Author: فواذ ضیاء

QatarEnergy Ne China Ki Company Sinopec Ke Sath 27-Saal Ke Liye Liquified Natural Gas (LNG) Ki Supply Ki Deal Sign Karli. Ye Ab Tak Ki Sab Se Badi Aur Lambi Deal Hai.  “Aaj Ka Din Hamare Liye Ek Milestone Hai Kyun Ke Hum Ne 27 Saal Tak China Ko 4 Million Tonnes Per Annum LNG Supply Karnay Ke Liye Deal Sign Ki Hai. QatarEnergy Chief Saad Al-Kaabi Ne Kaha. https://twitter.com/qatarenergy/status/1594640901854347266 The North Field, Dunya Ki Bari Se Bari Gas Field Mein Shumar Huta Hai Jo Qatar Iran K Sath Share Karta Hai Jisko Share Of South Pars Kaha Jaata Hai.…

مزید پڑھیں

State Bank Of Pakistan Ne Data Release Kardiya Jiske Mutabiq Mulk Ke Imports Mein Kami Lane K Baad Current Account Deficit October 2022 Mein $0.57 Billion Tak Gir Chukka Hai. September 2022 Mein $0.36 Billion, Aur October 2021 Mein Current Account Deficit $1.77 Billion Pe Khara Tha. FY23 Ke Shuru Ke 4 Mahino Mein Hi Current Account Deficit Mein Improvement Dikhai Dey Rahi Hai. https://twitter.com/StateBank_Pak/status/1594550907475312640 July-October 2022 Ke Period Ko Dekhein Tou CAD $2.8 Billion Pe Hai, Isi Period Mein Pichle Financial Year Mein Ye $5.3 Billion Pe Khara Tha, Jahan Imports Mein Kami Aai $2.7 Billion (11.6%) Ki Wohin…

مزید پڑھیں

Smartphone Se Pehle Zindagi Asaan Lagti Thi, Lekin Agar Socha Jaye Tou Smartphones Ne Hamari Zindagi Ko Aur Bhi Asaan Kardiya Hai. Tou Is Zindagi Ko Aur Asaan Karnay Kay Liay Hum Naey Smartphone Ki Talash Main Rehtay Hain. Is Talash Mein Pehli Baat Hamesha Budget Ki Hoti Hai. Mehengai Ke Is Daur Mein Har Koi iPhone Ya Premium Samsung Galaxy Phones Nahi Afford Kar Sakta. Par Smartphone Aaj Kal Itni Bari Zarurat Ban Gaya Hai Ke Agar Aap Na Ho Tou Kitne Hi Kaamon Mein Peeche Reh Jayen Ge. Lekin Zaruri Nahi Ke Aap iPhone Ya Samsung Ke Phones…

مزید پڑھیں

Pakistan Ke Logon Ke Liye Achi Kahabr Ye Hay Ke Mulk Mein Pehli Hybrid Electric Vehicle (HEV) Muqami Tor Per Assemble Kar li Gayi Hay. Ye Khabar Pakistan Ki Largest Rikshaw Maker Company Sazgar Ne Pakistan Stock Exchange (PSX) Ke Aik Letter Ke Zariye Di. Company Ke Mutabiq Ye Hybrid Electric Vehicle 'Haval' Brand Name Se 17 November Ko Launch Ki Jaye Gi. Pichle Saal Hi Haval Ki SUVs Ko Manufacture Karne Ka Sazgar Ko Government Ki Taraf Se Green-Field Status Milgea Tha. Iss Saal June Mein Sazghar Ne Apni Facilities Ko Kamyabi Se Khara Karliya Tha. Taake Wo Haval…

مزید پڑھیں

Ek Zamana Tha Jab Bankers Kay Mazay Thay, Log Dekhte The Wah Wah Karte. Banker Huna Bhi Muashray Mein Bari Achi Field Samjhi Jaati Thi Aur Har Koi Banker Ban'na Chahta Tha. Chahe Low Level Ki Job Hi Kyun Na Ho. KyunKay Future Tou Bright Dikhta Tha Na! Phir Zamana Badla, Dunya Badli, To Banking Bhi Badal Gayi. Purana Waqt "Enjoy" Karnay Walay Ab Kehtay Hain Ab Banks Ka Wo Haal Nahi. Aur Haqeeqat Bhi Yahi Hay. Employees, Especially Ek Fresh Graduate, First Job Employee Ke Sath Jo Sulook Banks Mein Ho Raha Hai Wo Na-Qabil-e-Bardasht Ho Gaya Hai. 89483991…

