Former Indian P.M. Rajiv Gandhi Kay Murder Case Kay Tamaam Prisoners Ko Jail Sai Release Kernay Ka Court Nay Hukum Dai Diya.

Indian Supreme Court Nay Kaha Hay Kay Tamil Nadu Ki Government Nay Iss Murder Case Kay Prisoners Ko Release Kernay Ki Sifarish Ki.

Inn Tamaam Afraad ko 31 Saal Pehlay, Rajiv Gandhi Kay Murder Kay Baad Arrest Kiya Gaya Tha.

Supreme Court Nay Nalini Sriharan, R P Ravichandrah Aur Deegar 4 Prisoners Ko Release Kernay Ka Hukum Diya. Yeh Prisoners Iss Case Main Life Sentence Ki Saaza Kaat Rahay Thay. In Prisoners Nay Already 23 Saal Qaid Ki Saza Kaat Li Thei.

Justice B R Gavai Aur B V Nagarathna Nay Faisalay Main A G Perarivalan Kay Haq Main Anay Walay Faisalay Ka Zikar Kiya. Perarivalan Ko Iss Saal May Mai Release Kiya Gaya Tha. Un Ko Supreme Court Nay Ghair Mamoli Powers Use Kertay Hoay Constitution Kay Article 142 Kay Tehaat Release Kernay Ka Kaha.

Nalini Sriharan Nay August 2022 Main Supreme Court Main Release Ki Application File Ki Thei. Unhonay Madras High Court Kay Faisalay Ko Challenge Kia Tha. High Court Nay Unki Jald Release Honay Ki Application Reject Kerdi Gaei Thei.

Congress Kay Leader Jairam Ramesha Nay Supreme Court Kay Faisalay Per Tanqeed Ki Hay. Unhonay Kaha Hay Kay Congress Party Iss Faisalay Ko Mustard Kerti Hay.

Rajiv Gandhi Per Tamil Nadu Kay Ilaqay Sriperumbudur Main 21 May 1991 Ko Khatoon Suicide Bombar Nay Hamla Kiya Tha. Woh Uss Waqt Intekhabi Rally Main Maujod Thay.

شیئر

جواب لکھیں