One Of The Biggest Crypto Exchange FTX Bankrupt Honay Wali Hai , History Mein Pehli Bar Kisi Billionaire Ne Ek Hi Din Mein Apna Fortune 94% Kho Diya.

Ye Sab Shuru Hua Tuesday Ko, Jab Twitter Pe Rumors Spread Honay Lageen Ke FTX User Funds Ko Loan Out Kar Raha Hai Alameda Ko, Jo FTX Ka Ek Liquidity Provider Hai. Aur Apne Illiquid FTT Tokens Ko As A Collateral Rakh Raha Hai. Phir Bhai Ek Cheez Jab Twitter Pe Agai Tou Samjho K Raita Phail Gaya.

Logon Ne Apne Funds Withdraw Karna Shuru Hi Kiye Tha Ke FTX Ne Withdraws Rok Diye. Phir Sawal Utha Ke Bhai Jab Aap Keh Rahay Ho Ke Aap Ne Hamare Funds Use Nahi Kiye Tou Withdrawals Ko Freeze Kiyu Kar Diya?

Tou Hona Hi Yehi Tha. 1 Din Mein Crypto Tycoon FTX CEO Sam Bankman-Fried (SBF), Jinki Worth $16 Billion Thi, Dekhte Hi Dekhte $1 Billion Pe Aa Jaate Hein.

Mushkil Mein Yaad Aaya Sab Se Barra Competitor:

Dunya Ka Sab Se Barra Crypto Exchange Binance Aya Rescue Karne Ke Liye, Lekin Foran Hath Khinch Liya. Binance Ne Tuesday Ko Kaha Ke Wo FTX Ko Khareedne Waala Hai, Phir Ek Dam Se Wednesday Ko Bailout Kar Gaya Ye Kehte Huwe: FTX Is "Beyond Our Control Or Ability To Help."

Aur Phr Tweet Karta Hai:

Crypto World Kay Liay Big Deal!

FTX Ka Ek Dam Collapse Hona Ek Barra Jhatka Puri Crypto Universe Ko Deta Hai. FTX Ke CEO Ki Reputation Market Mein Buhat Achi Thi Aur Unko “One Of The Good Guys” Kaha Jata Tha. Par Jab Itna Trustworthy Banda Ese Apka Trust Torray ga Tou Phir Aap Aagey Kese Invest Aur Trust Karo Ge Esi Market Mein?

Yehi Sawal Ab Logo Ke Dimagh Mein Feed Ho Chuka Hai.

Bankruptcy Hui To?

FTX Agar Bankruptcy Declare Kar Deta Hai Tou User Deposits Mushkil Mein Par Jaen Ge. Filhal Koi Khabar Nahi Ke FTX Ka Kitne User Funds Pe Hath Hai, Par Ek Baat Tou Done Hai Ke Ye Ek Buhat Barra Impact Chorrne Wala Hai Puri Industry Pe.

شیئر

جواب لکھیں