Lo Bhai! Ban Gai One Day Internationals Main Aik Aur Double Century. Aik Baar Phir Aik Indian Batter Nay 200+ Score Kar Diay. New Zealand Kay Against Home Series Main Shubman Gill Nay 208 Runs Ki Innings Khel Dali, Wo Bhi Sirf 149 Balls Per Aur 19 Fours Aur 9 Sixes Kay Sath.

Shubman Gill Ki Ye Innings New Zealand Kay Against Highest ODI Score Bhi Bani. Un Say Pehlay Sachin Tendulkar Nay Hyderabad Deccan Main Hi 186 Runs Ki Not Out Innings Kheli Thei.

Indian Batter Shubman Gill Ki Age 23 Years Aur 132 Days Hay Aur Woh ODI Kay Youngest Double Centurion Bhi Ban Chukay Hain. In Say Pehlay India Kay Hi Ishan Kishan Nay 24 Years 145 Days Main Double Century Banai Thi.

Gill Ki Innings Ki Khas Baat Yeh Bhi Hay Kay Yeh Kisi Indian Batter Ki 7th Double Century Hay. ODIs Main Ab Tak 10 Double Centuries Score Ho Chuki Hain. Aur Sath Hi Ye Kisi Indian Ground Per 5th  200+ Hay.

Sath Hi Shubman Gill Nay ODI Format Main 1000 Runs Bhi Complete Kerliye Hain. Woh Pakistani Batter Imam Ul Haq Kay Sath Joint 2nd Fastest Player Hain Jinhon Nay 1000 Runs Complete Kiye Hain. Waisay Yeh Record 18 Innings Kay Sath Fakhar Zaman Kay Pass Hay.

Is Performance Ko Dunya Bhar Main Khoob Saraha Jaraha Hay. Shubman Gill Twitter Per Top Trend Ban Gaei Hain Aur Un Ki Bharpur Tareef Horahi Hay.

ODI Ki Biggest Innings

Ab Tak ODI Cricket Main 10 Double Centuries Score Hui Hain. India Kay Rohit Sharma 264 Runs Kay Sath Is List Main Top Per Hain. Doosray Number Per New Zealand Kay Martin Guptill Hain, Jinhon Nay 237 Runs Banaey Thay.

Phir Aatay Hain India Kay 'Viru' Virender Sehwag. Unhon Nay 219 Runs Ki Toofani Innings Kheli Thi. West Indies Kay Chris Gayle 215 Runs Kay Sath 4th Position Per Hain.

Pakistan Kay Only Batter Fakhar Zaman Hain, Jinhon Nay 210* Runs Banaey Thay. Ishan Kishan Ki Innings Bhi 210 Runs Ki Thi.

Rohit Ki Baat Karain To Lagta Hay Wo Aadat Say Majboor Ho Kar Double Centuries Banatay Hain. ODI Main Un Ki Aik Nahi, 2 Nahi Balkay 3 Double Centuries Hain. 264 Ki Highest Innings Kay Baad Un Ki Baqi 2 Innings 209 Aur 208 Runs Ki Hain.

Waisay ‘Asli Tay Wadday‘ Double Centurion Thay Sachin Tendulkar. Wo Ke Jinhon Nay 2010 Main Pehli Baar Ye Karnaama Anjam Dia. South Africa Kay Against Gwalior Main Khelay Gaey Aik Historic Match Mein Sachin Nay Men's Cricket Main First ODI Double Hundred Banai Thi.

One Day International Ki Highest Individual Innings

Runsvs.VenueDate
Raftar Bharne Do Rohit Sharma264Sri LankaKolkata13 Nov 2014
Raftar Bharne Do Martin Guptill237*West IndiesWellington21 Mar 2015
Raftar Bharne Do Virender Sehwag219West IndiesIndore8 Dec 2011
Raftar Bharne Do Chris Gayle215ZimbabweCanberra24 Feb 2015
Raftar Bharne Do Fakhar Zaman210*ZimbabweBulawayo20 Jul 2018
Raftar Bharne Do Ishan Kishan210BangladeshChattogram10 Dec 2022
Raftar Bharne Do Rohit Sharma209AustraliaBengaluru2 Nov 2013
Raftar Bharne Do Rohit Sharma208*Sri LankaMohali13 Dec 2017
Raftar Bharne Do Shubman Gill208New ZealandHyderabad Deccan17 Jan 2023
Raftar Bharne Do Sachin Tendulkar200*South AfricaGwalior24 Feb 2010
شیئر

جواب لکھیں