Early To Bed And Early To Rise, Suna To Bachpan Main Tha, Laikin Samajh Baray Honay Kay Baad Aaya. Subah Jaldi Uthnay Kay Kitabon Main Jo Bhi Faiday Likhay Hain, Agar Un Par Thora Sa Bhi Amal Ho Jata To Aaj Hum Bhi Fit Hotay. Ab To Har Doosra Fard Sleep Deprivation Ka Shikar Hay. Neend Poori Na Ho To Sara Din Aur Tamam Routine Upset Ho Jatay Hain. Laikin Subah Jaldi Uthain Kaisay?

Aayen Aap Ko Kuch Tips Batatay Hain, Jin Say Aap Apnay Routine Main Aik Planned Way Main Changes La Saktay Hain Aur Aik Organized Zindagi Hasil Kar Saktay Hain.

Jaldia Kyun Nahi Utha Jata?

Subha Jaldi Na Uthnay Ki Bari Waja Raat Dair Tak Jagna Hay. Aap Kay Neend Ka Normal Routine Kisi Na Kisi Waja Say Disrupt Hojata Hay. Is Ko Chrono-Misalignment Kehtay Hain. Phir Sukoon Ki Neend Na Milna Bhi Aik Masla Hay, Aur Waqfay Waqfay Say Neend Ka Tootna Bhi Shamil Hay.

Raat Ko Neend Na Anay Kay Kuch Reasons Yeh Bhi Ho Saktay Hain, Jaisay Aap Nay Kuch Ghantay Pehlay Hi Short Nap Liya Ho. Caffeine Consumption Ki Waja Say Bhi Raat Ko Neend Nahi Aati. Raat Ko Dair Say Khana Khanay Ya Heavy Meals Bhi Waqt Per Neend Urr Janay Ki Waja Hosaktay Hain.

Jaldi Kaisay Uthain?

Agar Aap Naturally Jaldi So Kar Subha Apnay Waqt Par Nahi Uth Rahay To Aap Ko Chahiye Kay Apnay Muqarrara Waqt Say At Least 15 Minutes Pehlay Ka Alarm Lagayen. Alarm Set Karnay Ka Ye Silsila Bedtime Kay Waqt Shuru Karain. Har 2 Days Tak Aisay Karnay Kay Bad Aap Khud Ba-Khudh Waqt Par Uthna Shuru Ho Jaein Gay.

Dhoop Khayen

Aap Kay Liye Yeh Lazim Hay Kay Daily Bright Light Main 20 Say 30 Minutes Guzarain. Aisa Karnay Say Aap Ki Body Main Melatonin Production Ko Suppress Karnay Main Madad Milay Gi. Sunlight Kay Liye Aap Apnay Room Kay Curtain Hata Kar Bhi Ye Light Hasil Kar Saktay Hain, Ya Phir Morning Walk Par Bhi Ja Kar Morning Light Enjoy Ki Ja Sakti Hay.

Aik Waqt Fix Karlain

Apnay Uthnay Ka Aik Time Set Karlain. Weekends Aur Off Days Par Bhi Usi Time Per Uthain Aur Apnay Time Ki Hawalay Say Strict Routine Follow Karain. So Kar Uthnay Kay Pehlay Ghantay Main Hi Zyada Kaam Karain, Apnay Aap Ko Aik Routine Main Lanay Say Aap Kai Maslon Say Bach Saktay Hain.

Diet Ka Khayal Karain

Dopehr 3 Bajay Kay Baad Kisi Bhi Caffeine Rich Diet Say Parhez Karain. So Kar Uthnay Kay Bad High Protein Diet Laazmi Lain. Raat Ko Sotay Huay Heavy Meals Avoid Karain, Kyunke Aap Ka Digestive System Theek Jab Kaam Kar Raha Ho To Neend Muta'sir Hoti Hay. Aur Aisa Honay Ki Soorat Main Subha Uthnay Main Mushkil Dar-Paish Hogi.

Aap Khud Dekhain Gay Kay Subah Jaldi Uthnay Say Aap Ki Productivity Aur Success Ratio Kaisay Increase Hotay Hay. Aisay Honay Say Aap Ki Over All Habits Aur Health Par Bhi Acha Asar Paray Ga.

Aam Tor Par 25% Log Subha Jaldi Uthnay Kay Aadi Hotay Hain, Aur 25% Hi Raat Dair Tak Jaagtay Hain. Experts Ka Kehna Hay Kay Ye Ap Par Depend Karta Hai Kay Aap Kaisay Apnay Routine Ko Set Kartay Hain.

شیئر

جواب لکھیں