Pakistan Aur India Ki Test Cricket Ki Batein To Buhat Dinon Say Ho Rahi Hain, Laikin Hamain To Koi Umeed Nazar Nahi Aati. India Pakistan Say Khelna Hi Nahi Chahta Aur Mu’amla “Hum Hain Mushtaq Aur Wo Bezaar” Wala Hay.

Waisay Aap Ko Yaad Hay 2014 Mein BCCI Nay Pakistan Kay Sath Aik MoU Par Sign Kiay Thay? Kaha Gaya Tha Ke Agar Pakistan ‘Big Three’ Kay Ma’mlay Par India Ki Himayat Karay To Us Kay Sath Aglay 8 Saalon Mein 6 Bilateral Series Khelay Ga. Laikin “Wo Wa’da Nahi Jo Wafa Ho Gaya”. Aik Series Tak To Hui Nahi Aur Hum Aaj 8 Saal Baad Bhi Sirf Batein Hi Sun Rahay Hain.

Ab Hamain Pak-India Taakra Sirf Major Tournaments Mein Hi Dekhnay Ko Milta Hay. Aur Jab Bhi Donon Aamnay Samnay Aatay Hain, Donon Mulkon Kay Players Zahir Kartay Hain Ke Wo Buhat Achay Dost Hain. Mohabbat Ka Izhar Hota Hay, Laikin Maazi Aisa Nahi Tha. Tab Political Tensions Kam Theen, Laikin Cricket Stadiums Mein Buhat Tense Environment Hota Tha. Tab Kuch Aisay Incidents Bhi Huay Hain, Jin Say Pata Chalta Hay Ke Pakistan India Rivalry Kis Level Par Hay.

Majid Khan vs Kapil Dev - 1978

Pakistan India Rivalry
(Photo: Getty Images)

Ye 1978 Tha, Jis Mein India Nay Pakistan Ka Tour Kia. Series Ka 2nd Test Lahore Mein Khela Gaya, Jahan Mehman Ka Saamna Tha Pakistan Ki Mighty Batting Line Say Tha: Majid Khan, Mudassar Nazar, Zaheer Abbas, Asif Iqbal, Javed Miandad, Mushtaq Mohammad Aur Imran Khan.

19 Saal Key Kapil Dev Nay Isi Series Mein Debut Kia Tha. Lahore Test Mein Unhon Nay Mudassar Ki Wicket Bhi Lay Li Laikin ‘Mighty’ Khan Majid Khan Ko Out Karna Aasan Nahi Tha. Isi Liay Kapil Nay Negative Tactics Istemal Karna Shuru Kar Deen. Wicket Par Karanay Kay Bajaey Leg Side Say Bahar Ki Line Pakar Li. Thori Dair Tak To Majid Bardasht Kartay Rahay, Aur Phir Phatt Paray. Unhon Nay Aik Stump Ukhari Aur Us Jaga Rakhi Jahan Kapil Bowling Kar Rahay Thay, Aur Kaha Ke Stumps Is Jaga Nahi Hain. 

Ye Live Telecast Honay Wali Pakistan Ki Pehli Series Mein Say Aik Thi, Is Liay Buhat Dekhi Bhi Gai. Isi Liay Ye Moment Bhi Amar Ho Gaya.

Waisay Pakistan Zaheer Abbas Ki Double Century Ki Badaulat Jeet Gaya Tha. Ye Home Ground Par India Kay Against Pakistan Ki Pehli Kamyabi Bhi Thi. Laikin Ye Phir Bhi Ye Match Yaad Rakha Jata Hay Majid Aur Kapil Ki Ki Waja Say. Waisay Aaj-Kal Agar Koi Batsman Is Tarah Ki Harkat Karay To Kya Hoga?


Javed Miandad vs Kiran More – 1992

Pakistan India Rivalry
(Photo: Getty Images)

World Cup 1992 Pakistan Ki Cricket History Ka Climax Tha. Laikin Us Tournament Mein Pakistan Ka Start Buhat Hi Mayoos-Kun Tha. West Indies Kay Khilaf 10 Wickets Say Haaray, England Kay Against Sirf 72 Par All Out Huay, Qismat Thi Ke Barish Nay Yaqeeni Shikast Say Bacha Lia. Aur Phir Muqabla Hua Arch-Rival India Say. Hamain 217 Runs Chase Karnay Thay Aur 2 Wickets Shuru Mein Hi Gir Gaeen, Kuch Sanbhalay Magar 105 Runs Par Aamer Sohail Kya Out Huay, Line Hi Lag Gai.

