Kuch Din Pehlay Kisi Ne Socha Bhi Tha Ke Pakistan T20 World Cup Ka Semi-Final Khailay Ga? Aisa Kisi Die-Hard Pakistani Fan Ke Khwabon Mein Nahi Hoga. Lekin Yeh Pakistan Cricket Hai Bhayya! Yahan Kisi Bhi Waqt Kuch Bhi Ho Sakta Hai. Pakistan vs Bangladesh Match Mein Pakistan Ki Jeet Nay Green Shirts Kay Liay T-20 World Cup Semi-Final Ka Darwaza Khol Dia Hay.

T20 World Cup Ke Group Stage Ke Aakhri Din Netherlands Ke Hathon South Africa Ki Shikast Ne Pakistan Ko Who "Mauqa" Dia, Jis Ka Usay Intizaar Tha. Apnay Last Match Mein Pakistan Nay Bangladesh Ko Hara Kar Final-4 Mein Jaga Bana Li.

Is World Cup Campaigns Mein India Aur Zimbabwe Ke Khilaaf ‘Last Ball Thrillers’ Ke Baad Pakistan Ki World Cup Campaign Ko Buhat Nuqsaan Hua. Lekin South Africa Kay Against Zabardast Jeet Ne Aik “Chance” Zinda Kar Diya. Tha To One-In-A-Million Chance, Lekin Tha To.

Phir ‘Mojza’ Ho Hi Gaya, Netherlands Ne South Africa Ko Hara Diya. Aur Pakistan Ne 128 Runs Chase Karte Hue Bangladesh Ko 5 Wickets Se Hara Dia. Bangladesh Out, Pakistan In!

ICC T20 World Cup 2022

Pakistan vs Bangladesh

6 November 2022

Adelaide Oval, Adelaide, Australia

Result: Pakistan 5 Wickets Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do BAN127-8
Najmul Hossain54 (48)
Afif Hossain24 (20)
PAK BowlingOMRW
Shaheen Afridi40224
Shadab Khan40302
Raftar Bharne Do PAK(T:128)128-5
Mohammad Rizwan32 (32)
Mohammad Haris31 (18)
BAN BowlingOMRW
Nasum Ahmed40141
Mustafizur Rehman40211

Pakistan Ki Mediocre Performance

Waisay Aaj Pakistan Ki Performance Itni Achi Nahi Thi. Especially Fielding Aur Chase Karte Top Order Ki Batting.

Opener Babar Azam Aur Mohammad Rizwan Ne Slowest Possible Start Lia. Aisa Start Jo Bana Banaya Match Kharab Kar Sakta Tha. Rizwan Aur Babar Ne 57 Runs Ki Opening Partnership Ke Liay 63 Balls Khail Leen. Dono Ne Pehlay 10 Overs Mein 28 Dot Balls Kheleen, Yani Approx. Half Overs.

Yahi Nahi Pehlay Fielding Karte Hue Bhi Pakistan Nay Buhat Mayoos Kia. 2 Catches Drop Kiay, Run Out Ke Bhi 2 Mauqay Zaya Kiye.

Bangladeshi Innings

Adelaide Mein Toss Jeeta Bangladesh Ne, Aur Pehlay Khud Khelnay Ka Faisla Kia. Litton Das To Jaldi Out Ho Gaey, Lekin Half Stage Tak Match Bangladesh Kay Control Mein Tha. Soumya Sarkar Aur Najmul Hossain Shanto Pakistani Fielders Se Milnay Walay Chances Ki Madad Se Score Ko 73 Runs Tak Le Gaey.

Yahan Par Shadab Khan Ki, Aik Baar Phir, Over Mein 2 Wickets Say Match Badalna Shuru Ho Gaya. Soumya Sarkar Aur Shakib Al Hasan Ke Jatay Hi Match Palat Gaya.

Jab Najmul Hossain 48 Balls Par 54 Runs Bana Kar Out Huem To Pakistan Muqablay Par Chhaa Gaya. Bangladeshi Batsman Last 42 Balls Par Sirf 36 Runs Hi Bana Sakay. Score 20 Overs Mein 127 Runs Hi Bana. Jo Pakistan Ko Roknay Kay Liay Kafi Nahi Tha.

Shaheen Ki Parwaaz, Aik Baar Phir

Pakistan Ki Taraf Se Shaheen Afridi Ne 4 Wickets Hasil Keen. Aur Aakhir Mein Man Of The Match Bhi Banay. Shaheen Ki 4 Wicketon Ke Ilawa Shadaab Khan Ne Bhi 2 Khiladion Ko Out Kia. Wo Bhi Aik Hi Over Mein.

Aik Baar Phir Haris!

Babar 33 Balls 25 Aur Rizwan 0 Par Chance Milnay Kay Baad Run-A-Ball 32. Is Kay Baad Gears Change Karnay Kay Liay Pakistan Nay Mohammad Nawaz Ko Bheja. Wo To Un Say Bhi Sust Niklay. 11 Balls Par 4 Runs Bana Kar Pavilion Wapis Aa Gaye.

Pakistan Ko 32 Balls Par 36 Runs Ki Zaroorat Thi, Jab Aik Baar Phir Mohammad Haris Nay Perform Kar Kay Dikhaya. Sirf 18 Balls Par 31, Jin Mein 2 Sixes Bhi Shamil Thay. Aakhir Mein Shaan Masood Ke 14 Ball 24 Runs Ne Pakistan Ko Target Tak Pouncha Diya.

Bangladesh, Nakami Ki Wajah

Bangladesh Ki Nakami Ki Aik Barri Wajah Un Ki disappointing Fielding Bhi Rahi. Unhon Ne Pakistan Hi Ki Tarah Run Out Ke Mauqay Bhi Zaya Kiye. Phir overthrows Bhi Diye Aur Catch Tak Chhorey. Jaisay First Over Mein Mohammad Rizwan Ka Aasaan Catch, Jo Wicket Keeper Noor Al Hasan Ne Giraya Tha.

Pakistan, Ab Muqabla Kis Say?

To Pakistan Semi-Final Mein Pounch Chuka Hai. Yahan Us Ka Muqabla Kis Se Hoga? Is Ka Faisla India-Zimbabwe Match Karay Ga. Agar India Jeeta To Woh Group 2 Mein Top Position Lay Ga. Yani Us Ka Semi-Final Thursday 10th November Ko England Se Hoga. Jabkay Pakistan Wednesday 9th November Ko New Zealand Se Khelay Ga.

Haan! Agar Zimbabwe Nay Aik Aur Upset Kardia To Pakistan Group Mein Top Par Hoga. Yoon Usay England Se Semi-Final Khelna Parray Ga.

شیئر

جواب لکھیں