Shehbaz Sharif Ko Bartanvi Akhbar Daily Mail Ne Chor Kaha To  Unhon Ne Khoob Shor Machaya. Chotay Miyan Ne Barri Barri Baatein Keen. Akhbar Ke Khilaaf Hatak-e-Izzat Ka Daawa Bhi Kardiya. Lekin Jab Adalat Mein Muqadma Larnay Ka Waqt Aaya To Dono Janib Se Tareekh Par Tareekh Li Jane Lagi. Magar Ab Judge Ne Wazeh Kardiya Ke Kisi Ko Tareekh Nahi Miley Gi.

Bartanvi Media Ke Mutabiq London Ki Adalat Ne Daily Mail Harjana Case Mein Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif Ki Stay Order Ki Darkhwast Kharij Karte Huye Mazeed Waqt Dainay Se Inkar Kar Diya.

Adalat Mein Aam Admi Aur Wazir-e-Azam Barabar Hain, Judge

Samaat Ke Dauran Wukla Ka Kehna Tha Ke Shehbaz Sharif Pakistan Ke Wazir-e-Azam Bun Chukay Hain. Is Liye Masroof Rehtay Hain. Jawab Ke Liye Mohlat Di Jaye. Is Par Judge Justice Mathew Nicklin Ne Remarks Diye Ke Meri Adalat Mein Wazir-e-Azam Aur Aam Aadmi Barabar Hain.

Shehbaz Sharif Aur Un Ke Damaad Imran Ali Daily Mil Ke Difaa Ka Jawab Ab Tak Nahi Day Sakay Hain. Adalti Notice Ka Jawab Na Dainay Ki Soorat Mein Shehbaz Sharif Ko Daily Mail Ke Qanooni Akhrajaat Bhi Ada Karne Hon Ge. Unhon Ne Case Na Lara To Un Ke Mukhalfin Yahi Kahen Ge Ke Daily Mil Ke Ilzamaat Durust Thay.

Daily Mail Ne Shehbaz Sharif Par Kya Ilzamaat Lagaye Thay ?

Daily Mail Ne July 2019 Mein Aik Report Shaya Ki Thi Jis Mein Ilzaam Lagaya Gaya Tha Ke Shehbaz Sharif Aur Un Ke Damaad Imran Ali Yousuf Ne Selaab Mutasireen Ke Liye Milnay Walay Bartanvi Fund Mein Se Paisay Churaye. Sarkari Mansoobon Mein Corruption Se Raqam Banai Aur Money Laundering Ke Zariye Bartania Mein Jayidadin Kharidi Gayeen.

Raftar Bharne Do

Daily Mail Ne June 2018 Mein Bhi Aik Report Publish Ki Thi Jis Mein Sharif Khandan Ki UK Mein Jayidadon Ki Tafseelaat Day Kar Sawalaat Uthaye Gaye Thay.

Daily Mail Ka Dawa Tha Ke Unhon Ne Article Shaya Karnay Se Pehlay Sharif Family Se Mauqif Manga Tha. Akhbar Ke Hukkam Ke Mutabiq David Rose Ne Salman Shehbaz Se 2 Baar Rabta Kiya. Maryam Nawaz Aur Ata Tarar Se Bhi Rabta Kiya Gaya Lekin Unhon Ne Koi Jawab Nahi Diya.

شیئر

جواب لکھیں