Ab Aik Baar Phir Nazuk Halaat Thay Aur 'Street Fighter' Javed Miandad Crease Par Thay. Aik Taraf Un Ka Samna Tha Sydney Ki Wicket Par Indian Bowlers Say, To Doosri Janib Unhain Wicket Kay Peechay Say Kiran More Ki ‘Chirping’ Ko Bhi Mounh Dena Par Raha Tha.

More Ki 'Uchal Kood' Dekh Kar Miandad Ki Bardasht Khatam Ho Gai. Unhon Nay Pehlay More Ko Samjhaya Aur Phir Un Ki Naqal Kartay Huay Jumps Lagana Shuru Kar Deen. Match To India Hi Jeeta, Jaisay Wo Har World Cup Mein Jeet'ta Hay, Laikin Miandad Ki Frog Jumps Aaj Bhi Yaad Ki Jati Hain.


Aamer Sohail vs Venkatesh Prasad – 1996

Pakistan India Rivalry
(Photo: Getty Images)

Aik Aur World Cup, Aik Aur Pak-India Taakra Aur Aik Aur Shikast 😐. Pakistan Reigning World Champion Tha, Co-Host Tha, Favourite Tha. 1987 Kay Baad Pehli Baar Aik Pak-India Final Ki Umeed Jagi Thi, Laikin Bad-Qismati Dekhain, Donon Teams Quarter Final Mein Muqabil Aa Gaeen.

Bangalore Mein 285 Runs Ka BIG Target Chase Kartay Huay Pakistani Openers Saeed Anwar Aur Aamer Sohail Nay Indian Bowlers Ki Haalat Patli Kardi. 84 Runs Ki Opening Partnership Kay Baad Score 15th Over Mein Hi 113 Tak Puhanch Chuka Tha. Aur Har Pakistani Ki Tarah Yahan Aamer Sohail Bhi Over Confident Ho Gaey!

Venkatesh Prasad Ko Aik Four Laganay Kay Baad Unhon Nay Boundary Line Ki Taraf Ishara Kia. Shayad Kaha Ke Ball Aik Baar Phir Waheen Bhejoon Ga. Yani Apna Plan Khol Kar Rakh Dia 🤦🏽‍♂️. Prasad Koi Chotay Motay Bowler Nahi Thay, Unhain Pata Chal Chuka Tha Ke Aamer Sohail Next Ball Par Kya Karnay Walay Hain. Is Liay Aisi Ball Ki Ke Pakistani Opener Clean Bowled Clean Ho Gaey. Prasad Nay Aamer Ko Zabardast Send-Off Dia. India Match Mein Wapis Aa Gaya Aur Aisa Aya Ke Aakhir Mein 39 Runs Say Jeet Bhi Gaya. Pakistan Apna Title Ko Defend Nahi Kar Saka.


Shahid Afridi vs Gautam Gambhir – 2007

Pakistan India Rivalry
(Photo: AFP)

2007 Mein Pakistan Nay India Ka Tour Kia Tha. Is Series Kay Kanpur Mein Honay Walay Third ODI Mein Shahid Afridi Aur Gautam Gambhir Ka Jhagra Ho Gaya. Yani Pakistan India Kay Big Mouths. Afridi Ko Aik 4 Laganay Kay Baad Next Ball Par Run Laitay Huay Gambhir Shahid Say Takra Gaey. Jis Kay Baad Donon Nay Aik Doosray Ko Wo Gaalian Deeen Ke Tauba Tauba! Ye Recent Memory Kay Most Heated Pak-India Moments Mein Say Aik Hay.


Kamran Akmal vs Ishant Sharma – 2012

Pakistan India Rivalry
(Photo: BCCI)

2012-13 Mein Last Pak-India Bilateral Series Hui. Test To Koi Nahi Tha Laikin Odi Aur T20s Mein Kamal Ka Muqabla Hua. Christmas Day Par Bangalore Mein Aik T20 Hua Jis Mein Pakistan Nay 133 Ka Ma'muli Sa Target Chase Karna Tha. Mohammad Hafeez Aur Shoaib Malik Ki Century Partnership Match Ka Faisla Kar Chuki Thi. Jab Last Moments Mein Ishant Sharma New Batsman Kamran Akmal Say Ulajh Paray. Aamna Samna Hua, Aankhon Mein Aakhain Daal Kar, Shayad Alfaz Ka Tabaadla Bhi Hua. Aur Phir Mazay Ki Baat Ye Ke Ishant Kay Next Over Mein Hi ‘Kami’ Out Bhi Ho Gaey. Khair, Pakistan Jeet Phir Bhi Pakistan Hi Ki Hui. Laikin Ye Moment Yaad Rahay Ga.

شیئر

جواب لکھیں