Emotional Feelings Ki Bauhat Importance Hoti Hay. Ager Aap Ki Her Koi Izzat Kerta Hay Tou Is Ki Koi Na Koi Waja Tou Hogi. Her Kisi Ko Yeh Acha Lagta Hay Kay Us Ki Izzat Ki Jaye. Humans Kion Kay Social Animals Hotay Hain Iss Liye Woh Chahtay Hain Kay Un Kay Fellows Un Ki Izzat Kerain. Yeh Natural Baat Hay Kay Criticism Say Takleef Hoti Hay Aur Yeh Emotional Painful Bhi Hota Hay. Akser Loog Kisi Ki Tanqeed Ya Koi Statement Bauhat Ziada Personally Dil Per Lai Jatay Hain Jo Un Ko "Let Down" Ker Daita Hay.

Kuch Loogon Ki Baaton Aur Jumloon Say Takleef Ziada Hoti Hay. Ager Aap Ko Younh Lag Raha Hoo Kai Aap Ziada Taar Hurt Hotay Rehtay Hain Ya Koi Aap Ko Ziada Emotionally Hurt Kerta Hay, Iss Ka Yeh Matlab Bhi Hay Kay Aap Jaldi “Hurt” Hojatay Hain.

Yeh Baat Jana Zarori Hay Kay Loog Aisay Mamlaat Ko Personally Kion Lai Laitay Hain. Aap Ko Yeh Kaisay Andaza Hoga Kay Aap Ziada He Emotional Hojatay Hain Aur Jaldi Baton Ko Personally Lai Laitay Hain. Yeh Bhi Ehaam Hay Kay Aap Ko Yeh Andaza Ho Kay Kaab Ap Ko Personally Koi Baat Lena Beneficial Hosakta Hay. Yeh Bhi Learn Kerna Zarori Hay Kay Less Personal Hona Kaab Behtar Rehta Hay.

Bauhat Normal Si Baat Hay Kaay Aap Yeh Souchtay Hon Kay Koi Aap Kay Baray Main Kia Souchay Gam Ager Yeh Itna Ehaam Nahi Hona Chaheye Kay Aap Ko Pareshan Kerdai. Kuch Factors Hotay Hain Jo Yeh Batatay Hain Kay Hum Personally Kion Baton Ko Lai Laitay Hain.

Negative Self Talk

Hum Apnay Aap Ko Yeh Kehtay Rehtay Hain Kay Hum Ziada Achay Nahi Ya Hamesha Hamari Hi Ghalti Hoti Hay. Hamaray Baray Main Kahi Janay Wali Negative Baton Per Hum Bauhat Jald Yaqeen Kerlaitay Hain.

Childhood Trauma

Childhood Main Emotional Support Na Milna Aur Parents Ki Taraf Say Ziada Taar Blame Ka Nishana Bana Hamari Feelings Per Effect Dalta Hay. Hum Yeh Samajnay Lagtay Hain Kay Hum Mocked Ya Humiliated Hona Deserve Kertay Hain.

Poor Self-Esteem

Jin Loogn Ki Self-Esteem Low Hoti Hai Woh Ziada Iss Baat Ki Fikar Kertay Hain Kay “Log Kia Kahain Gae”. Yeh Loog Ziada Taar Baatain Personally Dil Per Lai Laitay Hain.

Anxitey Disorders

Jaab Kisi Main Social Anxiety Ziada Hoti Hay Woh Socially Judge Honay Say Bauhat Ghabratay Hain Aur Ziada Taar Embarrassed Rehtay Hain.

Perfectionism

Jo Loog Perfectionst Hotay Hain Un Kay Liye Bauhat Mushkil Hota Hay Kai Dosron Ki Tanqeed Bardast Ker Sakain. Un Kay Unrealistic Standards Hotay Hain Jin Ki Waja Say Unko Mushkil Rehti Hay.

Aap Ko Yeh Andaza Hona Bhi Zaroori Hay Kay Aap Kaab Kisi Baat Ko Ziada Personally Dil Per Lai Jatay Hain. Iss Liye Yeh Samajhna Bhi Zaroori Hay Kay Hum Akser Khudh Ko Milnay Walay Compliments Bhi Overlook Ker Jatay Hain. Hum Akser Un Baton Per Apni Ziada Energies Lagatay Hain Jo Humarey Liye Ehaam Nahi Hotein.

Benefits Of Talking Things Personally

Kabhi Kabhi Baton Ko Dil Per Lainay Kay Positive Aspects Bhi Hotay Hain, Hogaei Hairan? Daikhain, Jab Ap Kuch Personally Laitay Hain Tou Aap Kay Janay Walay Aur Piyaron Ko Yeh Andaza Hojata Hay Kay Kaunsi Baatain Aap Ko Hurt Kerti Hain. Aap Kay Nazdeki Loog Ap Kay Sath Apna Behavior Modify Kerlaitay Hain Takay Aap Offend Na Hon.

Jaisa Hum Nay Pehlay Bhi Bataya Kay Yeh Normal He Hota Hay Kay Aap Personally Koi Baat Dil Per Lai Lain. Leken Ager Ap Regularly Upset Ya Offended Hotay Hain Aur Dosron Ki Baton Per Ziada Bura Lagta Hay Tou Is Say Aap Ki Mental Health Per Kafi Zaida Asar Parta Hay.

Iss Liye Zaroori Yeh Hay Kay Khudh Ko Samjhtay Hoay Yeh Jaan Lain Kay Kaab Aap Ka Reaction Zarorat Say Ziada Hojata Hay Aur Kaab Ap Ko Hurt Honay Ki Koi Zaroroat Nahe Hoti, Faisla Aap Ka Hay.

شیئر

جواب لکھیں