Dunya Ke Tamam Baray Shehron Ki Tarah Karachi Main Bhi Municipality System Bohat Arsay Se Qaim Hay. January 1885 Main Karachi Ki Pehli Municipal Committee Banai Gayi Thi. Kaha Jata Hay Ke Sub-Continent Ki Pehli Municipal Committee Thi Jis Ne State Revenue Collect Karna Start Kiya Tha. Us Zamanay Main Karachi Ka Mayor Nahi Hota Tha Bulkay Committee Hi Tamam Muamlat Chalati Thi.

1910 Main Aik British Officer Charles Mule Karachi Municipal Committee Ke President Elect Huay. 1911 Main Ye Post Ghulam Ali Chagla Ne Sanbhali. Inhi Ghulam Ali Chagla Ke Betay Ahmed Ghulam Ali Chagla Ne 1950 Main Pakistan Ka National Anthem Compose Kiya Tha. Un Ke Baad Aik Parsi Business Tycoon Jamshed Nusserwanji Mehta 20 Saal Is Ohday Per Rahay.

Pehla Mayor Karachi Kaun Tha?

1933 Main The Karachi City Municipal Act Banaya Gaya Jis Ke Baad Municipality Ke President Aur Vice Precident Ki Jagah Mayor Aur Deputy Mayor Ne Le Li. Mayor Ka Tenure Aik Saal Hota Tha.

Karachi Ke Pehlay Mayor Honay Ka Aizaz 20 Saal Tak Municipal Committee Ke President Rehnay Walay Jamshed Nusserwanjee Mehta Ko Hasil Hay. Wo Karachi Ke Pehlay Parsi Mayor Bhi Thay. Unhon Ne Karachi Ko Khubsurat Aur Jaded Banana Ke Liye Bohat Kaam Kiya. Unhon Ne Hi Shehr Ki Roads Ko Rozana Dhonay Ka Hukm Jari Kiya Tha. Wo November 1933 Se August 1934 Tak Mayor Karachi Rahay.

1st Mayor Karachi Jamshed  Nusserwanjee
1st Mayor Karachi Jamshed Nusserwanjee

1934 Main Teakum Das Vadhumull Karachi Ke Pehlay Hindu Mayor Banay. Aglay Saal Yani 1935 Main Kazi Khuda Buksh Ko Karachi Ka Pehla Muslim Mayor Honay Ka Aizaz Mila. Un Ke Baad May 1947 Tak Mazeed 11 Afrad Ne Karachi Ke Mayor Ke Tor Per Kaam Kiya. In Main All India Muslim League Ke Important Member Hatim Alvi, Renowned Novelist Bapsi Sidhwa Ke Father-In-Law R.K. Sidhwa, Parsi Historian Aur Author, Sohrab K.H. Katrak, Famous Business Magnate Aur Politician Yousuf Abdullah Haroon Shamil Thay.

Name
Tenure
Jamshed NusserwanjiNov 1933-Aug 1934
Teakum Dass VadhumullAug 1934- May 1935
Qazi Khuda BukhshMay 1935-May 1936
Ardeshir H. MamaMay 1936-May 1937
Durgadas AdvaniMay 1937- May 1938
Hatim Ali AlaviMay 1938-May 1939
R.K. SidhwaMay 1939-May 1940
Lalji MalhootraMay 1940-May 1941
Muhammad Hashim GazdarMay 1941-May 1942
Soharab K.H. KatrakMay 1942-May 1943
Shambo Nath MolraajMay 1943-May 1944
Yousaf Abdullah HaroonMay 1944-May 1945
Manuel MisquitaMay 1945-May 1946
Wishram Das Dewan DasMay 1946-May 1947

Pakistan Bannay Ke Baad Kaun Kaun Mayor Raha?

Pakistan Bannay Ke Moqay Per Karachi Ke Mayor Hakeem Mahommed Ahsan Thay. Un Ke Baad Quaid-E-Azam Ke Dost Aur Scholar Ghulam Ali Alana Ko Mayor Karachi Elect Kiya Gaya. Unhon Ne Quaid-E-Azam Ki Biography Bhi Likhi. 1948 Se 1951 Tak Karachi Ko Administrator Ke Tehat Chalaya Gaya.

1951 Se 1953 Tak Allah Bakhsh Gabol Ye Kursi Allah Bakhsh Gabol Ke Paas Rahi. Wo Karachi Ke Baray Landlord Thay. Nabeel Gabol Unhi Ke Grandson Hain. 1953 Main Famous Industrialist Habibullah Paracha Ne Ye Mansab Sanbhala. January 1954 Min Famous Business Family Ke Mehmood Haroon Ko Elect Kiya Gaya.

Un Ke Baad Malik Bagh Ali, Siddique Wahab Aur  S.M.Taufiq Mayor Karachi Rahay. May 1961 Main Allah Bakhsh Gabol Dusri Term Ke Liye Mayor Muntkhib Huay.

