Karachi Mini Pakistan Hay. Yahan Pakistan Ki Har Zabaan Bolnay Walay Aur Har Qomiat Se Talluq Rakhnay Walay Log Abad Hain. Qayam-e-Pakistan Se Pehlay Bhi Karachi Aik Bara Tijarti Markaz Honay Ki Wajah Se Mukhtalif Qomiton Ki Aamajgah Tha. Yahan Musalman, Hindu, Parsi, Christians Samait Mukhtalif Mazahab Aur Sindhi, Gujrati, Memon, Baloch Samait Mukhtalif Zabanon Ke Bolnay Walay Rehtay Thay. Karachi Ke Pehlay Mayor Ka Talluq Bhi Parsi Family Se Tha. Un Ke Baad Hindu Aur Christian Bhi Karachi Ke Mayor Rahay Thay.

Pakistan Bana To Karachi Ko Federal Capital Banaya Gaya. India Se Bari Tadaad Main Migrate Karkay Anay Walay Musalmanoon Ne Bhi Isay Apna Naya Ghar Banaya. Shehri Ki Abadi Aur Raqba Barhta Gaya. Roshiniyon Ke Shehar Main Siyasi, Saqafati Aur Sanati Sargarmian Mazeed Barh Gayeen. 50s Main Federal Capital Honay Ki Wajah Se Karachi Ke Halaat Nisbatan Behtar Rahay.

60s Main Islamabad Ko Federal Capital Bana Diya Gaya, Karachi Ki Industrial, Cultural  Aur Political Hesiyat To Kam Nahi Hui Magar Poooray Mulk Ka Muashi Pahiya Chalanay Walay Shehar Ki Haq Talfi Ka Aisa Silsila Shuru Hua Jo Aaj Tak Jari Hay. Ayub Khan Ke Daur Main Basic Democracy Ka Nizaam Introduce Karaya Gaya Aur Shehar Ko Mayor Ke Bajaye Administrator Ke Zariye Chalaya Jane Laga. Ayub Khan Ke Baad Yahya Khan Aaye. Mulk 2 Tukray Hogaya Magar Karachi Ke Halaat Bad Se Badter Hotay Gaye.

Bhutto Aur Zia Ke Daur Main Karachi Ka Baldiati Mandate

Yahya Khan Ke Baad Mulk Sambhalay Walay Zulfiqar Ali Bhutto Ka Bhi Karachi Se Khusoosi Talluq Tha. Unhon Ne Liyari Ko Peoples Party Ka Garh Banadiya Lekin Is Daur Main Sindh Ki Shehri Siyasat Par Jamaat-e-Islami Aur Doosri Mazhabi Jamaten Chhai Hui Theen. Bhutto Ne 1973 Ke Constitution Main Quota System Ko Qanooni Tahaffuz Day Kar Rural Aur Urban Sindh Ki Tafreeq Ko Barhaya. Zulfiqar Ali Bhutto Ka Poora Daur Siyasi Afratafri Ka Shikaar Raha. Aisay Main Karachi Ko Is Ka Haq Kya Milta. Shehar Tou Phialta Raha Magar Is Ke Masail Bhi Barhatay Rahay.

Zia ul Haq Ke Daur Main Baldiati Nizaam Dobarah Nafiz Kya Gaya Tou Jamaat-e-Islami Ke Abul Sattar Afghani Karachi Ke Mayor Banay. 1983 Main Wo Dobarah Mayor Muntakhib Huay. Un Ke Daur Main Karachi Ki Behtari Ke Liye Kayi Mansoobay Mukammal Kiye Gaye. Shehar Ki Haalat Sanwarnay Lagi Thi. Karachi Ke Urdu Bolnay Walay Ziyada Tar Jamaat-e-Islami Hi Se Wabasta Thay. Is Se Pehlay 11 June 1978 Ko Altaf Hussain Aur Un Ke Sathiyon Ne All Pakistan Muhajir Students Organization (APMSO) Ke Naam Se Aik Tanzeem Qaim Ki Thi. 18 March 1984 Ko APMSO Ko Aik Mukammal Siyasi Tanzeem Muhajir Qaumi Movement (MQM) Main Badal Diya Gaya.

MQM Ne Sindh Ke Shehri Elaqon Ki Waris Honay Ka Daawa Kya. Nai Jamaat Ko Be Panah Maqboliat Bhi Mili. 1988 Ke Election Main Karachi Se Qaumi Aur Subai Assembly Ki Ziyada Tar Seats Jeetnay Ke Sath Baldiati Intikhabaat Main Bhi Maidan Maar Liya Aur Farooq Sattar Mayor Banay. MQM 1988 Main Wifaq Main Peoples Party Ke Sath Ittihadi Hukoomat Main Shaamil Hui. Magar Shehri Sindh Ke Masail Hal Honay Ke Bajaye Barhatay Gaye.

Karachi Ne MQM Ko Mandate Diya Magar!

90s Main Karachi Main Qatal-o-Ghaarat, Bhatta Khori Aur Dehshat Gardi Ka Aisa Bhayanak Khail Shuru Hua Jo Aglay 25 Saal Jari Raha. Is Dauran Kabhi MQM Ko Dehshat Gard Tanzeem Qarar Day Kar Is Ke Khilaaf Fauji Operation Kiye Gaye To Kabhi Is Ke Sath Ittihadi Hakoomaten Banai Gayeen. Har Election Main MQM Ko Kamyabi Millti Lekin Mukhalfeen Usay Dhons Aur Dhandli Ka Nateeja Qarar Detay Thay. Jamaat-e-Islami Shehar Ke Manzar Naamay Se Ghayab Ho Gayi Thi. Peoples Party Ko Liyari Aur Malir Ke Siwa Kahin Se Pazeerai Nahi Millti Thi.

