2022 Rukhsat Hua, Science Aur Technology Ki Dunya Mein Bhi Buhat Say Breakthroughs Huay Jo Apna Asar Chorr Gaey. Kuch Aisay Thay Jinhon Nay Future Kay Hawalay Say Umeed Di, Aur Kuch Aisi Jinhon Nay Khauf Main Mubtala Kardia. Ye Developments Hamaray Liye Kis Tarah Faida-Mand Hongi? Is Ka Faisala To Waqt Karay Ga.

Waisay 2022 Is Lihaz Say Yaadgar Raha Ke Is Saal Coronavirus Ka Spread Kafi Hadd Tak Control Kia Gaya Aur Is Ki Vaccine Bhi Barri Ta'daad Main Logon Tak Puhanch Gai. Aur Kya Hua? Aayen Dekhtay Hain:

NASA Nay Asteroid Tabah Kia

66 Million Years Pehlay Aik Baray Asteroid Kay Zameen Say Takranay Kay Baad Yahan Ki 75% Species Fanaa (Wipe Out) Hogei Theen.

Mustaqbil Main Aisay Kisi hi Event Ko Roknay Kay Liye NASA Nay 26 September Ko Aik Experiment Kia, Jis Kay Results Anay Walay Waqt Kay Liye Buhat Faida-Mand Sabit Hongay. Yeh Waqai Aik Breakthrough Moment Tha.

NASA Nay Us Raat Apnay Double Asteroid Redirection Test (DART) Spacecraft Ko Asteroid Moonlet Dimorphos Say Takra Ker Tabah Kardia. Ye Zameen Say More Than 7 Million Miles Door Tha. Agerchay Zameen Ko Is Say Koi Direct Threat Nahi Tha Magar Yeh As A Test Subject Behtareen Target Tha. Is Test Say Yeh Sabit Hoga Ke Kisi Asteroid Ka Tabah Karnay Kay Liye Space Technology Kitni Active Hay Aur Planetary Defense System Actually Possible Hay.

Raftar Bharne Do

Vaccine Development

Kisi Bhi Marz Ya Beemari Ki Vaccine Tayaar Karna Waqt Laita Hay. Center For Global Development Kay Mutabiq, Historically Dekhtain To Kisi Beemari Ki Vaccine Bananay Main Normally 48 Years Ka Average Time Lagta Hay.

Covid-19 Kay Baad, Sab Say Ziada Zarurat Is Ki Vaccine Ki Thi. 2020 Main Iss Ki Vaccine Par Kaam Shuru Hua, Aur 2021 Aur 2022 Main Vaccine Bananay Kay Amal Main Buhat Tezi Aai.

Raftar Bharne Do

Laikin Kuch Beemarian Aisi Hain, Jo Buhat Khatarnaak Hain. Malaria Hi Ko Lay Lain. Sirf 2021 Main 247 Million Log Is Say Infected Huay Aur 619000 To Inteqal Kar Gai. Is Ki Vaccine Ban'nay Main Kitna Waqt Laga? Anadaza Lagayen Ke 60 Saal Ki Mehnat Kay Baad, 2021 Main WHO Nay First Malaria Vaccine Approve Ki Thi. Iss Vaccine Ki Waja Say 30% Malaria Cases Reduce Huay.

2022 Main Malaria Vaccine Kay Improved Version Kay Clinical Trials Huay Aur Achay Results Rahay. Malaria Vaccine Ki 3 Doses Aur Booster Say 80% Cases Reduce Huay Hain. Kuch Mazeed Clinical Trials Kay Baad In Vaccines Ko Concerned Authorities Say Approval Mil Jaey Gi. Aisa Hua To Ye 2022 Kay Baray Breakthroughs Main Say Aik Hoga.

Ozone Layer Ki Bahaali

Insaani Ghaflat Say Zameen Kay Atmosphere Main Mojoud Ozone Layer Thin Ho Rahi Hay. Ye Layer Sooraj Ki Ultraviolet Radiations Ko Absorb Karnay Main Madaadgar Sabit Hoti Hay.

