Punjab Ka Caretaker Chief Minister Kon Hoga? Ye Million Dollar Ka Sawal Hay. PTI Ne Jo Naam Tajweez Kiye Thay Woh PML-N Ko Pasand Nahi Aaye. Noon League Jin Ko Nigaran Wazir-e-Aala Dekhna Chahti Hay Woh PTI Ko Manzoor Nahi. Dono Jamaten Ilzaam Laga Rahi Hain Ke Mukhalif Ki Janib Se Diye Janay Walay Naam Impartial Nahi Hain. Un Ko Agar Caretaker Chief Minister Banaya Gaya To Woh Apni Pasandeeda Party Ko Support Karen Gay.

Waisay Agar Maazi Ka Jaiza Len To Yeh Khadshaat Pehlay Bhi Zahir Kiye Jatay Thay Aur Election Main Harnay Wali Jamaat Yeh Ilzaam Lagati Rahi Hay Ke Nigaran Set Up Ki Nigrani Main Dhandli Ki Gayi. Aayiyae Jaiza Letay Hain Ke Pichlle 35 Saal Main Punjab Main Kon Kon Caretaker CM Raha Aur Aur Kin Kin Par Partiality Ke Ilzaam Lagey.

Nawaz Sharif Bhi Caretaker CM Rahay Hain

Aksar Log Ye Jantay Hain Ke Nawaz Sharif Wazir-e-Azam Ban'nay Se Pehlay Punjab Ke Wazir-e-Aala Aur Wazir Khazana Rahay Thay Lekin Bohat Kam Log Yeh Jantay Hain Ke Nawaz Sharif Ne Bator Caretaker Chief Minster Punjab Bhi Khidmaat Anjaam Di Hain. Pakistan Ke Army Chief Aur Saddar General Zia ul Haq Ne 1988 Main Apni Maut Se Kuch Mahinay Pehlay Assemblies Dissolve Kar Di Theen. Us Waqt Nawaz Sharif Punjab Main Wazir-e-Aala Thay. Assembly Dissolve Honay Ke Baad Nawaz Sharif August 88 Se December 88 Tak Caretaker Chief Minister Rahay. Nawaz Sharif Zia ul Haq Ke Qareebi Sathiyon Main Se Thay Aur Pakistan Muslim League Ki Top Leadership Main Shamil Thay. Yani Impartial Nahi Thay. Un Ki Party Deegar 8 Parties Ke Sath Islami Jamhoori Ittehaad Main Shaamil Thi Aur Election Main Hissa Le Rahi Thi. Aisay Main Un Ke Caretaker Chief Minister Rehnay Par Aitrazaat Utthay Lekin Kisi Ki Nahi Suni Gayi. 1988 Ke Election Main Pakistan People’s Party Ne Qaumi Assembly Main Tou Majority Haasil Ki Lekin Punjab Main Aksariyat Haasil Nah Kar Saki. Benazir Bhutto Ne Ilzaam Lagaya Ke Punjab Main Un Ki Jamaat Ko Mansoobah Bandi Ke Zariye Haraya Gaya. IJI Ki Jeet Ke Baad Nawaz Sharif Caretaker Se Dobarah Mustaqil Wazir-e-Aala Punjab Ban Gaye.

Caretakers CMs Of Punjab
Nawaz Sharif Aur Ghulam Haider Wyne

Ghulam Haider Wyne

August 1990 Main Saddar Ghulam Ishaq Khan Ne Benazir Bhutto Ki Hukoomat Bar Tarf Karkay National Aur Provincial Assemblies Dissolve Kar Dein. Punjab Main Ghulam Haider Wyne Ko Caretaker Chief Minister Banaya Gaya. Ghulam Haider Wyne Bhi Pakistan Muslim League Se Talluq Rakhtay Thay. Naye Election Main Qaumi Assembly Main Bhi Pakistan Muslim League Ne Majority Haasil Ki Aur Punjab Main Bhi. Jis Ke Baad Nawaz Sharif Prime Minister Ban Gaye Jabkay Caretaker Chief Minister Ghulam Haider Wyne Ko Mustaqil Chief Minister Bana Diya Gaya. Mukhalfeen Ne Is Baar Bhi Punjab Main Dhandli Ka Ilzaam Lagaya.

