Health Experts Nay Khabardar Kiya Hay Kay Iss Baar Mausam e Sarma (Sardiyan) Akelay Nahi Aein Gein Balkay Apnay Sath Covid Bhi Laein Gein.

Washington Institute Of Health Metrics And Evaluation (IHME) Nay Report Jari Kardi Hay Jis Kay Mutabiq Dunya Bhar Main Sardiyon Kay Sath Corona Virus Kay Dobara Phailnay Ka Khatra Zahir Kiya Gaya Hay.

IHME Kay Experts Ka Kehna Hay Kay February 2023 Tak Rozana Corona Virus Ki Waja Mutadid Amwat Hongi.

Yeh Tadaad, Iss Waqt Corona Virus Say Honay Wali Amwat Sai Kahein Ziada Hongi.

Report Main Sardiyun Main Aik New Variant Say Bhi Khabardar Kar Diya Hay Jo Immune System Ko Shadeed Mutasir Kerai Ga.

Research Main Bataya Gaya Hay Kay Aik Hafta Pehlay Tak Dunya Bhar Main Corona Virus Kay 16.8 Million Positive Cases Reprot Hochukay Hain Jo Kay Ab Barh Kar 17 Million Ho Jaein Gay.

January Tak Ye Tadaad 18.7 Million Tak Pauhanch Jaey Gi Jis Main 250000 Logon Ki Amwat Ho Sakti Hain.

شیئر

جواب لکھیں