General Parvez Musharraf Ke Daur Main Augst 2001 Main Naya Baldiati Nizaam Laya Gaya. MQM Ke Boycott Ki Wajah Se Jamaat-e-Islami Ko Khula Maidan Mila. Jamaat-e-Islami Ke City Nazim Naimat Ullah Khan Ne Shehar Ke Liye Numayan Kaam Kiye. Un Ke Baad 2005 Main Dobarah MQM Ke Mustafa Kamaal Nazim Banay. Is Daur Main Wifaq Main Bhi MQM Hukoomat Ka Hissa Thi. Mustafa Kamaal Ne Bhi Shehar Main Kayi Taraqiyati Mansoobay Mukammal Karaye. Lekin Bad Amni Aur Dehshat Gardi Ki Lehar Is Daur Main Bhi Jari Thi. 12 May 2007 Ko Poooray Shehar Ko Aag Aur Khoon Main Nehla Diya Gaya. 27 Decemeber 2007 Ko Benazir Bhutto Ke Qatal Ke Mauqay Par Bhi Shehar Main Loot Maar Aur Qatal-o-Ghaarat Ke Waqeat Huay.

Peoples Party Ki Karachi Ki Local Government Per Nazar

2008 Ke General Election Main Bhi MQM Hi Karachi Ki Sab Se Bari Siyasi Jamaat Ke Tor Par Samnay Aayi. Wifaq Main Peoples Party Ki Hukoomat Thi. MQM Ittihadi Ke Tor Par Roothti Manti Rahi. Is Daur Main Peoples Party Ke Wazir-e-Dakhla Zulfiqar Mirza Ne Liyari Gang Waar Ki Sarparasti Ki. Jis Ke Nateejay Main Shehar Main Dehshat Gardi Aur Bhatta Khori Ki Nai Dastaneen Raqam Huien. Peoples Party Ne Musharraf Ka Baldeati Nizaam Khatam Kar Diya Aur Karachi Main Apna Administrator Laga Diya.

2015 Main Peoples Party Ne Aik Loolay Langray Baldiati Nizaam Ke Tehat Election Karaye. Is Main Bhi 65% Ke Qareeb Seats MQM Ne Haasil Kee. Peoples Party Doosray, PMLN Teesray, PTI 4th Aur Jamaat Islami 5th Number Par Rahi Thi.

Is Baldiati Election Ke Baad MQM Ke Waseem Akhtar Mayor Banay Lekin Shehar Ke Masail Joon Ke Toon Rahay. Mayor Karachi Ka Ilzaam Tha Ke Peoples Party Ki Sindh Hukoomat Ne Un Ko Ikhtiyarat Aur Fund Nahi Diye Thay. 2020 Main Waseem Akhtar Ki Mayorship Khatam Honay Ke Baad Sindh Hukoomat Ne Local Body Election Karanay Ke Bajaye 2013 Ke Baldiati Nizaam Main Mazeed Amendments Kar Dein. MQM Pakistan, PTI, Jamaat-e-Islami Aur PSP Ne In Tarameem Ko Supreme Court Main Chelleng Kya Tha.

2023 Ke Local Bodies Elections Aur Allegations

Feb 2022 Main Supreme Court Ne Local Bodies Election Amendment Bill Ki 2 Clause Null and Void Qarar Day Di Theen. Is Ke Baad Bhi Subai Hukoomat Baldiati Election Karanay Main Taal Matol Karti Rahi. Aakhir-e-Kaar Adalat Ke Hukum Par Baldiati Election Tou Kara Diye Gaye Magar Results Ne Sab Ko Heran Kardiya Hay. MQM Pakistan Ki Janib Se Boycott Ke Baad Expect Kia Ja Raha Tha Ke Jamaat-e-Islami Clean Sweep Karay Gi Kyunkay Guzishta Chand Barson Main Jamaat-e-Islami Karachi Ke Ameer Hafiz Naeem Ur Rehman Shehar Ki Tawana Aawaz Bun Kar Samnay Aaye Hain. Unexpectedly PPP Ne 40% Seats Jeet Li Hain. Aisay Main Yeh Ilzamaat Lagaye Jarahay Hain Ke Sindh Sarkar Ne Election Main Dhandli Ki Hay. Peoples Party Ka Daawa Hay Ke Karachi Main Usay Ye Pazeerai Pichlay Kuch Barson Main Shehar Main Karaye Gaye Development Projects Ki Wajah Se Mili Hay.

Ab Soorat-e-Haal Yeh Hay Ke Koi Bhi Aik Party Apne Tor Par Mayor Bananay Ki Position Main Nahi Hay. Ya Tou Peoples Party Aur Jamaat-e-Islami Mil Kar Apna Mayor Laa Sakti Hain Ya Jamaat-e-Islami Aur PTI. Imran Khan Ke Sakht Muaqqaf Ki Wajah Se Ye Imkaan Kam Hay Ke PTI Peoples Party Se Ittehaad Bana Lay. Aisay Main Naya Mayor Kitna Ba Ikhtiar Ho Ga. Agar Jamaat-e-Islami Aur PTI Ne Ittehaad Kar Liya Tou Kya Sindh Sarkar Naye Mayor Ko Khul Kar Kaam Karnay Day Gi Ya Us Ke Rastay Main Rukawaten Peda Keray Gi? Yeh Wo Chand Sawal Hain Jin Ke Jawab Ye Tay Karen Ge Ke Karachi Ki Roshniyan Aur Ronaqain Bahaal Hon Gi Ya Yuhin Bad-Intezami Aur Bad Haali Ke Andheron Ka Raaj Rahay Ga.

شیئر

جواب لکھیں