Ozone Layer Main Hole 1970s Main Pehli Baar Discover Hua. Us Waqt Ye Predict Kia Gaya Tha Ke Agar Koi Action Nahi Liya Gaya Tou 2050 Tak Ozone Layer Collapse Kar Jaey Gi. Aisay Honay Say Marine Ecosystem Ko Sakht Nuqsan Hota Aur Insanon Main Cancer Kay Cases Buhat Barh Jatay.

Raftar Bharne Do

Laikin, Aik Collective Global Action Ki Waja Say Ozone Harming Chemicals Ka Istemaal Limit Kia Gaya. United Nations Environment Programme Kay Mutabiq Ozone Layer Fully Recover Honay Kay Track Par Hay Aur 2060 Tak Yeh Theek Hojaey Gi.

Report Main Bataya Gaya Kay 2019 Main Ozone Layer Hole 40 Years Main Sab Say Kam (Smallest) Tha. Year 2020 Aur 2021 Main Ye Hole Expand Hua Taham 2022 Main Ye Mazeed Shrank Hua Hay. 2022 Main Ozone Hole Approximately 8.91 Million Square Miles Shrunk Hoa Hay. 2020 Main Ye Hole Approximately 9.1 Million Square Miles Tha.

James Webb Telescope

2022 Is Liay Bhi Aik Yadgaar Saal Raha Ke Is Jadeed Telescope Say Li Gai Deep Space Ki Tasveerain Pehli Baar Samnay Aayeen. James Webb Space Telescope (JWST) Nay Kamal Ki Photos Zameen Par Bheji Hain.

Raftar Bharne Do

Famous Hubble Telescope Ki Jaga Lenay Wali Ye JWST Nay July Say Cosmic Images Bhejna Shuru Ki Theen. $10 Billion Say Banai Gai Telescope Ka Maqsad Stars Ki Life Cycle Ko Study Karna Hay. Is Say Exoplanets Per Research Main Bhi Kafi Help Mil Sakti Hai.

Ai Ai AI!

Artificial Intelligence (AI) 2022 Mein Buhat Advanced Hui, Balke Pehli Baar Is Level Par Nazar Aai Ke Aam Users Hairan Reh Gaey.

Raftar Bharne Do

Mckinsey Global Survey Ki Ai Per Report Main Bataya Gaya Kay 2017 Say 2022 Main AI Ki Adaptation Double Hogai Hay. 

Is Saal AI Ki Average Number Of Capabilities Main Bhi Izafa Dekha Gaya. Jis Main Robotic Process Automation Aur Computer Vision Bhi Shamil Hain. Service Operations Optimization Main Bhi AI Ka Isteymal Barh Gaya.

Maut Ko Shikast?

2022 Main Medical Science Main Aik Aisi Development Hui Jis Nay Mustaqbil Tay Kar Dia Hay.

Yale University Main Dead Pigs Par Aik Experiment Kia Gaya, Jis Mein Nutrient-Rich Fluid Dead Pigs Ki Body Main Circulate Kiya Gaya. 6 Hours Baad Us Body Kay Kuch Organs Main Dubara Functions Kay Sign Dekhay Gaey. Pigs Kay Hearts, Livers, Kidney Aur Brains Main Cellular Activity Dubara Hona Shuru Ho Gai.

Raftar Bharne Do

Is Experiment Say Future Main Human Organ Transplant Kay Liye Mazeed Innovations Ki Raah Hamwaar Hogi. Is Process Ko OrganEx Ka Naam Diya Gaya Hay.

OrganEx Main Circulatory System Mixture Of Blood Aur “Perfusate” Pump Kiya Gaya. “Perfusate” Fluid-Borne Nutrients Hotay Hain, Jo Circulate Huay To Un Kay Anesthetized Aur Euthanized Organs Active Hona Shuru Ho Gaey, Aur Un Main Cellular Repair Kay Signs Bhi Daikhay Gaey.

شیئر

جواب لکھیں