Dunya Ka Sab Say Bara Cargo Plane Kisi Khwab Ki Manind Tha Jis Ko Haqeeqat Main Dhala Gaya. Uss Ko Jis Waqt Banaya Gaya, Woh Kisi Ajoubay Say Kam Nahi Tha. Antonov An-225 Iss Saal February Main Russian Hamlay Main Tabah Hogaya Tha. Iss Plane Ko Aab Dobara Banaya Jaey Ga.
Ukraine Main Captial Kiev Kay Nazdeek Base Main Hanger Kay Andar Kharay Antonov An-225 Ko Russia Nay Bombardment Kar Kay Tabah Kiya.
Iss Plane Main Boeing 747 Plane Say 2 Times Ziada Wazan Uthanay Ki Salahiyat Thei. Iss Kay Dono Wings Ki Total Length 275 Feet Thi.
Iss Ka Shumaar Dunya Kay Saab Say Bhaari Tareen Plane Main Hota Tha. Tabaah Honay Kay Baad,Plane Ki Company Antonov Nay Khadsha Zahir Kia Tha Kay Iss Ko Dobara Urnay Kay Qabil Banana Mushkil Hoga.
Plane Ko Kaisay Banaya Jaey Ga?
Aab Company Nay Announce Kiya Hay Kay Antonov An-225 Ko Dobara Banaya Jaraha Hay. Iss Hawalay Say Design Work Per Kaam Jari Hay.
Antonov An-225 Ko Dobara Banay Per 502 Million Dollars Ka Kharcha Aei Ga. Plane Ko Tayar Kernay Main 30% Components Naey Lagae Jaein Gae. Iss Plane Ko Dobara Bananay Main 5 Saal Ka Arsa Lagae Ga.
Dilchasp Baat Yeh Hay Kay Antonov An-225, April 2018 Main, Malaysia Say Saudi Arabia Jatay Hoay Pehli Baar Karachi Kay Jinnah International Airport Per Bhi Utra Tha. Phir Pichlay Saal, 23 June 2021 Ko, Kabul Say Karachi Airport Per Bhi Utra. Nex Din Jab Dobara Urran Bhari, Tou Iss Kay 6 Powerful Engines Say, Adha Shehr Laraz Utha Tha.
Antonov An-225 Nay Apni Pehli Flight 1988 Main Ki Thi. 1991 Main Soviet Union Kay Tootnay Kay Baad, Yeh Ukraine Kay Hissay Main Aya Tha. Taham Ukraine Kay Economic Issues Ki Waja Say Iss Per Ziada Daihaan Nahi Diya Gaya. 2001 Main Dobara Iss ko Flight Kay Qabil Bana Ker Active Kiya Gaya.
Antonov An-225 Kay Records
Iss Plane Kay Pass Kai Records Thay. Iss Nay Sab Say Bara Single Cargo Uthanay Ka Record Banaya Tha. Uss Cargo Ka Weight 189890 Kilo Tha.
Total 2,53,8200 Kilo Weight Utanay Ka Record Bhi Iss Plane Kay Pass Hi Tha.
Commercial Flight Main Iss Nay 2,47,000 Kilo Ka Weight Uthanay Ka Record Bhi Banaya Hoa Tha.
Iss Plane Nay 42.1 Meters Ka Cargo Utha Ker Bhi Record Qaim Kia Tha. Iss Main Aik Wind Turbine Kay 2 Blades China Say Denmark Pauhanchaey Gaey Thay.
Antonov An-225 Ko Mriya Ka Naam Diya Gaya Jiss Kay Meaning Ukraine Main Khwab Kai Hain.