Imran Khan Ke Chahnay Walay 2023 Ko Un Ka Saal Qarar De Rahay Hain. PTI Ke Supporters Aur Workers Ko Yaqeen Hay Ke Is Saal Elections Hon Gay Aur Imran Khan Dobara Prime Minister Banain Ge. Aisa Ho Ga Ya Nahi, Ye Tou Waqt Hi Bataye Ga. Lekin Aaiye Jaiza Letay Hain Ke Saal 2022 Chairman PTI Ke Liye Kesa Raha. Wazir-e-Azam Se Na Ehli Tak Ka Safar Kesay Tay Hua. Mukhalfieen Ne Kiya Kiya Chaalen Chaleen Aur Imran Khan Ne Kesay Un Ka Muqabla Kiya?
Saal 2022 Ka Sooraj Jab Tulu Hua Tha To PTI Ke Chairman Imran Khan Mulk Ke Prime Minister Thay. Ravi Chain Hi Chain Likh Raha Tha. Opposition Parties PDM Ki Chhatri Taley Muttahid Tou Ho Chuki Theen Lekin Koi Khaas Mushkil Peda Nahi Kar Saki Theen. Peoples Party PDM Se Alag Hochuki Thi. Aisay Mein Lagta Tha Ke Imran Khan Aaraam Se Muddat Poori Kar Len Gay. Lekin Aglay Chand Mahino Mein Poora Siyasi Manzar Nama Badal Gaya.
Russia Ka Visit Aur Foreign Conspiracy
23 Feb Ko Imran Khan Russia Ke 2 Roza Dauray Par Moscow Pohnchay. Us Waqt Kisi Ko Bhi Yeh Andaza Nahi Tha Ke Is Dauray Ke Pakistan Par Kitney Gehray Asraat Hon Gay. Maghribi Mulk Aur Russia Ke Darmiyan Ukraine Ke Muamlay Par Tension Barh Rahi Thi. Aisay Mein Pakistani Prime Minister Ka Russia Jana America Ke Liye Pasandeeda Nahi Tha. Mazeed Ittefaq Ye Hua Ke Imran Khan Ke Dauray Ke Mauqay Par Hi Russia Ne Ukraine Par Hamla Kardiya Tha.
27 Feb 2022 Ko Bilawal Bhutto Zardari Ne PTI Sarkar Ke Khilaf Karachi Se Awami Long March Ka Aaghaz Kya. Chairman Peoples Party Ne Imran Khan Se Resign Aur Naye Elections Karanay Ka Mutalba Kya.
28 Feb Ko Imran Khan Ne Diesel, Petrol Ki Qeemat Mein 10 Rupay Aur Bijli Ki Qeemat Mein 5 Rupay Per Unit Kami Ka Elaan Kya. Aik Taraf Jahan International Market Mein Fuel Ki Qeemat Barh Rahi Thi Aur IMF Levy Laganay Ka Mutalba Kar Raha Tha. Imran Khan Ke Is Elaan Ko Siyasi Chaal Qarar Diya Gaya. Imran Khan Ne Ye Bhi Wada Kya Ke Aglay Budget Tak Petrol, Diesel Ki Qeemat Nahi Barhai Jaye Gi.
No Confidence Motion Aur Jor Tor
8 March Ko Opposition Jamaaton Ne Imran Khan Ke Khilaaf Tehreek No Confidence Motion National Assembly Main Jama Karai. Is Ke Baad Jor Tor Ka Aik Aisa Khel Shuru Hua Jo Pakistan Ki Siyasi Tareekh Ka Aik Aur Afsosnak Baab Saabit Hua. Ittehadi Jamaten Aur Kayi Party Members PTI Ka Sath Chor Gaye. Imran Khan Ne Apne Khilaaf No Confidence Motion Ko Beroni Saazish Qarar Diya.
26 March Ko Maryam Nawaz Aur Hamza Shahbaz ‘Mehengai Mukao’ March Le Kar Lahore Se Islamabad Ke Liye Rawana Huay.
27 March Ko Imran Khan Ne Islamabad Ke Jalsay Main Aik Letter Lehra Kar Daawa Kya Ke Un Ki Government Giranay Ke Liye Aik Mulk Ne Dhamki Amaiz Khat Bheja. Waqt Anay Par Us Ka Naam Batayen Ge. Russia Ka Daura Karnay Par Un Ki Government Girayi Ja Rahi Hay.
Imran Khan Ki Humumat Ka Khatma
3 April Ko Deputy Speaker National Assembly Qasim Suri Ne Ghair Mulki Sazish Ki Bunyaad Par No Confidence Movement Ko Dismiss Kar Diya. Opposition Ne Deputy Speaker Ki Ruling Ke Khilaaf Supreme Court Se Rujoo Kya. Isi Dauran Prime Minister Imran Khan Ki Advise Par Sadar Arif Alvi Ne National Assembly Disslove Kar Di. Supreme Court Ne Sou Moto Notice Liya Aur 5-0 Se Faisla Sunaate Hue Assembly Bahaal Kar Di. Deputy Speaker Ki Rolling Ko Ghair Aini Qarar Dete Hue No Confidence Motion Par Voting Karanay Ka Hukum Diya .
10 April Ko National Assembly Ke Hungama Khaiz Ijlaas Mein No Confidence Motion Per Voting Hui. 340 Ke House Main 174 Members Ne Imran Khan Ko Hatanay Ke Liye Vote Diya Aur Yun Imran Khan Ka 3 Saal 8 Mahinay Ka Daur Khatam Hua. Imran Khan Pakistan Ke Pehlay Prime Minister Banay Jin Ko No Confidence Motion Ke Zariye Hataya Gaya. PTI Ne National Assembly Se Resign Dainay Ka Elaan Kya. 11 April Ko Shehbaz Sharif Bila Muqabla Pakistan Ke Naye Wazeer-e-Azam Ban Gaye.
