India Kay Wicket Keeper Batter Rishabh Pant Ka Accident Itnay Din Baad Bhi Zehn Say Nahi Nikal Raha. Delhi–Dehradun Highway Par Pesh Aanay Walay Hadsay Main Un Ki Mercedes Car Minutes Main Hi Jal Kar Khaak Hogai. Ab Isay Pant Ki Khush-Qismati Kahain Ke Itnay Khatarnaak Accident Kay Baad Bhi Un Ki Zindagi Bach Gai. Laikin Mazi Kay Kai Cricketers Aisay Hain, Jo Itnay Lucky Sabit Nahi Huay. Aayen Aaj Un Cricketers Ki Baat Kartay Hain Jo Accidents Main Jaan Say Gaey.
Andrew Symonds
Is Silsilmay Main Pehla Naam Andrew Symonds Ka Aata Hay. Australia Ki History Kay One Of The Best All Rounder May 2022 Main Traffic Accident Main Jaan Say Chalay Gaey Thay. Queensland State Main Townsville Kay Bahar Un Ki Car Ko Aik Haadsa Paish Aya Tha. Us Waqt Wo Pant Ki Tarah Car Khud Hi Drive Kar Rahay Thay. Rescue Workers Nay Accident Kay Muqam Per Un Ki Jaan Bachanay Ki Koshish Bhi Ki, Magar Wo Injuries Ki Waja Say On The Spot Par Hi Intiqal Kar Gaey.
Hansie Cronje
South Africa Kay Former Captain Hansie Cronje, Mulk Kay Balke Apnay Waqt Main Dunya Kay Most Successful Captain, Laikin What A Fall From Grace, Wo Match Fixing Main Pakray Gaey Aur Phir Life Ban Lag Gaya. June 2022 Main Johannesburg Say George Jatay Huay Aik Un Ki Chartered Flight Ka Accident Ho Gaya. Is Haadsay Main 2 Pilots Aur Hansie Cronje, Sub Ki Jan Chali Gai. Un Ki Sirf 32 Saal Ki Umar Main Maut Nay Kai Conspiracy Theories Bhi Paida Keen.
Ben Holliake
England Kay Khush-Shakal Aur Talented Cricketer Ben Hollioake Ki Maut Sirf 24 Saal Ki Age Mai Hui. Woh England Kay Wahid Cricketer Thay Jin Ka Itni Kam-Umri Main Inteqal Hua. March 2002 Main Un Ki Porsche 924 Car Ko Australia Kay Shehr Perth Mai Haadsa Pesh Aya Tha, Aur Woh Moqay Per Hi Jaan Say Chalay Gaey. Ben Kay Barray Bhai Adam Hollioake Nay Bhi England Kay Liye International Cricket Kheli, Balke Wo To England Kay Captain Bhi Rahay.
Runako Morton
West Indies Kay Runako Morton Ka Intiqal Sirf 33 Years Ki Age Main Hua Tha. March 2012 Main Wo Central Trinidad Main Solomon Hochoy Highway Per Apni Car Main Ja Rahay Thay, Jab Over Speeding Ki Waja Say Un Ki Car Out of Control Hui Aur Aik Pole Say Takra Gai. Morton Nay 15 Tests Aur 56 ODIs Main West Indies Ki Numaindagi Ki.
Manjural Islam
Manjural Islam Ka Ta'luq Bangladesh Say Tha. Unhonay 6 Test Matches Aur 25 ODIs Main Bangladesh Ko Represent Kia. March 2007 Main Unki Motor Bike Ko Khulna Main Haadsa Pesh Aya. Over Speeding Ki Waja Say Un Ki Bike Samnay Say Anay Wali Bus Say Takra Gai Thi. Iss Accident Main Local First Class Cricketer Sajjadul Hasan Ki Bhi Death Hoi Thi Jo Manjural Islam Kay Sath Us Bike Per Maujoud Thay.