Test Cricket Mein Pakistan Kay Liay 2022 Ka Start Bhi Draw Kay Sath Hua Aur End Bhi. Koshish To Hum Nay Buhat Ki Ke New Zealand Kay Against 1st Test Draw Na Ho, Laikin Mehmanon Ki Qismat Ke Babar Azam Kay Diay Gaey Open Chance Ka Faida Nahi Utha Sakay. 

Jee Haan! Babar Azam Nay Pakistan Ki 2nd Innings Declare Karnay Ka Jo Faisla Kia, Wo Kisi Ko Samajh Nahi Aaya, Shayad Khud New Zealand Ko Bhi Nahi, Ke Akhir Unhain Max. 17 Overs Mein 138 Runs Chase Karnay Ka Chance Kyun Dia Ja Raha Hay? 

Khair, Babar Ki Batein, Babar Hi Janay! Najanay Unhain Achanak Ye Khush-Fehmi Kahan Say Ho Gai Ke Hamari Bowling Line New Zealand Ko 17 Overs Mein All Out Kar Sakti Hay. Wo Jo First Innings Mein 195 Overs Phenk Kar Bhi Opponent Ko All Out Nahi Kar Paey, 17 Overs Mein Kya Kar Laitay?

New Zealand Tour of Pakistan 2022-23 - 1st Test

Pakistan vs New Zealand

26-30 December 2022

National Stadium, Karachi, Pakistan

Result: Match Drawn

Raftar Bharne Do PAK1st Innings438
Babar Azam161 (280)Tim Southee3-69
Agha Salman103 (155)Michael Bracewell2-72
Raftar Bharne Do NZ1st Innings612-9d
Kane Williamson200* (395)Abrar Ahmed5-205
Tom Latham113 (191)Nauman Ali3-185
Raftar Bharne Do PAK2nd Innings311-8d
Imam-ul-Haq95 (206)Ish Sodhi6-86
Saud Shakeel55 (108)Michael Bracewell2-82
Raftar Bharne Do NZ(Target: 138)61-1
Tom Latham35 (24)Abrar Ahmed1-23
Devon Conway18 (16)Agha Salman0-15

Chance Lia Gaya Ya Dia Gaya?

Is Brain Fade Kay Baad Bhi Press Conference Mein Babar Azam Nay Kaha Ke Hum Nay Declaration Say Aik Chance Lia.

Aray Kaun Sa Chance Bhai? Jisay Aap Chance Laina Samajh Rahay Hain, Sub Kay Khayal Mein Wo Chance Dena Tha. Pakistan Ki “Mahan” Bowling Line 15-17 Overs Mein New Zealand Ko Kya All Out Karti, Ulta Black Caps 138 Runs Chase Karnay Ki Position Mein Thay.

New Zealand 1 Wicket Girnay Kay Bawujood 6 Overs Mein Hi 55 Runs Bana Chuka Tha. Wo To Bhala Ho Ke Bad Light Nay 8th Over Mein Khel Khatam Kardia, Warna Pakistan Ka Khel Khatam Ho Jata.

Babar vs Stokes?

Babar Fans To Is Faislay Ko Ben Stokes Ki Rawalpindi Mein Declaration Say Compare Kar Rahay Hain. Laikin Shayad Wo Bhool Rahay Hain Ke Pakistan Ko Wahan 343 Ka Bara Target Dia Gaya Tha. Pakistan Jis Rate Say Test Cricket Mein Runs Banata Hay, Us Kay Target Tak Puhanchnay Say Kaheen Zyada Chances England Kay Jeetnay Kay Thay. Aur Phir England Nay Last Session Mein Jeet Kar Bhi Dikha Dia. 

Stokes Ka Faisla Aik Captain Ka Apni Team Par Bharosa Zahir Karta Hay Aur Babar Ka Youn Innings Declare Karna Aik Aisa Decision, Jis Ki Koi Sense Nazar Nahi Aati. 

Bhola Babar 

Babar Azam
(Photo: Getty Images)

Aik Aisay Waqt Mein Jab Babar Azam Ki Kaptani Par Sakht Tanqeed Ho Rahi Hay, Is Faislay 2022 Kay Aakhri Sooraj Kay Sath ‘Bobby’ Ki Kaptaani Bhi Doob Jati. Unhain To Shukranay Kay Nawafil Parhnay Chahiyen Ke New Zealand Ka Karachi Heist Reh Gaya. 

Waisay Ho Sakta Hay Babar Ko Maloom Hi Na Ho Ke Test Jeetnay Kay Liay Last Innings Mein 10 Wickets Laina Parti Hain? 😉

Afsosnaak Saal

Khair, Is Tarah Home Ground Par Pakistan Ka Saal Baghair Jeetay Hi Khatam Ho Gaya. 2022 Mein Jahan Australia, England Aur New Zealand Jaisi Teams Ki Pakistan Aamad Par Khushi Hui, Waheen Results Hamaray Liay Buhat Buray Rahay.

2022: Pakistan, Test Cricket Aur Home Ground

Mat.WonLostDraw
7043

Jo Matches Pakistan Ko World Test Championship Kay Final Mein Puhancha Sakta Thay, Hum Nay Un Mein Utni Hi Buri Performance Dikhai. Itni Buri Ke Ke Saal Har Mein Home Ground Par 1 Test Tak Nahi Jeet Sakay. Ab To Dil Chah Raha Hay Zaur Zaur Say Kahain “Yaar! Inhain Dubai Wapis Lay Jao!” 

شیئر

جواب لکھیں