Pakistan Asia Cup 2022 Ka Final Haara, Us Kay Baad England Kay Khilaf T20 Series Kay Last Aur Decisive Match Main Bhi Shikast Khai, Laikin Is Martaba Aisa Nahi Hua, Nawaz Nay Honay Nahi Dia. Pakistan New Zealand Kay Khilaf Tri-Series Ka Final 5 Wickets Say Jeet Gaya. World Cup Ki Is Say Achhi Tayari Ho Nahi Sakti.
Is Jeet Main Surprisingly Middle Order Nay Buhat Important Role Play Kia, Aray Nahi Asif Ali Nay Nahi, Wo To Aik Martaba Phir Buri Tarah Nakam Huay. Ye Mohammad Nawaz Thay Jinhon Nay Hyder Ali Aur Iftikhar Ahmed Kay Sath Mil Kar Match Finish Kia.
Nawaz Nay 22 Balls Par 3 Fours Aur 2 Sixes Ki Madad Say Not Out 38 Runs Baney Aur Hyder Ali Kay 15 Ball 31 Runs Kay Sath Pakistan Ko Mushkil Halaat Say Nikala.
164 Runs Kar Target Chase Kartay Huay Pakistan Ka Start Buhat Slow Tha. Power Play Main Sirf 33 Runs Banay Aur 10 Overs Main Bhi Only 64 Runs Thay. Yahan Par Shan Masood Aur Mohammad Rizwan Out Huay To Required Run Rate 10 Say Bhi Ziada Tha.
Tab Hyder Ali Aur Nawaz Nay Zabardast Intent Show Kia. Donon Nay Taqreeban Har Over Main Boundary Hasil Ki, Balkay 15th Over Main To Ish Sodhi Say 25 Runs Loot Tak Liay. Is Main 1 Four Aur 3 Sixes Shamil Thay.
Yoon Pakistan Aik Comfortable Position Main Aa Gaya, Usay Last 5 Overs Main 42 Runs Required Thay. Yahan Hyder Ali Out Ho Gaey Aur Nawaz Kay Sath 26 Balls Par 56 Runs Ki Kamal Partnership Bhi Khatam Hui. Tab Asif Ali Aaey Aur Aik Minute Main Wapis Bhi Aa Gaey.
Is Say Pehlay Ke Kahani Main Koi Naya Twist Aata, Iftikhar Ahmed Nay Match Sanbhal Lia. Nawaz Kay Sath Wo Match Ko Last Over Tak Laey Aur Six Kay Sath Pakistan Ko Title Jitwa Dia.
Pehlay Pakistan Nay Toss Jeet Kar Bowling Karnay Ka Faisla Kia Tha. Aur New Zealand Nay Captain Kane Williamson Kay 38 Balls 59 Runs Ki Badaulat 163 Runs Banaey.
Match Ka Turning Point New Zealand Ki Innings Kay Last 5 Overs Thay, Jin Main Pakistani Bowlers Nay Sirf 33 Runs Diay. Haris Rauf Nay Last 2 Oves Main Sirf 10 Runs Day Kar Sabit Kia Ke Wo Dunya Kay Khatarnak Death Over Bowlers Main Say Aik Hain. Haris Nay Apnay 4 Overs Main Sirf 22 Runs Diay Aur 2 Out Kia, Naseem Shay Nay Bhi 2 Shikar Kiay. Shadab Khan Aur Mohammad Nawaz Ko 1 Wicket Mili. Isi Allround Performance Ki Waja Say Akhir Main Nawaz Ko Man Of The Match Award Dia Gaya.
T20 World Cup Say Sirf Kuchh Din Pehlay Is Tarah Final Jeetnay Pakistan Ka Confidence Build Karay Ga. Especially Middle Order Ka Match Finish Karna Pakistan Kay Liay Achhi Baat Hay. Dekhtay Hain Pakistan World Cup Main Is Momentum Ko Kaisay Istamal Karta Hay.