Imran Khan Kaha Karte Thay Ke Mujhe Agar Hukoomat Se Nikala Gaya Tou Main Aur Khatarnaak Ho Jaun Ga. Mukhalfin Un Ka Mazaaq Uraya Kartay Thay. Taanay Diya Kartay Thay Ke Imran Khan Ko Siyasat Nahi Aati. Aaj Wohi Mukhalfin Sir Pakray Baithy Hain Ke Kya Karen Kya Nah Karen.

PTI Ke Chairman Prime Ministership Se Hataye Janay Ke Baad Se Bas Aik Hi Mutalba Kar Rahay Hain Ke Naye Election Kara Diye Jayen. PDM Sarkar Magar Bazid Thi Ke Woh Muddat Poori Kere Gi. Imran Khan Ne Azadi March 2 Ke End Par Elaan Kya Ke Woh Punjab Aur Khyber Pakhtunkhwa Ki Asmblyies Dissolve Kar Dein Ge.

Imran Khan Ke Plan Kamyab

PMLN Ko Umeed Thi Ke Pervez Ellahi Assembly Disslove Kar Kay Apni Wizarat-e-Aala Ka Khtama Nahi Karen Ge. Magar Halaat Isi Taraf Jatay Dikhayi Diye Tou Punjab Assembly Ko Tootnay Se Bachanay Ke Liye Jor Tor Ka Silsila Dobarah Shuru Kya Gaya. Governor Ne Chief Minister Ko Vote Of Confidence Lainay Ko Kaha. Rana Sana Ne 3 Din Lahore Main Daairay Daaley Rakhay Magar Un Ki Aik Nahi Chali. Punjab Ke Baad Ab Khyber Pakhtunkhwa Assembly Ki Tahleel Se PDM Sarkar Ki Mushkilaat Main Mazeed Izafah Honay Wala Hay.

PMLN Ke Camp Main Mayoosi Aur Bad dili Chhayi Hui Hay. Is Ka Andaza Is Baat Se Bhi Hota Hai Ke London Se Nawaz Shareef Aur Maryam Nawaz Ki Janib Se Mukammal Khamoshi Hay. Shehbaz Shareef Jin Ka Daawa Tha Ke Woh 6 Mahinay Main Halaat Behtar Karlen Ge Ab Be Basi Ka Izhaar Karte Nazar Aatay Hain.

Army Chief General Asim Munir Ke Visits Ke Baad Saudi Arab Aur UAE Ne Pakistan Ki Imdaad Ke Waday Tou Kar liye Hain. Geneva Conference Main International Community Ki Janib Se Kayi Billion Dollar Qarz Ka Elan Bhi Kiya Gaya Hay Lekin IMF Se Deal Nah Honay Ki Wajah Se Economic Problems Hal Hotay Dikhayi Nahi Day Rahay.

Raftar Bharne Do

PDM Hukoomat Ne Atay Hi Petrol Aur Diesel Ki Qeemat Main Jo Izafah Kya Tha, Dollar Ki Qeemat Barhnay Aur Mehengai Main Mazeed Izafay Ki Wajah Se Aur Bhi Ghair Maqbool Hoti Ja Rahi Hay. Aisay Main Agar Punjab Assembly Ke Elections Karaye Jayen To Imran Khan Ki Jeet Yaqeeni Nazar Aati Hai. Constitution Ke Tehat Assembly Ki Tahleel Ke 90 Din Main Naye Election Karana Laazmi Hain.
PDM Walay Ab Heran Pareshan Hain. Agar Qaumi Assembly Aur Baqi Asmblies Bhi Bhi Dissolve Karkay Pooray Mulk Main Aik Sath Election Karaye Jatay Hain To Bhi Is Baat Ka Ghalib Imkaan Hai Ke Imran Khan Maidan Maar Len Gay. Establishment Se Bhi Waisi Madad Milnay Ka Imkaan Nahi, Kyunkay Agar Establishment Us Tarha Support Kar Rahi Hoti To Punjab Assembly Dissolve Honay Ka Mauqa Hi Nah Aata.

PDM Ke Paas Option Kiya Hain?

Agar National Assembly Main Election Nahi Karate Aur Sirf Punjab Aur Khyber Pakhtunkhwa Main Karaye Jatay Hain Tab Bhi Imkanaat Yahi Hain Ke PTI Wahan Dobarah Hukoomat Bana Lay Gi. Agar Un Sobon Main PTI Ki Hukoomat Ban Gayi To November 2023 Main Honay Walay Qaumi Assembly Ke Election Main Khul Khailnay Ka Mauqa Nahi Milay Ga.

PDM Ke Paas Aik Rasta Hay Ke Provincial Assemblies Ke Elections Roknay Ke Liye Supreme Court Se Rabta Keray Ya Hungami Halaat Ka Bahana Banatay Huay Governor Rule Laga Day. Magar In Iqdamaat Par Adalat Se Koi Relief Milnay Ki Tawaqqa Kam Hay.
Aik Taraf Siyasi Mushkilaat Hain To Doosri Taraf IMF Ka Taqaza Hay Ke Dollar Ki Qeemat Ko Azad Chhor Diya Jaye, Bijli Aur Gas Ki Price Barhai Jayen. Khabrain Hain Ke Federal Government 200 Billion Rupay Ke Naye Tax Laganay Par Amaada Ho Chuki Hay. Aisa Hua To PML N Ki Rahi Sahi Maqboliat Bhi Khatam Ho Jaye Gi.

Doosri Taraf Imran Khan Pur Umeed Hain Ke Woh Dobarah Hukoomat Bana Len Gay. Lekin Mulk Ki Kashti Ko Economic Crisis Se Kaisay Nikalen Gay? Is Ka Koi Thos Plan Unhon Ne Bhi Ab Tak Paish Nahi Kya.

شیئر

جواب لکھیں