Jo Bhi Umeedain Theen, Expectations, Doubts, Khauf, Khatray, Un Sub Kay Saath 2022 Ab Ja Raha Hay. Kai Umeedain Puri Na Ho Sakeen, Kuch Doubts Thay Jo Khatam Ho Gaey. Aisay Fears Bhi Jo Haqeeqat Ban Kar Saamnay Kharay Ho Gaey. Aisa Bhi Hua Ke Jo Impossible Tha, Wo Possible Ho Gaya. Aam Zindagi Say Cricket Kay Maidanon Tak, Buhat Khuch Hua. To Aayen Dekhtay Hain Pakistan Cricket 2022 Mein Kaisi Rahi, Aur Individually Players Kay Liay Bhi Ye Saal Kaisa Raha.
Test Ka Saal, Bura Haal
Cricket Kay Asal Format Yani Test Ki Baat Karain To 2022 Mein Pakistan Ka Haal Buhat Bura Raha. Saal Bhar Mein Green Shirts Nay Sirf 1 Test Jeeta, Aur Home Ground Par To Haal Say Bay-Haal Nazar Aaey, Apnay Hi Maidanon Par 1 Match Bhi Jeetnay Ko Na Mila.
2022 Mein Pakistan Ki Pehli Test Series March Mein Australia Kay Khilaf Hui. Australia Nay Pakistan Ka Aik Historic Tour Kia. Jis Ka Pehla Test Rawalpindi Mein Aik Boring Draw Raha. Karachi Mein Babar Azam Aur Mohammad Rizwan Ki Centuries Nay Pakistan Ko Bachaya. Is Miraculous Performance Kay Baad, Umeed Thi Kay Pakistan Last Test Mein Zabardast Wapsi Karay Ga, Laikin Australia Australia Hay, Lahore Mein Decisive Test 115 Runs Say Jeeta Aur Youn 1-0 Say Jeet Gaya. Result Hamaray Haq Mein Nahi Aaya Laikin Ye Series Thi Buhat Shandaar.
Australia Tour of Pakistan 2022
Test Series
vs | Result | Margin | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
Pakistan | Australia | Draw | - | Rawapindi | 4 Mar 22 |
Pakistan | Australia | Draw | - | Karachi | 12 Mar 22 |
Pakistan | Australia | Lost | 115 Runs | Lahore | 21 Mar 22 |
July Mein Pakistan Nay Sri Lanka Ka Tour Kia, Jahan First Test Mein Kamal Ho Gaya. Galle Ki History Aur Pitch Ka Haal Dekhain To Haar Pakistan Kay Samnay Khari Thi. Laikin Abdullah Shafiq Ki Epic Innings Nay Pakistan Ko 342 Runs Kay Target Tak Puhancha Dia. Wo Bhi Us Waqt Jab 6 Wickets Gir Chuki Theen.
Pakistan Tour of Sri Lanka 2022
Test Series
vs | Result | Margin | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
Pakistan | Sri Lanka | Won | 4 Wkts | Galle | 16 Jul 22 |
Pakistan | Sri Lanka | Lost | 246 Runs | Galle | 24 Jul 22 |
Pakistan Sri Lanka Say Series Jeet Kar Aaya, Jis Kay Baad 2022 Kay Last Month Mein England Ka Host Bana, Aur Kya Mehman-Nawazi Ki, Wah!... Rawalpindi Mein 74 Runs, Multan Mein 26 Runs Aur Karachi Mein 8 Wickets Say Haaray Aur History Mein Pehli Baar Homeground Par 3-0 Say Shikast Khai.
England Tour of Pakistan 2022
Test Series
vs | Result | Margin | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
Pakistan | England | Lost | 74 Runs | Rawapindi | 1 Dec 22 |
Pakistan | England | Lost | 26 Runs | Multan | 9 Dec 22 |
Pakistan | England | Lost | 8 Wkts | Karachi | 17 Dec 22 |
Waisay Pak-England Series Mein Matches Achay Huay Thay, Especially Rawalpindi Aur Multan Test To Saalon Yaad Rahain Jayen Gay, Laikin Pakistan Ko Haarna Nahi Chahiye Tha. Kuch Ghalat Faislay, Selection Ki Kamzori Aur Phir Qismat Bhi Pakistan Ko Phansa Gai.
