Pakistan Main Jab Awam 9 November Ko Iqbal Day Mana Rahay Thay, Tab Hazaron Kilometers Door Iqbal Kay Shaheenon Nay Maidan Mar Liya. Jee Haan! Agar Aap Miracles Par Believe Nahi Kartay To Ab Zaroor Karain Gay. Pakistan New Zealand Semi-Final Mein Shaheen Jeet Gaey Aur T20 World Cup 2022 Kay Final Mein Puhanch Gaey Hain. 13 Saal Baad Pehli Baar!

ICC T20 World Cup 2022 - First Semi-Final

Pakistan vs New Zealand

9 November 2022

Sydney Cricket Ground, Sydney, Australia

Result: Pakistan 7 Wickets Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do NZ152-4
Daryl Mitchell53 (35)
Kane Williamson46 (42)
PAK BowlingOMRW
Shaheen Afridi40242
Mohammad Nawaz20121
Raftar Bharne Do PAK(T:153)153-3
Mohammad Rizwan57 (43)
Babar Azam57 (43)
NZ BowlingOMRW
Trent Boult40332
Mitchell Santner40261

Ye Wohi Team Hay Jo India Aur Zimbabwe Say Haari, Tournament Say Taqreeban Bahar Thi. Laikin Phir ‘Qudrat Ka Nizam’ Shuroo Ho Gaya. Jahan Pakistan Nay Netherlands, South Africa Aur Bangaldesh Ko Haraya, Waheen Ye Netherlands Ki South Africa Par Kamyabi Thi, Jis Nay Dunya Ko Hairan Aur Hamain Shadman Kardia. Yahi Wo Result Tha Jis Nay Hamara Semi-Final Ka Raasta Saaf Kia.

'Usual Suspects' Ka Kirdar

Pakistan New Zealand Semi-Final Mein Hamari Kamyabi Mein Bunyadi Kirdaar ‘Usual Suspects’ Ka Raha: Babar, Rizwan Aur Shaheen. Jahan Shaheen Afridi Ki Wickets Nay Pakistan Ko Initial Momentum Dia, Waheen Babar-Rizwan Ki ‘Aik Aur’ Century Partnership Nay Jeet Ko Yaqeeni Banaya.

Sydney Mein Honay Walay Is Semi-Final Mein ‘All-Important’ Toss New Zealand Nay Jeeta. Laikin Shaheen Afridi Nay Pehlay Spell Mein Hi Toss Jeetnay Ka Advantage Khatam Kardia. Unhon Nay First Over Mein Finn Allen Ko LBW Kia. Mazay Ki Baat Ye Hay Ke Wo Pichhli Ball Par Bhi LBW Out Diay Gaey Thay, Laikin Review Par Bach Gaey. Faida Phir Bhi Koi Nahi Hua, Kyunke Shaheen Nay Next Ball Par Hi Unhain Chalta Kardia.

Shadab Ka Golden Arm

Powerplay Ki Last Ball Par Shadab Khan Ki Direct Throw Nay Khatarnaak Devon Conway Ko Run-Out Kardia. Momentum Totally Pakistan Kay Haq Mein Chala Gaya Aur Phir Akhir Tak Pakistan Nay Isay Lose Nahi Kia.

To, Glenn Phillips Ki Wicket Kay Sath To New Zealand Apnay Shell Mein Chala Gaya. Kane Williamson Aur Daryl Mitchell Ki 68 Runs Ki Partnership Nay Score 117 Runs Tak Puhancha Dia. Mitchell 35 Balls Par 53 Runs Kay Sath Not Out Rahay Laikin Un Ki Poori Koshish Bhi New Zealand Ko 152 Runs Tak Hi Puhancha Saki.

Babar-e-Azam Aur Rizwan-e-Azam

Target Pakistan Kay Liay Bilkul Aasan Sabit Hua, Babar Azam Aur Mohammad Rizwan Ki 105 Runs Ki Partnership Ki Badaulat. Babar-e-Azam Aur Rizwan-e-Azam Bilkul Sahi Time Par Click Kar Gaey. Aik Arsay Kay Baad Donon Ki Century Partnership Dekhnay Ko Mili. Aik Baray Match Mein Barri Partnership!

Waisay Hadaf Bura Nahi Tha. Bus Babar Ki Raftar Rizwan Kay Sath Nay Kaam Kar Dia. Aaj Babar Mein To ‘Puranay Babar’ Ki Jhalak Nazar Aai, Wo Jisay Hum Bhool Chukay Thay. Waisy Ye T20 World Cup History Ki 3rd Riz-Babar Partnership Thi, Jo Aik Record Hay.

Babar Azam 42 Balls Par 53 Runs Bananay Kay Baad Innings Ka Pehla Six Laganay Ki Koshish Mein Out Huay. Rizwan Nay 43 Balls Par 57 Runs Banaey. Un Kay Ilawa Mohammad Haris Nay Aaj Bhi Aik Umda Innings Kheli. Unhon Nay 2 Fours Kay Sath Pakistan Ka Only Six Lagaya Aur 26 Balls Par 30 Runs Banaey.

Ab T20 World Cup Ka Doosra Semi-Final India Aur England Kay Darmian Hoga. Yahan Jo Jeetay Ga Wo Sunday 13 November Ko Melbourne Cricket Ground Par Pakistan Say Khelay Ga. Yani ‘Greatest Final Ever’ Ki Umeed Ab Bhi Mojood Hay. Nahi Bhi Hua To “92 Mein Bhi” Pakistan Aur England Hi Khelay Thay.

شیئر

جواب لکھیں