Aap Noujawan Hain Aur Career Ka Aghaz Ker Rahay Hain Tou Yeh Jaan Lain Kay Self-Control Aur Self Discipline Aap Kay Buhat Important Hoga. Yeh Woh Instincts Hain Jo By-Born Nahi Hotay Balkay Age Kay Sath Cultivate Hotay Hain.

Author Aur Psychiatrist Phil Stutz Nay Bataya Hay Kay Behtareen Zindagi Guzarnay Kay Liye Discipline Chaheye Hota Hay. Iss Ka Yeh Matlab Nahi Hota Hay Ager Aap Nay Workout Na Kia Ho Ya Kaam Mai Koi Ghalti Hojai Tou Khudh Ko Maarna Shuru Kerdain.

Self-Actualization Tak Pouhanchnay Kay Liye Three Types Of Discipline Chaheye Hotay Hain. In Teeno Types Ki Alag Alag Merits Hoti Hain. Yeh Apas Main Inter Linked Bhi Hain. Phil Stutz Nay Kaha Hay Kay Jab Aap 27 Saal Ki Age Tak Pauhanchtay Hain, Tou Discipline Ka Concept Samajhna Eham Hojata Hay. Is Say Aap Ki Physical Aur Mental Health Main Balance Ajata Hay.

Reactive Discipline

Yeh Discipline Ki Woh Type Hay Jo Aap Ka Ander Hoti Hain. Iss Ki Waja Say Aap Kuch Actions Lenay Ya Na Kernay Ka Souchtay Hain. Iss He Ki Bunyad Per Aap Apnay Faislon Ki Prediction Kertay Hain.

Iss Step Main Master Honay Ka Andaza Uss Waqt Lagaya Jasakta Hay Jab Aap Kisi Kaam Kay Na Honay Per, Koi Reaction Zahir Kiye Baghair Woh Kaam Khudh Kerlain.

Reactive Discipline Main Aap Kisi Bhi Internal Ya External Conflict Ki Surat Main Apna Reaction Define Kertay Hain. Reactive Discipline Ko Samajna Her Kisi Ka Kaam Hay. Iss Ko Self-Restraint Bhi Kehtay Hain.

Yeh Stage Uncomfortable Bhi Hosakta Hay Kion Kay Aisa Bhi Hosakta Hay Kay Jo Aap Already Ker Rahay Hon Us Say Opposite Honay Ka Imkaan Rehta Hay.

Structural Discipline

Phil Stutz Nay Bataya Hay Kay Reactive Habits Ko Laiker Apnay Baseline Routine Main Integrate Kerna Structural Discipline Kehlata Hay. Iss Ka Yeh Matlab Hota Hay Kay Aap Apnay Dinn Kay Liye Routine Ko Fix Kerain Aur Uss Per Amaal Kerain.

Ideally Yeh Woh Schedule Hoga Jis Kay Mutabiq Aap Zindagi Ya Apna Dinn Guzarna Chahtay Hain.

Kuch Psychologists Ka Kehna Hay Hay Healthy Habits Kay Liye Zaroori Hain Kay Reactive Aur Structural Discipline Per Amaal Kiya Jaey.

Structural Discipline Main Ziada Taar Conscious Decision-Making Per Rely Kia Jata Hay Jab Kay Reactive Discipline Main Subconscious Behavior Per Rely Kertay Hain.

University Of Southern California Kay Professor Wendy Wood Nay Bataya Kay Habits Automatically Baad Main Aati Hain. Jab Discipline Main Decisions Ajatay Hain Tou Habits Kay Liye Souchana Ka Waqt Nahi Hota Aur Woh Automatically Part Of Life Baan Jati Hain. Unhonay Yeh Bhi Bataya Kay Hamaray Daily Actions Main 43 % Hamari Habits Hi Hoti Hain.

Wendy Wood Nay Yeh Bhi Bataya Hay Kay Structural Discipline Ki Aik Example Yeh Bhi Hay Kay Aap Apnay Boss Say Promotion Kay Liye Baat Kernay Say Pehlay Souchtay Hain Jabkay Daily Office Janay Say Phelay Apnay Bachay Ko Piyar Kernay Kay Liye Aap Ko Souchna Nahi Parta.

Dosray Alfaz Main, Good Ya Bad Habits Routines Kay Sath Banti Hain Iss Liye Apnay Daily Routine Ko Adopt Kernay Say Phelae Wisely Souchna Chaheye.

Expansive Discipline

Phil Stutz Ki Logic Kai Mutabiq Sirf Routine Behaviors Per Rely Kerna Kafi Nahi Hota. Grow Honay Kay Liye Musalsaal Apnay Comfort Zone Say Open Mind Kay Sath Bahar Nikaalna Hota Hay.

Self Discipline Ki Is Type Main Kuch Naya Kernay Ki Taraaf Interest Show Kerna Constantly Forward Moment Zaoori Hoti Hay. Phil Stutz Nay Kaha Hay Kay Expansive Discipline Ka Matlaab “Advantage Of Opportunities” Hay.

Yeh Opportunities Aap Ki Professional Aur Personal Life Say Related Hosakti Thein Mager Iss Kay Liye Agae Barhna Zaroori Hota Hay.

Aap Kay Conscious Aur Subconscious Brain Ko Balance Main Rakhnay Kay Liye Brain Ko Engaged Rakhna Aur Physically Aur Mentally Healthy Hona Zaroori Hay Hay. Brain Ko Engage Rakhnay Ka Matlab Yeh Hay Kay Aap Zindagi Bhar Energetic Rehtay Hain. Iss He Liye “Fulfillment” Ko “Spiritual Energy” Aur “Physical Energy” Ka Combination Kaha Gaya Hay.

Discipline Iss Liye Bhi Zaroori Hay Kion Kay Yeh Spiritual Energy Ko Compile Aur Maintain Kernay Main Ehaam Hotahay. Iss Waja Say He Aap Good Habits Apna Ker Bad Habits Ko Tark Kertay Hain.

شیئر

جواب لکھیں