Is Shikast Kay Sath Hi Pakistan Ki World Test Championship Ka Final Khelnay Ki Umeedain Bhi Khatam Ho Gaeen.
Ab New Zealand Pakistan Kay Tour Par Hay. 2 Test Matches Ki Series Ka Pehla Muqabla Pakistani History Ka Pehla Boxing Day Test Tha. Jo Draw Ki Taraf Ja Raha Tha, Laikin Last Day Kay Last Hour Mein Babar Azam Kay Unexpected Faislay Nay Match Phansa Dia. New Zealand Ko Max. 17 Overs Mein 138 Runs Ka Target Mila, Aur Wo 8th Over Mein 61 Tak Puhanch Bhi Gaya Tha, Yani Agar Pooray Overs Ho Jatay To Usay 57 Balls Par 77 Runs Ki Zarurat Thi, Jo Ban Bhi Saktay Thay. Bus Bad Light Nay Pakistan Ko Bacha Lia.
2022: Pakistan Ki Test Performance
Mat | Won | Lost | Draw | Ave | RPO | HS | LS |
---|---|---|---|---|---|---|---|
9 | 1 | 5 | 3 | 35.62 | 2.96 | 579 | 148 |
Ave = Average Runs Per Wicket, RPO = Runs Per Over, HS = Highest Score, LS = Lowest Score (All Out)
Khair, Jahan Ye Khushi Ki Baat Rahi Ke Is Saal Australia, England Aur New Zealand Jaisi Teams Nay Pakistan Kay Tour Kiay, Waheen Afsos Is Ka Bhi Hay Ke Pakistan Koi Series Jeet Nahi Saka, Balkay Aik Match Mein Kamyabi Say Bhi Mehroom Raha.
ODIs Mein Kya Hua?
Pakistan Is Saal Zyada ODIs Nahi Khela. Laikin Khushi Ki Baat Ye Hay Ke 9 Mein Say Sirf 1 Match Hi Haara Aur Baqi Sab Mein Kamyabi Haasil Ki. Australia Kay Khilaf ODI Series Mein Pakistan 1-0 Say Peechay Janay Kay Baad Bhi Green Shirts 2-1 Say Jeetay. Babar Azam Ki 2 Centuries Victorious Sabit Hueen.
Australia Tour of Pakistan 2022
ODI Series
vs | Result | Margin | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
Pakistan | Australia | Lost | 88 Runs | Lahore | 29 Mar 22 |
Pakistan | Australia | Won | 6 Wkts | Lahore | 31 Mar 22 |
Pakistan | Australia | Won | 9 Wkts | Lahore | 2 Apr 22 |
Phir Pakistan Nay June Mein West Indies Kay Against Bhi 3 ODIs Khelay Aur Sab Jeetay. Waisay June Mein Multan Mein Matches Karwanay Ka Idea Jis Ka Bhi Tha, Usay Salam Hay.
West Indies Tour of Pakistan 2022
ODI Series
vs | Result | Margin | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
Pakistan | West Indies | Won | 5 Wkts | Multan | 8 Jun 22 |
Pakistan | West Indies | Won | 120 Runs | Multan | 10 Jun 22 |
Pakistan | West Indies | Won | 53 Runs | Multan | 12 Jun 22 |
Pakistan August Mein Netherlands Kay Tour Par Gaya, Jahan Buhat Achi Cricket Dekhnay Ko Mili. Jeeta Pakistan Hi, 3-0 Say Aur Is Kay Sath Hi Saal 2022 Mein Pakistan Kay One Day Matches Khatam Ho Gaey.
Pakistan Tour of Netherlands 2022
ODI Series
vs | Result | Margin | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
Pakistan | Netherlands | Won | 16 Runs | Rotterdam | 16 Aug 22 |
Pakistan | Netherlands | Won | 7 Wkts | Rotterdam | 18 Aug 22 |
Pakistan | Netherlands | Won | 9 Runs | Rotterdam | 21 Aug 22 |
Yani Pakistan 2022 Mein Honay Wali Sari ODI Series Jeeta. Shabash Hay Bhai!
