Dosti Aisa Naata, Jo Sonay Se Bhi Mehanga. Yeh Song Tou Aap Nay Suna Hoga. Kia Aap Bhi Childhood Friends Yani Bachpan Kay Doston Say Abhi Tak Rabtay Main Hain. Kia Aap Ki Long Term Friendships Adulthood Main Aker Bhi Continue Hain? Ager Aisa Hay Tou Iss Special Bond Yani Kay Friendship Kay Bauhat Saray Benefits Hain. Aap Ko Apnay Dost Kay Baray Main Sab Kuch Maloom Hota Hay. Dukh Dard Aur Khushi Gham Kay Sathi Honay Kay Sath Aap Nay Mutual Bond Ko Strongly Develop Kia Hota Hay.

Aap Ki Zindagi Main Dost Ko Hamesha Ehmiyat Di Jati Hay. Yeh Dost Aap Kay Baray Main Sab Kuch Jantay Hain. Ager Aap Bachapan Kay Dost Kay Sath Baray Honay Kay Sath Bhi Rabtay Main Hain Aur Aap Ki Dosti Barqar Hay Tou Aap Waqi Bauhat Lucky Hain.

Kuch Mamlat Main Yeh Bhi Dekha Gaya Kay Lifelong Friendships Kay Nuqasanat Bhi Hotay Hain. Woh Dost Hi Aap Kay Drawbacks Ki Waja Bhi Hosakta Hay. Un Ki Waja Say Bhi Hamari Lives Main Enhancement Nahi Aati Aur Hum Mentally Bhi Grow Nahi Ker Patay. Bachpan Ki Dostiyun Say Inkaar Nahi Mager Yeh Samajhna Bhi Zaroori Hay Kay Kis Waqt Un Say Doar Hojaya Jaei Ya Un Ko Khatam Kerdia Jaei.

Positive Aspects Of Friendships

Jab Aap Successfully Apnay Career Main Grow Ker Rahay Hotay Hain, Us Waqt Aap Kay Sath Bachpan Kay Dost Honay Kay Mental Health Benefits Bhi Hain. Yeh Dost Hi Hotay Hain Jin Say Hum Apnay Career Advices Laitay Hain. In Kay Sath Hamari Zindagi Bhar Ki Yaadain Hoti Hain. In Ko Andaza Hota Hay Kay Hum Kaab Pareshan Hotay Hain Aur Kis Baat Say Hum Ko Khushi Hoti Hay.

Inn Memories Say He Aap Bauhat Kuch Seekhtay Hain Aur Yeh Experience Aap Ki Daily Life Main Bhi Bauhat Kaam Aata Hay.

Aap Apnay Dost Ya Doston Kay Sath Zindagi Bhar Rehnay Ka Ehaad Kertay Hain Aur Yeh Dost He Hotay Hain Jo Dosron Say Ziada Aap Kay Baray Main Jantay Hain.

Psychological Science Main Publish Honay Wali Study Main Bataya Gaya Hay Kay Jo Boys Apna Bachpan Friends Kay Sath Ziada Guzartay Hain, Tou Woh Early Thirties Main Healthy, Lower Blood Pressure Aur Lower BMI Rakhtay Hain. Childhood Main Doston Kay Sath Guzara Gaya Acha Waqt Adulthood Main Aker Bauhat Faida Mand Rehta Hay.

Friendships In Tested Times

Teenage Aur Young Adulthood Ki Friendships Us Waqt Hoti Hay Jab Hum Transformational Phase Say Guzar Rahay Hotay Hain. Life Aur Personality Main Major Changes Kay Sath Aap Ki Logon Ki Taraf Tawaju Ziada Hoti Hay. Aap Ki Personality Main Us Waqt Change Araha Hota Hay.

Childhood Friends Kay Baad, Adulthood Friendship Ka Era Ata Hay. Yeh Woh Waqt Hota Hay Jab Hum Apnay Bachpan Kay Doston Say Doar Hojatay Hain Aur New Friends Bana Laitay Hain. Yeh Aap Ka Koi New Neighbor, Office Colleague Ya Gym Main Milnay Walay Bhi Hosaktay Hain. In Ko Aap Kay Bachpan Ka Tou Nahi Pata Hota Mager Yeh Aap Kay New Best Friend Baan Jatay Hain.

Negative Aspects Of Childhood Friendships

Kabhi Kabhi Childhood Friends Knowingly Ya Unknowingly Hamari Growth Ko Limited Ker Daitay Hain. Woh Dost Aap Ko Agaey Barhnay Nahi Daitay Aur Un Ki Nazar Main Waqt Guzarnay Kay Sath Bhi Aap Ka Wohi Image Hota Hay Jo School Main Qaim Hoa Tha.

Aap Ager Successful Business Man Ya Cooperate Sector Main Achi Post Per Hain, Mager Aap Kay Dost Ki Nazar Main Aap Waisay Hi Hongae Jaisa Woh Aap Ko School Mai Samajta Tha. Yahan Problem Hoti Hay Kai Aap Shayed Thora Uncomfortable Feel Kerain Aur Iss Liye Aab Aap Unko Avoid Kerna Churu Kerdaitay Hain.

Losing Childhood Friendships

Jab Aap Apnay Childhood Friend Ya Long Term Friend Say Dour Horahay Hotay Hain Tou Yeh Aik Challenging Phase Hota Hay. Yeh Faslay Kisi Na Kisi Waja Kay Taihat Hotay Hain. Ya Aap Shift Horahay Hotay Hain Ya Phir Aap Job Ki Waja Say Busy Hojatay Hain. Aap Ka Milna Apnay Doston Say Kaam Hojata Hay Mager Phir Yeh Bond Weak Hojata Hay Aur Childhood Ki Friendships Khatam Hojati Hain.

Aisa Bhi Hota Hay Kai Aap Kay Un Doston Ya Kisi Aik Dost Main Kuch Aisi Adaatain Hon Jo Aap Ko Pasand Na Hon Ya Un Say Aap Ko Nuqsan Hosakta Hay, Iss Liye Bhi Aap Douri Ikhteyaar Kernay Ko Behtar Samajtay Hain.

Inn Halaat Main Jo Childhood Friendships Adulthood Tak Barqarar Rehti Hain Woh Bauhat Valuable Hoti Hain. Lifelong Friends Jin Say Aap Ki Childhood Main Dosti Hoi Woh Aap Kay Mushkil Halaat Main Bhi Aap Kay Sath Kharay Rehtay Hain. Yeh Loog Aap Kay Sath Honest Hotay Hain. Inn Relations Main Trust Level High Hota Hay Aur Aap In Ki Company Main Bauhat Comfortable Feel Kertay Hain.  

شیئر

جواب لکھیں