مزید پڑھیں

Pichle 9 Mahino Mein Sab Se Lowest Remittances Inflow Record Kiya Gaya Hai, Jo Girtay Huay $2.2 Billion Tak Pohanch Chuka Hay. Year-On-Year Par Dekhain To Ye 15.7% Ka Decline Hay. 4MFY23 Mein Sirf America Se Anay Wali Remittances Ke Inflow Mein 7 Percent Ka Year-On-Year Izafah Dekha Gaya. Iske Ilawa Saudi Arabia Jahan Se Hamesha Se Sab Se Ziada Inflow Aata Tha, Aj Wahan Se Bhi Year-On-Year 9 Percent Kami Hui Hai. UK Se Bhi Year-On-Year 8 Percent Kami Dekhi Gai Hai. European Aur Western Countries Mein Recession Tou Hua Hi Hai, Par Pakistan Mein Jo Hawala Hundi Yaani Illegal…

مزید پڑھیں

Central Bank Mein Foreign Reserves Ek Bar Phir Kam Hugae. State Bank Of Pakistan Ne Data Release Kardiya Jiskey Mutabiq 10% On A Weekly Basis Reserves Gir Gae Hein. October 28 Tak Reserves $8.913 Billion Pe Khare The Par Ab $956 Million Girne Ka Baad $7.957 Billion Pe Hein. Central Bank Ki Statement Mein Ye Bataya Jaraha Hai Ke Ye Kami Reserves Mein External Debt Ki Repayment Waja Se Hui Hai Aur Ye Repayment Commercial Loans Ki Hein. In Loans Ki Refinancing Jaari Hai Jo Ke Foreign Reserves Ko Aaney Waaley Kuch Hafto Mein Ko Phir Se Behtar Halat Mein…

مزید پڑھیں

Wo Time Aur Tha Jab Sirf MBBS, CA, MBA Etc Ki Degrees K Peeche Log Bhagte Thay Aur Jobs Bhi Isi Field Mein Dhunte Thay. Zamana Badal Raha Hai Aur Technological/Digital Advancement Ki Taraf Jaraha Hai. Ab Ziada Talaash Ho Rahi Hai IT Industry Ke Tech Aur Digital Nerds Ki. Aaj Kal Tech/Digital Field Ki Puri Dunya Mein Bari Value Hai. Dunya Tezi Se Digitalization Ki Taraf Barh Rahi Hai, Har Cheez Upload Ho Rahi Hai Aur Online Aa Rahi Hai, Chahey Wo Daily Schedule Ho, Fitness Routine Ya Ek Pura Business Empire, Sab Kuch Digitalized Ho Raha Hai. Aur…

مزید پڑھیں

Aaj Khushi Ki Sirf Yahi Khabar Nahi Thi Ke India T20 World Cup Ka Semi Final Haar Gaya, Balke Ye Bhi Hai Ke Pakistan Stock Exchange (PSX) Barray Time Kay Baad Itna Positive Nazar Aaya. Thursday Ko Market 42,959.28 Tak Gai, Jo Izafa Tha 636 Yaani Takriban 1.50%. Jis Kay Baad Closing 42,901.27 Points Pe Hui. Iss “High Tide” Ka Reason Asian Infrastructure Investment Bank (AIIB) Inflow Samjha Ja Raha Hai. Wednesday Ko Finance Minister Ishaq Dar Ne Announce Kiya Tha Ke Pakistan Ko BRACE (Building Resilience With Active Countercyclical Expenditures) Development Ke Liye AIIB Se $500 Million Co-Financing Mileygi.…

مزید پڑھیں

One Of The Biggest Crypto Exchange FTX Bankrupt Honay Wali Hai , History Mein Pehli Bar Kisi Billionaire Ne Ek Hi Din Mein Apna Fortune 94% Kho Diya. Ye Sab Shuru Hua Tuesday Ko, Jab Twitter Pe Rumors Spread Honay Lageen Ke FTX User Funds Ko Loan Out Kar Raha Hai Alameda Ko, Jo FTX Ka Ek Liquidity Provider Hai. Aur Apne Illiquid FTT Tokens Ko As A Collateral Rakh Raha Hai. Phir Bhai Ek Cheez Jab Twitter Pe Agai Tou Samjho K Raita Phail Gaya. Logon Ne Apne Funds Withdraw Karna Shuru Hi Kiye Tha Ke FTX Ne Withdraws…

مزید پڑھیں