Sheikh Manzoor Elahi

1993 Main Assemblies Ki Dissolution Ke Baad Sheikh Manzoor Elahi Ko Caretaker Chief Minister Banaya Gaya. Woh Aik Bureaucrat Thay Jo Chief Secretary, Federal Public Service Commission Ke Chairman Aur DG Civil Services Academy Reh Chukay Thay. Is Election Ke Baad Markaz Main Pakistan Peoples Party Jabkay Punjab Main Nawaz Sharif Se Naraaz Group Ki Banai Gayi Pakistan Muslim League Junejo Hukoomat Bananay Main Kamyaab Hui.

Mohammad Afzal Hayat

November 1996 Main Aik Baar Phir Assemblies Dissolve Huyeen Tou Dobarah Aik Siyasi Shakhsiyat Mian Mohammad Afzal Hayat Ko Nigaran Wazir-e-Aala Lagaya Gaya. Mian Afzal Hayaat Saddar Farooq Laghari Ke Qareebi Dost Samjhay Jatay Thay Taham Election Main Un Par Kisi Janibdari Ka Ilzaam Nahi Laga.

Sheikh Ijaz Nisar

November 2007 Main General Pervez Musharraf Ke Daur Main Pehli Baar Aik Retired Judge Sheikh Ijaz Nisar Ko Caretaker Chief Minister Muqarrar Kiya Gaya. Election Se Pehlay Benazir Bhutto Ke Qatal Ka Waqea Paish Agaya Jis Ke Nateejay Main Pakistan Peoples Party Ko Hamdardi Ka Vote Mila Aur Woh Markaz Main Hukoomat Bananay Main Kamyaab Hogayi. Doosri Taraf Punjab Main PML-N Ko Ziyada Seats Mileen.

Najam Sethi Aur 35 Puncture Ka Ilzam

Najam Sethi Caretaker CM Punjab

Musharraf Ke Zamane Main Aik Dosray Ke Qareeb Anay Wali PML-N Aur Peoples Party Main Dobarah Doorian Bherne Lagi Theen. Yahi Wajah Hay Ke 2013 Main Assemblies Ki Muddat Poori Honay Ke Baad Caretaker Ka Muamla 6 Rukni Parliamentary Committee Main Gaya. PML-N Ne Justice Retired Aamir Raza Khan Aur Sabiq Bureaucrat Khawaja Zahir Ke Naam Tajweez Kiye Thay, Jabkay Peoples Party Ne Sabiq Chief Justice Lahore High Court Justice Zahid Hussain Aur Sahafi Najam Sethi Ke Naam Diye Thay. Committee Ne Najam Sethi Ke Naam Par Ittafaq Kya. Chairman PTI Imran Khan Ne Najam Sethi Par Ilzaam Lagaya Ke Unhon Ne 35 Seats Par Dhandli Se PML-N Ke Candidates Ko Kamyaab Karaya. Imran Khan Bohat Arsay Tak Yeh Ilzaam Dohratay Rahay. 2013 Ke Election Main PML-N Ne Punjab Ki 371 Main Se 313 Seats Jeet Kar Landslide Victory Haasil Ki. Peoples Party Ne Bhi Noon League Aur Caretaker Set Up Par Dhandli Ke Ilzamaat Lagaye.

Professor Hasan Askari Rizvi

2018 Ke Election Se Pehlay Caretaker Chief Minister Ke Liye PML-N Aur PTI Main Ittafaq Nahi Ho Saka. PML-N Ne Admiral (R) Zaka Ullah Aur Justice (R) Saair Ali Jabkay PTI Nay Ayaz Amir Aur Professor Hasan Askari Rizvi Ke Naam Tajweez Kiye Thay. Parliamentary Committee Bhi Kisi Aik Naam Par Mutfiq Nah Hosaki Tou Muamla Election Commission Ko Bheja Gaya Tha. Election Commission Ne Professor Hasan Askari Rizvi Ko Caretaker Chief Minister Muqarrar Kardiya Tha.

2018 Ke Election Main National Assembly Aur Punjab Assembly Main PTI Ko Numayan Kamyabi Mili. PML-N Aur Pakistan Peoples Party Ne Dhandli Ke Ilzamaat Tou Lagaye Magar Is Ka Zimmay Daar Caretaker Set Up Ke Bajaye Establishment Ko Qarar Diya Gaya.

شیئر

جواب لکھیں