Coronavirus Ko Zahir Hoay 3 Saal Ho Chukay Hain. China Say Shuru Honay Walay Covid 19 Virus Say Dunya Main Lakhon Log Maray. Waisay To Ab Yeh Virus Control Main Hay Hay, Magar China Main Is Kay Cases Doobara Samnay Ana Shuru Hogaey Hain.

Doctors Aur Nurses Kay Mutabiq Ye Ta'dad Barh Rahi Hai, Laikin Symptoms Moderate Hain. Laikin Chinese Authorities Khamosh Hain.

Cases Kion Barhay?

Coronavirus Per Control Kay Liay Lagai Gai Restrictions Khatam Ho Gai Hain Ya Un Main Buhat Narmi Kar Di Gai Hai. Is Liay Coming Months Main Coronavirus Kay Cases Barh Saktay Hain.

Social Media Per Beijing Aur Neighbouring Area Baoding Main Hospitals Aur Clinics Kay Bahar Lines Lagnay Ki Pics Aur Videos Viral Horahi Hain.

Health Authorities Ki Recommendations

Chinese Health Officials’ Nay Is Situation Main Kuch Recommendations Bhi Ki Hain. Unhon Nay Kaha Hay Kay Jin Logon Main Covid Ki Mild Symptoms Hain, Woh Apnay Ghar Per Hi Quarantine Karlain. Yeh Bhi Bataya Hay Kay China Main Corona Kay Ziada Tar Cases Mild Ya Phir Asymptomatic Hain. Yani Ziada Khatarnaak Nahi Hain.

Jis Ilaqay Say Coronavirus Ka Spread Shuru Hoa Tha Us Ka Naam Sichuan Province Hay. Yahan Kay Aik Hospital Main Kaam Kernay Walay Doctor Nay Bataya Ke Daily 700 Say 800 Patients Fever Ki Waja Say Arahay Hain.

China Kay Sarkari Media Xinhua Nay Bataya Kay Capital Beijing Main 50 Say Zaid Patients Coronavirus Ki Waja Say Serious Aur Critical Condition Main Hospitals Main Admit Hain.

US Institute Ki Health Report

Washington Institute Of Health Metrics And Evaluation (IHME) Nay 2 Months Pehlay Report Jaari Kardi Hay Jis Kay Mutabiq Dunya Bhar Main Sardiyon Kay Sath Coronavirus Kay Dobara Phailnay Ka Khatra Zahir Kiya Gaya Hay.

IHME Kay Experts Ka Kehna Hay Kay February 2023 Tak Rozana Coronavirus Ki Waja Mut'adid Amwat Hongi. Yeh Tadaad, Iss Waqt Coronavirus Say Honay Wali Amwat Sai Kahein Ziada Hongi.

Report Main Sardiyun Main Aik New Variant Say Bhi Khabardar Kar Diya Hay Jo Immune System Ko Shadeed Mutasir Kerai Ga.

شیئر

جواب لکھیں