“Apple” Nay New MacBook Pro Launch Kerdi Hay. Last Week Yeh MacBook Launch Ki Gae Tou Technology Kay Fans Nay Iss Ko Bharpor Saraha Hay. Is Ka Aik Model 14 Inch Aur Dosra 16 Inch Ka Hay.

MacBooks Price

Apple Kay Fans Iss Liye Khush Hain Kion Kay MacBook Ki Range Main Aik Aur Addition Hogaya Hay. M2 Pro Model (14 Inch) Ki Price 1999 US Dollar Say Shuru Hoti Hay. M2 Pro MacBook (16Inch) Ki Price 2499 US Dollars Say Shuru Horahi Hay. M2 Max Model (16Inch) Ki Initial Price 3499 US Dollar Hay.

New Features

Inn MacBooks Ki Khas Baat Is Ki New Aur Fast Chips Hain. Laptops Main New M2 Pro Aur M2 Max Chips Introduce Kerwai Gae Hain. Apple Nay Claim Kia Hay Kay Yeh Chips World’s Fastest Aur Most Reliable Hain.

New MacBooks Specially Tough Aur Big Tasks Kay Liye Tayyar Ki Gaei Hain. In Main Previous Intel MacBook Pro Kay Muqablay Main 6 Times Fastest Rendering Ki Capacity Hay.

Is Ki Grading Bhi 2 Times Increase Ki Jasakti Hay. Apple Nay Mazeed Claim Bhi Kiya Hay M2 Pro Main M1 Pro Kay Muqablay Main 20 Percent Ziada Transistors Hain, M2 Kay Muqablay Main Yeh Count Ziada Hay. Iss Waja Say In Per Adobe Photoshop Per Heavy Loaded Work Bhi Fast Aur Less Time Main Kia Jasakta Hay.

Longest Battery Life

Ehaam Baat Yeh Kay Is New MacBook Pro Main Battery Ko Pehlay Say Ziada Upgrade Kia Gaya Hay. Full Charge Honay Kay Baad Is Ko 22 Hours Tak Use Kiya Jasakta Hay. Yeh Apple MacBook Editions Main Longest Battery Life Ka Time Hay.

Yeh Jaan Lain Kay New MacBook Pro WIFI 6E Support Kerta Hay. Yeh Last Generation Say Double Fast Speed Hay. Is He Tarhan In MacBooks Main Advance HDMI Bhi Maujod Hain Jo First Time 8K Tak Display Ko Support Kerti Hay.

New M2 Pro Chip Main 10 Say Lai Ker 12 Core CPU Tak Ka Feature Diya Gaya Hay. Iss Main 16 Say 19 Core GPU Tak Ki Ability Enhance Kernay Ka Option Bhi Hay. M2 Max 12 Core CPU Main Hay Jab Kay Is Main 12 Say 38 Core Tak Ka GPU Feature Bhi Maujod Hay.

M2 Pro Main Customers 35GB Memory Upgrade Ker Saktay Hain. M2 Max Main 96 GB Tak Ka Option Moujoud Hay. Is Kay Ilawa Dono Chips Main 8 Tera Byte Tak Ka Storage Increase Kernay Ka Option Bhi Moujoud Hay.

شیئر

جواب لکھیں