2022: Pakistan Ki ODI Performance
Mat | Won | Lost | Ave | RPO | HS | LS |
---|---|---|---|---|---|---|
9 | 8 | 1 | 41.94 | 5.68 | 349 | 206 |
Ave = Average Runs Per Wicket, RPO = Runs Per Over, HS = Highest Score, LS = Lowest Score (All Out)
T20i Mein Pakistan Ka Saal
Pakistan Nay 2022 Mein Total 26 T20is Khelay, Jin Mein Say 14 Mein Kamyabi Haasil Ki Aur 12 Haaray. Start To Australia Kay Khilaf Only T20i Haarnay Say Hua, Laikin Us Kay Baad Asia Cup Aur T20 World Cup Mein Buhat Maza Aaya. Pakistan Ko Asia Cup Mein India Kay Against Aik Yaadgar Jeet Bhi Mili, Laikin Final Mein Sri Lanka Say Shikast Ho Gai.
Phir England Kay Khilaf 7 Matches Ki Series T20 World Cup Ki Tayari Karna Thi. Jaan To Buhat Maari Laikin England Ko Hara Nahi Sakay Jis Nay 4-3 Say Series Apnay Naam Ki.
New Zealand Mein Tri Series Kheli Aur Final Jeeta, To Umeed Paida Ho Gai Ke Pakistan World Cup Mein Koi 'Chamatkar' Dikhaey Ga. Laikin T20 World Cup Mein Pakistan Ka Start Buhat Mayoos-Kun Tha. India Aur Zimbabwe Kay Hathon Shikast Khai Aur Taqreeban Bahar Ho Gaey Thay Ke Netherlands, South Africa Aur Bangladesh Kay Khilaf Jeet Hasil Ki. Phir Netherlands Ki Janib Say South Africa Ko Harana Pakistan Kay Kaam Aa Gaya Jo Semi Final Mein Puhancha Aur New Zealand Ko Hara Kar Final Mein Aa Gaya.
Yahan Pakistan Ka Muqabla England Say Hua Aur Phir Saal Ka Sab Say Bara Heartbreak Hua. Melbourne Mein Pakistan England Ko Nahi Hara Saka Aur Jos Buttler XI World Champion Ban Gai.
Waisay To Pakistan Nay 2022 Mein Asia Cup Aur World Cup Final Haara, Laikin Hum Keh Saktay Hain Ke Is Saal Pakistan Kay Liay Sub Say Acha T20 Format Hi Raha. Pakistan Nay In Donon Baray Tournaments Kay Ilawa New Zealand Tri Series Ka Final Bhi Khela, Balke Wo To Jeeta Bhi.
2022: Pakistan Ki T20i Performance
Mat | Won | Lost | Ave | RPO | HS | LS |
---|---|---|---|---|---|---|
26 | 14 | 12 | 24.10 | 7.91 | 203 | 121 |
Ave = Average Runs Per Wicket, RPO = Runs Per Over, HS = Highest Score, LS = Lowest Score (All Out)
Babar Azam Ka Saal, Laikin Individually!
Agar 2022 Ko Babar Azam Ka Saal Kahain To Ghalat Nahi Hoga. Across The Formats Unhon Nay Is Saal Best Performa Kia. Australia Kay Against 196 Runs Ki Epic Innings Say New Zealand Kay Khilaf 161 Runs Tak, Unhon Nay Is Saal Khud Ko Sabit Kar Dikhaya Hay. Kai Record Torray, Jaisa Ke Aik Saal Mein Sub Say Zyada International Runs Bananay Walay Pakistani Batsman Banay.
Laikin, Babar Ka Rise, Pakistan Ka Fall Bhi Sabit Hua. Individually To Wo Brilliant Rahay, Laikin Zyada-Tar Aisa Hua Ke Un Ki Batting Pakistan Ka Kaam Nahi Aai. Especially, Test Format Mein Ke Jahan Pakistan Saal Mein Sirf 1 Match Jeeta, Aur Home Ground Par To Us Kay Liay Bhi Tarasta Raha.