Imran Khan Government Ke Khatmay Ke Khilaaf Mulk Bhar Mein Ehtijaj Huay. Imran Khan Ne Bhi Musalsal Jalsay Kiye. Un Jalson Mein Unhon Ne Ghair Mulki Saazish Ka Khul Kar Bataya. Imran Khan Ka Kehna Tha Ke Un Ke Russia Visit Par America Naraaz Tha. America Ke Under Secretary Ne Pakistani Safeer Ko Dhamki Di Thi Ke Imran Khan Ko Hata Diya Jaye Tou Pakistan Ko Muaf Kar Diya Jaye Ga Warna Sangeen Nataij Nikleen Ge. Imran Khan Ne Saazish Ke Silsilay Mein Pakistan Ke Mir Jaffar Ka Tazkara Karna Bhi Shuru Kar Diya.
25 May Ka Azadi March
Isi Dauran Punjab Mein Bhi PTI Ki Hukoomat Ja Chuki Thi. 30 April Ko Hamza Shehbaz Punjab Ke Chief Minister Ban Chukay Thay. 25 May Ko Imran Khan Government Ke Khilaaf Long March Le Kar Peshawar Se Islamabad Pohnchay. Supreme Court Ne Red Zone Na Janay Ka Hukum Day Rakha Tha. PTI Ke Hazaron Karkun Aur Rehnuma D Chowk Pohnchay Jahan Police Ne Un Par Shadeed Shelling Ki. Imran Khan Ne Dharna Nah Dainay Ka Elaan Kya Aur 6 Din Ka Ultimatum Day Kar Wapas Chalay Gaye.
Political Opponents Ke Khilaaf Imran Khan Ko Ahem Kamyabi Supreme Court Ke Is Faislay Se Mili Jis Mein Kaha Gaya Ke Floor Crossing Karne Walay Members Ka Vote Count Nahi Hoga Aur Wo De-Seat Ho Jayen Ge. 17 July Ko Punjab Main 20 Seats Par Honay Walay Election Main PTI Ne 15 Seats Jeet Leen. Is Ke Baad Punjab Main PTI Aur Q League Ki Coalition Government Ban Gayi.
By-Election Main Record Win Aur Na Ehli
2 August Ko Election Commission Ne Foreign Funding Case Main Imran Khan Ke Khilaaf Faisla Sunaya. September Main Pakistan Main Audio Leaks Ka Ganda Dhanda Shuru Hua. Prime Minister House Ki Kayi Audio Leaks Samnay Ayeen Jin Mein Imran Khan Ki Audios Bhi Shaamil Theen. Mukhalfeen Samajh Rahay Thay Ke Audio Leaks Se Imran Khan Ki Popularity Kam Ho Jaye Gi Lekin October Main By Election Main Chonka Dainay Walay Result Aaye. Imran Khan Ne National Assembly Ki 8 Constituencies Main Se 7 Par Khud Election Lara Aur 6 Par Kamyaab Ho Kar Naya Record Banaya. Is Se Pehlay Wo 2018 Main 5 Sets Par Election Jeetay Thay. Un Ke Muqablay Par Oppostion Ki Tamam Bari Jamaten Ikathi Theen Phir Bhi Unhein Hara Nahi Saken. Is Ka Wazeh Matlab Tha Ke Imran Khan Popularity Ki Peak Par Hain.
21 October Ko Election Commission Ne Tosha Khana Case Mein Imran Khan Ko Na Ahal Qarar Day Diya. PTI Ne Faislay Ke Khilaaf Courts Se Rujoo Kya.
Azadi March 2 Aur Assassination Attempt
28 October Ko Imran Khan Ne Government Ke Khilaaf Dobarah Long March Shuru Kya. 3 November Ko Azadi March Ka Qaafla Wazirabad Pohncha Tou Wahan Imran Khan Par Qatilana Hamla Hua. Khush Qismati Se Wo Bach Gaye Magar Tangon Par Kayi Jagah Zakhm Aaye. Imran Khan Long March Ke Sath Safar To Jari Nah Rakh Sakay Magar Video Link Se Khitaab Kar Kay Wo Kaarkunon Ka Lahoo Garmatay Rahay.
Decemeber Mein Imran Khan Ne Punjab Aur Khyber Pakhtunkhwa Ki Assemblies Tornay Ka Elaan Karkay Phir Siyasi Halchal Macha Di. Is Dauran Imran Khan Khul Kar Kehnay Lagay Thay Ke Un Ki Hukoomat Ke Khatmay Main Ex-Army Chief General Qamar Javed Bajwa Ka Haath Tha. November Aur Decemeber Main Tosha Khanah Ke Hawalay Se Imran Khan Par Mazeed Ilzamaat Lagaye Jatay Rahay. Audios Leak Ki Jati Raheen. Magar Imran Khan Ki Popularity Main Kami Nazar Nahi Aa Rahi. Yahi Wajah Hai Ke Imran Khan Ka Muqaabla Karnay Ke Liye Technocrat Government Ke Shoshay Bhi Chhorey Jarahay Hain. PTI Chairman Ne Saal Ke Aakhir Main Twitter Mesages Main Likha Ke Saal 2022 Simultaneously Behtareen Aur Badtareen Tha.