Jis Tarah ‘Naya Pakistan’ Pasand Nahi Aaya, Aur ‘Purana Pakistan’ Bahaal Kardia Gaya, Waisay Hi ‘Naey PCB’ Ko Bhi Lapait Dia Gaya Hay. Finally, Ramiz Raja Ka Raj Khatam Hua Aur Najam Sethi Aik Baar Phir Pakistan Cricket Board Kay Seth Ban Gaey Hain. Laikin Achanak Aisa Hua Kyun?

Waja Kya?

Mas’lay To Buhat Say Thay. April Mein Imran Khan Ki Government Janay Kay Baad Say Ramiz Raja Par Aik Talwar To Latak Hi Rahi Thi, Laikin Ab Achanak Un Ko Nikaalnay Kay 2 Reasons Nazar Aatay Hain: Aik To Pakistan Ki England Kay Khilaf 3-0 Ki Historic Defeat, Aur Doosra Peshawar Kay Hawalay Say Bayan.

Is Ka Ishara Hamain Najam Sethi Kay Us Bayan Say Milta Hay, Jo Unhon Nay Charge Sanbhaltay Hi Dia Hay Ke Peshawar Mein Next Year Say International Cricket Hogi.

Khair, Najam Sethi Ki Sarbarahi Mein Aik 14 Members Ki Uboori Committee Banai Gai Hay. Jis Kay Paas PCB Constitution Mein Changes Karnay Kay Liay 4 Maheenay Hain. Aakhir Ye Changes Kyun Zaruri Hain? Is Liay Ke 2019 Mein PCB Nay 2014 Ka Constitution Khatam Kardia Tha.

2014 Ka Constitution Bahaal Honay Ki Soorat Mein Sab Say Zyada Faida Domestic Players Ko Hoga, Jo Departmental Cricket Band Honay Ki Waja Say Pareshan Thay. Is Ki Baat Bhi Najam Sethi Nay Apnay Tweet Mein Ki Hay. 

Najam Sethi Ka Pehla Daur

Najam Sethi 2013 Say 2018 Tak PCB Kay Chairman Rahay. Is Daur Mein Buhat Say Kaam Huay, Jin Mein Pakistan Super League Ka Start Bhi Shamil Hay. Laikin 2018 Mein Imran Khan Kay Prime Minister Bantay Hi Najam Sethi Nay Resign Kardia.

Phir, Ramiz Raja September 2021 Mein Chairman Banay, Aur Imran Khan Kay Against Vote Of No Confidence Motion Kamyab Ho Janay Aur In Ki Hukoomat Chalay Janay Kay Baad Bhi Wo Mojoud Rahay. Yahan Tak Ke England Kay Hathon Clean Sweep Nay Un Ka Daur Khatam Kardia.

2022 Pakistan Cricket Kay Liay Aik Ajeeb Saal Raha. Jis Mein Pakistan Home Ground Par Donon Barri Test Series Haara, Waheen Apnay Grounds Par Aik Test Bhi Nahi Jeet Saka. England Kay Against 7 T20i Matches Ki Series Mein Bhi Shikast Khai. Haan! Isi Saal Pakistan T20 World Cup Kay Final Mein Puhancha, Aur 2 High Profile Tours Bhi Huay, Laikin Ye Karnama Bhi Ramiz Raja Ko Bacha Nahi Saka.

شیئر

جواب لکھیں