Individual Performers
Ab Jab Individual Ki Baat Ho Hi Rahi Hay To Aayen Dekhtay Hain Kis Nay Pakistan Kay Liay Best Perform Kia. Obviously Babar Azam Test Aur ODI Format Mein Sab Say Aagay Hain. Unhon Nay Test Mein 17 Innings Mein 69.64 Kay Average Say 1184 Runs Banaey, Jabke Doosra Koi Pakistani Batsman 1,000 Runs Bhi Nahi Bana Saka.
2022: Most Test Runs For Pakistan
Inns | Runs | HS | Ave | 100s | 50s | |
---|---|---|---|---|---|---|
Babar Azam | 17 | 1184 | 196 | 69.94 | 4 | 7 |
Imam-ul-Haq | 16 | 837 | 157 | 55.80 | 3 | 3 |
Abdullah Shafique | 18 | 823 | 160* | 51.43 | 3 | 2 |
Saud Shakeel | 8 | 423 | 94 | 60.42 | 0 | 5 |
Azhar Ali | 11 | 421 | 185 | 38.27 | 1 | 1 |
One Day Internationals Mein Bhi Babar Sab Say Aagay, Sab Say Ooper Hain. Unhon Nay 9 Innings Mein Approx. 85 Kay Average Say 679 Runs Banaey. Imam-Ul-Haq 505 Runs Kay Sath 2nd Number Par Rahay.
2022: Most ODI Runs For Pakistan
Inns | Runs | HS | Ave | 100s | 50s | |
---|---|---|---|---|---|---|
Babar Azam | 9 | 679 | 114 | 84.87 | 3 | 5 |
Imam-ul-Haq | 8 | 505 | 106 | 72.14 | 2 | 4 |
Fakhar Zaman | 9 | 303 | 109 | 33.66 | 1 | 1 |
Mohammad Rizwan | 7 | 201 | 69* | 33.50 | 0 | 2 |
Khushdil Shah | 7 | 166 | 41* | 33.20 | 0 | 0 |
T20i Aisa Format Hay Jis Mein Babar Mohammad Rizwan Ko Peechay Nahi Chhor Sakay. Wicketkeeper Batsman Nay Is Saal 25 Innings Mein 996 Runs Score Kiay, Yani Consecutive 2 Saal 1,000 Say Zyada Runs Bananay Ka Record Bus 4 Runs Say Reh Gaya.
Un Kay Muqablay Mein Babar Azam Innings To 26 Khel Gaey, Laikin 735 Runs Hi Bana Sakay. Is Mein Aik Century Aur 5 Fifties Bhi Shamil Hain.
2022: Most T20i Runs For Pakistan
Inns | Runs | HS | Ave | 100s | 50s | |
---|---|---|---|---|---|---|
Mohammad Rizwan | 25 | 996 | 88* | 45.27 | 0 | 10 |
Babar Azam | 26 | 735 | 110* | 31.95 | 1 | 5 |
Iftikhar Ahmed | 21 | 396 | 51 | 23.29 | 0 | 2 |
Shan Masood | 17 | 395 | 65* | 30.38 | 0 | 3 |
Mohammad Nawaz | 21 | 299 | 45* | 17.58 | 0 | 0 |
Bowlers Ko Dekhain To Test Format Mein Rise Of Abrar Ahmed Saaf Nazar Aata Hay. Unhon Nay Sirf 3 Matches Mein 23 Wickets Haasil Ki Hain. Apnay First Test Mein Hi 11 Wickets Haasil Karnay Ka Karnama Ajnam Dia. Naseem Shah Aur Nauman Ali 18, 18 Wickets Kay Sath Un Say Peechay Rahay.
2022: Most Test Wickets For Pakistan
Mat | Wkts | BBI | Ave | 5w | |
---|---|---|---|---|---|
Abrar Ahmed | 3 | 23 | 7-114 | 30.00 | 2 |
Naseem Shah | 5 | 18 | 4-58 | 30.83 | 0 |
Nauman Ali | 6 | 18 | 6-107 | 47.05 | 1 |
Shaheen Afridi | 4 | 13 | 4-58 | 31.30 | 0 |
Zahid Mahmood | 2 | 12 | 4-235 | 36.16 | 0 |
ODIs Mein Haris Rauf Aur Mohammad Wasim Jr. Nay 15,15 Wickets Hasil Keen.
