Central Bank Mein Foreign Reserves Ek Bar Phir Kam Hugae. State Bank Of Pakistan Ne Data Release Kardiya Jiskey Mutabiq 10% On A Weekly Basis Reserves Gir Gae Hein.

October 28 Tak Reserves $8.913 Billion Pe Khare The Par Ab $956 Million Girne Ka Baad $7.957 Billion Pe Hein.

Central Bank Ki Statement Mein Ye Bataya Jaraha Hai Ke Ye Kami Reserves Mein External Debt Ki Repayment Waja Se Hui Hai Aur Ye Repayment Commercial Loans Ki Hein.

In Loans Ki Refinancing Jaari Hai Jo Ke Foreign Reserves Ko Aaney Waaley Kuch Hafto Mein Ko Phir Se Behtar Halat Mein Layjaega. Iske Ilawa Wednesday Ko Finance Minister Ishaq Dar Ne Announce Kiya Hai K AIIB Ki Taraf Se $500 Million Ka Loan Is Hi Month Recieve Huga Jo Reserves Ko Aur Behtar Kardega.

Filwaqt Mulk Ki Liquid Foreign Currency Aur SBP K Ilawa Dusre Banks Mein  Reserves $13.721 Billion Pe Khare Hein. Net Reserves Banks Mein $5.764 Billion Hein Matlab Kami $2 Million Ki Hui Hai.

شیئر

جواب لکھیں