Aaj Kal Ki Tez Raftar Life Main Aap Kay Pass Itna Waqt Nahi Hota Kay Fursat Kay Kuch Lamhat Ko Nature Kai Sath Guzarain. Laikin, Nature Kai Sath Thora Sa Waqt Aap Kay Mood, Work Productivity Aur Memories Per Buhat Positive Impact Daal Sakta Hai.

University Of Chicago Kay Associate Professor Of Psychology, Marc Berman Nay Apni Study Main Bataya Hay Kay Work Break Main Sirf 50 Minute Ki Nature Main Walk Say Aap Ka Concentration Aur Attention Level Behtar Hosakta Hay. Is Kay Sath Aap Ki Working Memory Main Bhi 20% Behtari Aei Gi.

Take Break From Work

Kafi Logon Ko Nature Main Time Spend Kernay Kay Benefits Nazar Atay Hain. In Main Depression Kam Hota Hay Aur Who Energetic Hotay Hain. Yeh Bhi Bataya Gaya Kay Ager Aap Work Break Main Bahar Nahi Jasaktay Tou At Least 20 Minutes Ka Waqt Nikalain, Yani Per Week 2 Hours Ka Waqt Nature Main Guzarain. Jitna Waqt Nature Main Guzray Ga, Utna Behtar Rahay Ga.

Fresh Air Kay Liye Work Breaks Main Brisk Walk Buhat Matter Kerti Hay. Is Break Main Gardening Kay Bhi Achay Results Hotay Hain. Iss Kay Ilawa Green Lined Places, Yani Jahan Trees Ziada Hoon, Wahan Jana Bhi Acha Rehta Hay.

Importance Of Going Out In Nature

Marc Berman Nay Kaha Kay Nature Say Ziada Faida Hasil Kernay Kay Liye Aap Ko Actually Outdoor Jana Hoga Mager Kuch Alternate Activities Ka Mental Health Aur Ability Per Similar Effect Hota Hay.

Inn Main Nature Ki Photos Daikhna. Nature Sounds Ko Sun'na Jin Main Oceans, Tropical Rain Forests Shamil Hain. Is Kay Ilawa Natural Habitats Ki Videos Aur Plants Kay Darmiyan Hona Bhi Acha Effect Daalta Hay.

Kaam Say Thori Dair Ka Break Lenay Aur Nature Activities Say Youn Lagta Hay Kay Jaisay Kaam Kernay Ki Pace Aur Amount Of Work Suffer Hoga Mager Iss Ka Opposite Effect Hota Hay. Yeh Aik Tarhan Ki Investment Hay. Nature Main Kuch Waqt Guzarna Ziada Productive Hota Hay Aur Yeh Straight Away Kafi Hours Kaam Kernay Say Bauhat Behtar Hota Hay.

Marc Berman Ki Study Main Yeh Bhi Mention Kiya Gaya Hay Kay Outdoor Lunch Bhi Bauhat Acha Asar Daalta Hay.

Unhonay Zoar Diya Kay Study Main Yeh Samnay Aya Hay Nature Main Waqt Guzarna Bauhat Zaroori Hota Hay. Yeh Bilkul Aisa He Hay Jaisay Clear Air Aur Water Hamaray Liye Zaroori Hota Hay.

“I Think What Our Research Is Trying To Say Is Nature Is A Necessity, Not An Amenity,” Berman Says. “We Have To Have It, Just Like We Have To Have Clean Air And Clean Water.”

شیئر

جواب لکھیں