2022: Most ODI Wickets For Pakistan
Mat | Wkts | BBI | Ave | 5w | |
---|---|---|---|---|---|
Haris Rauf | 7 | 15 | 4-77 | 22.00 | 0 |
Mohammad Wasim | 8 | 15 | 4-36 | 22.86 | 0 |
Mohammad Nawaz | 6 | 11 | 4-19 | 23.09 | 0 |
Naseem Shah | 3 | 10 | 5-33 | 11.10 | 1 |
Shaheen Afridi | 4 | 9 | 4-63 | 19.44 | 0 |
Haris Nay T20i Format Mein Bhi Sab Say Aagay Rahay, Jahan Unhon Nay 23 Matches Mein 31 Players Ko Out Kia. Shadab Khan 25 Wickets Kay Sath 2nd Rahay.
2022: Most T20i Wickets For Pakistan
Mat | Wkts | BBI | Ave | 5w | |
---|---|---|---|---|---|
Haris Rauf | 23 | 31 | 3-28 | 20.74 | 0 |
Shadab Khan | 20 | 25 | 4-8 | 20.56 | 0 |
Mohammad Nawaz | 25 | 22 | 3-5 | 24.40 | 0 |
Mohammad Wasim | 16 | 19 | 4-24 | 23.10 | 0 |
Naseem Shah | 16 | 14 | 2-7 | 30.28 | 0 |
PCB Mein “Inqilab”
Pakistan Cricket Team Nay Jaisi Bhi Performance Di, Koi Tabdeeli Nahi Aai, Laikin Saal Kay Aakhir Mein To “Inqilab” Aa Gaya. Ramiz Raja Kay Sath Poora Setup Hi Lapait Dia Gaya Aur Najam Sethi Aik Baar Phir Chairman PCB Ban Gaey. Yahi Nahi, Selection Committee Ki Bhi Chutti Ho Gai Aur Shahid Afridi Chief Selector Banaey Gaey Hain.
Abhi To Is Setup Nay Qadam Rakha Hay, Laikin Naey Saal Mein Buhat Kuch Badal Sakta Hay. Ho Sakta Hay Ke Babar Azam Ki Kaptaani Bhi Chali Jaey.
Naey Saal Mein Kya Hoga?
Pakistan New Zealand Kay Against Test Aur ODI Series Khelnay Kay Baad January Mein 3 T20 Matches Mein West Indies Ki Mezbani Bhi Karay Ga. Yahi Nahi April Aur May Mein New Zealand 5 T20 Aur 5 ODIs Khelnay Kay Liay Phir Pakistan Aaey Ga.
Is Kay Baad Pakistan Kay International Tour Ka Aaghaz Hoga. July Mein 2 Test Matches Khelnay Kay Liay Pakistan Sri Lanka Jaey Ga. Phir August Mein Afghanistan Kay Sath Aik ODI Series Schedule Hay. September Mein Asia Cup 2023 Hona Hay, Jis Par Bara Hungama Hua Tha. Aur Phir October November Mein India Main ICC World Cup 2023 Hoga.
Pakistan Saal Kay Aakhir Mein Australia Kay Tour Par Jaey Ga, Jahan 3 Test Matches Hon Gay. 7 Saal Baad Boxing Day Test Mein Australia Aur Pakistan Ka Muqabla Hoga. Dekhtay Hain, Ye Saal Pakistan Kay Liay Kaisa Rehta Hay.
Pakistan In 2023
Host | vs | Matches | |
---|---|---|---|
January | Pakistan | West Indies | 3 T20s |
April-May | Pakistan | New Zealand | 5 T20s 5 ODIs |
July | Sri Lanka | Pakistan | 2 Test |
August | Afghanistan | Pakistan | 3 ODIs |
September | Sri Lanka | Asia Cup | 13 ODIs |
October-November | India | ICC World Cup | 48 ODIs |
December | Australia | Pakistan | 3 Test |