyat Badlnay Ki Koi Bhi Koshish Puray Region Main Unrest Peda Karay Gi.

Israel Ke Opposition Leader Yair Lapid Ne Bhi Visit Per Tanqeed Kartay Huay Kaha Ke Is Se Bloodshed Ho Ga.

International Community Kiya Kehti Hay?

Pakistan, Saudi Arabia, UAE, Turkey Samait Tamam Muslim Mulkon Ne Israeli Minister Ke Visit Ko Condemn Kiya Hay. America Aur European Union Ne Bhi Kaha Hay Ke Israel Status Quo Barqrar Rakhay Aur Masjid-E-Aqsa Ki Hesiat Tabdeel Karnay Ki Koshish Na Karay.

China Aur UAE Ne Security Council Se Request Ki Hay Ke Issue Ko Discuss Karnay Ke Liye Meeting Bulai Jaye. Magar Analysts Kuch Zyada Pur Umeed Nahi Hain. Israel Kabhi United Nations Aur Security Council Ki Resolutions Ko Khatir Main Nahi Laya. International Community Ki Mukhalfat Ke Bawajood Israel West Bank Main Settlement Barhata Ja Raha Hay.

Kusch Din Pehlay UN General Assembly Ne Aik Resolution Pass Ki Jis Main International Court Of Justice Se Israeli Illegal Settlement Per Opinion Managa Gaya Hay. 87 Countries Ne Resolution Ke Haq Main Vote Diya Magar Amercia, Britain, Germany Samait 22 Mulkon Ne Resolution Ki Mukhalfat Ki. Jabkay France Samait 53 Countries Ne Vote Se Abstain Kiya.

America Aur UK Jesi Bari Taqaton Ka Resolution Ki Mukhalfat Karna Sabit Karta Hay Ke Wo Israel Ke Lagam Dalnay Main Serious Nahi. Aisay Halay Main Palestinian Musalmaon Ke Liye Apni Riyasat Ka Khwab Jald Pura Hota Nazar Nahi Aata.

شیئر

جواب لکھیں