Ayub Khan Ke Coup Ke Baad 1958 Se 1961 Tak Koi Mayor Nahi Raha. 1961 Main Allah Bakhsh Gabol Dobara Mayor Banay. 1962 Main Mayorship Dobara Khatam Kar Di Gayi Aur Aglay 17 Saal Tak Shehr Main Koi Mayor Nahi Tha.

NameTenure
Hakeem Muhammad AhsanMay 1947-May 1948
Ghulam Ali AlanaMay 1948- July 1948
Allah Bakhsh Gabol (1st term)Apr 1951-Jan 1953
Habibullah Paracha (1st term)1953-1954
Mahmoud HaroonJan 1954-May 1955
Malik Bagh AliMay 1955-May 1956
Siddique WahabMay 1956-Dec 1956
S.M.TaufiqJune 1958-Oct 1958
Allah Bakhsh Gabol (2nd term)May 1961- Oct 1962

Jamat-e-Islami Aur MQM Ka Raaj

Zia-Ul-Haq Ne Bhutto Ka Takhta Ulta Tou Naya Local Boby System Establish Kiya. Mayor Ka Tenure 4 Saal Kar Diya Gaya. 1979 Main Non-Partisan Election Huay Tou Jamat-e-Islami Ke Abdul Sattar Afghani Mayor Karachi Banay. Apni Achi Karkardgi Ki Wajah Se 1983 Mian Wo Dobara Mayor Elect Huay. 1987 Mian Unhon Ne Sindh Government Ki Taraf Se Motor Vehicle Tax Aur Property Tax KMC Ko Na Denay Ke Khilaf Sindh Secretariat Ki Janib March Kiya. Government Ne Un Ko Giraftar Kar Liya Aur KMC Ko Suspend Kar Diya.

Raftar Bharne Do
Abdul Sattar Afghani

1988 Main Zia-Ul-Haq Ki Maut Tak MQM Karachi Aur Hyderabad Ki Sab Se Popular Political Party Ban Chuki Thi. Isi Liye MQM Ne Na Sirf 1988 Ke General Election Main Kamyabi Hasil Ki Bulkay Local Bodies Main Bhi Medan Mar Liya. MQM Ke Farooq Sattar Ko 28 Saal Ki Umar Main Dunya Ke Sab Se Young Mayor Bannay Ka Aizaz Hasil Hua.

June 1992 Main MQM Ke Khilaf Sindh Main Operation Cleanup Hua. July 1992 Main KMC Suspend Kar Di Gayi Aur Administrator Ke Zariye Shehr Ko Chalaya Janay Laga.

Aglay 9 Saal Tak Shehr Main LB Elections Nahi Huay. Pervez Musharraf Ne Mulk Sanbhalnay Ke Baad City Government Ka Nizam Introduce Karaya. 2001 Main Honay Waly Elections Ka MQM Ne Boycott Kia. Is Ke Natijay Main Jamat-e-Islami Ke Naimat Ullah Khan Nazim-e-Ala Yani Mayor Karachi Banay.

October 2005 Main Honay Walay Baldiyati Eletions Main MQM Ne Kamyabi Hasil Ki. Mustafa Kamal Nazim-e-Ala Bun Gaye. Naimatullah Khan Aur Mustafa Kamal Ke Daur Main Karachi Main Kai Baray Projects Banay Aur Shehr Ki Haalat Behtar Hui.

Raftar Bharne Do
Farooq Sattar Aur Mustafa Kamal

2010 Mian Mustafa Kamal Rukhsat Huay Tou Peoples Party Ki Government Ne Local Bodies Election Nahi Karaye Bulkay Commissioner System Laga Diya.

August 2016 Main Pakistan Main Pehli Baar Party Based Local Election Huay. Us Waq Tak MQM Kai Hisson Main Batt Chuki Thi Lekin Karchi Ki Mayorship MQM Ke Hissay Main Hi Aayi. Waseem Akhtar August 2020 Tak Mayor Rahay Magar Powers Na Honay Aur Fund Na Milnay Ka Shikwa Kartay Rahay.

NameTenure
Abdul Sattar Afghani (1st term)Nov 1979-Nov 1983
Abdul Sattar Afghani (2nd term)Nov 1983-Feb 1987
Farooq SattarJan 1988- July 1992
Naimatullah KhanAug 2001-June 2005
Syed Mustafa KamalOct 2005- Feb 2010
Waseem AkhtarAug 2016-Aug 2020

Peoples Party Ki Sindh Government Ne Un Ke Baad Dobarah Administrator System Naafiz Kar Diya Aur Karachi Ko Administrator Ke Zariye Chalati Tahi. Magar Supreme Court Ke Hukm Ki Wajah Se PPP Ko Local Bodies Elections Karanay Paray.

شیئر

جواب لکھیں