Parho  Gay Likho Gay Bano Gay Nawab

Khelo Gay Kudo Gay Ho Gay Kharab!

Ye Muhwara Sun'nay Mein To Bohot Acha Lagta Hai Lekin Jis Tarah Har Cheez Ka Aik Waqt Hota Hai Usi Tarhan Aisa Lagta Hai Jaisay Is Muhawray Ka Bhi Waqt Pura Ho Gaya Hai!

Aaj Kal Kay Zamanay Mein Agar Aik Naujawan Parhay Likhay To Usko Nawab Ban'nay Kay Liye Ya Tou Bohat Achi Qismat Chahiye Hoti Hai, Ya Phir Usko Apni Aadhi Zindagi Guzaarni Par Jaati Hai. Lekin Agar Koi Naujawan Khel Kood Kar Hi 3,880,289 Dollars Kama Lay Tou Phir Parhnay Likhnay Ki Kya Zaroorat Hai?

20-25 Saal Ki Umar Kay Naujawan Aaj Kal Parh Likh Kar Sarkon Par Dhakay Kha Kha Kar Chand Paisay Kama Rahay Hotay Hain. Magar Isi Umar Mein Sumail Hassan Ne Gamming Kar Kar Ke Itnay Paisay Kama Liye Hain, Ke Sun Kar Hairat Hoti Hai.

Pakistan Gaming

America Main Rehnay Walay Sumail Hassan Ka Ta'luq Karachi Se Hai. Unhon Ne Gaming Ke Liye Apni Motorcycle Tak Baich Di Thi. Itna Shadeed Craze Tha Unhay Gaming Ka. Lekin Na Sumail, Aur Na Unkay Ghar Walon Ko Pata Tha Ke Aik Din Sumail Apnay Shoq Se Itnay Paisay Kama Lega, Jitna Aik Corporate Level Par Kaam Karnay Wala Larka Shayad Hi Kabhi Kama Paye.

Agar Aik Pakistani Naujawan Itnay Paisay Sirf Game Khel Kr Kama Leta Hai Tou Kya Games Ko Hi Apna Source Of Income Bana Le?

Ye Baat Jitna Sun'nay Mein Aur Kehney Mein Aasan Lagti Hai Utni Aasan Hai Nahi. Sumail Jaisay Larkay Rare Breed Hotay Hain. Wo Jis Game Mein Mahir Hain Uska Naam Dota Hai. Ye Game Pakistan Mein Khoob Kheli Jati Hai. Har Pakistan Gaming Zone Mein Aap Ko Kuch Larkay Dota Aur Baki CS GO Kheltay Milen Gay. Lekin Khelnay Ka Matlab Bilkul Ye Nahi Kay Aap Is Mein Pro Ho Jayen Gay Aur Expert Level Par Khel Kar Paisay Kama Payen Ge.

Pakistan Gaming

Sumail Ne US Janay Ka Baad Beshumar Tournaments Jeetay Hain. Jis Ki Badolat Aaj Wo Yahan Par Hain. Sumail Aik Legend Hain Pakistan Gaming Community Mein Aur Who Dota Ke GOATS Mein Shumaar Kiye Jatay Hain. Sumail Ko Pakistan Hi Nahi Balkay Duniya Bhar Ki Gaming Community Mein Eik Pro Samjha Jata Hai.

Magar Aaj Bhi Pakistan Mein Gaming Aik Kharab Cheez Samjhi Jati Hai. Pakistan Gaming Community Ke Cheeton Ki Kami Nahi Hai Aur Duniya Bhar Ke Gamers Yahan Ke Gamers Ko Na Sirf Izzat Detey Hain Bulkay Inkay Lakhon Crazy Fans Bhi Hain.

Pakistan Gaming

Arsalan Ash Ne Recent Events Mein Tekken Championship Apnay Naam Ki Hai. Tekken Japan Aur Deegar Asians Ki Sab Se Barri Fighting Game Hai. Is Main Un Ko Harana To Door Ki Baat, Unkay Samnay 15 Second Khara Hona Bhi Fakhar Ki Baat Hai. Magar Arsalan Ash Ne Un Ko Hara Kar Naa Sirf Apna Naam Roshan Kiya Bulkay Puray Pakistan Ka Naam Gaming Community Mein Aur Upar Kardiya. Un Ki Waja Se Duniya Kay Har Mulk Say Tekken Kay Pro Players Aur Fans Lahore Atay Hain Sirf Arsalan Ke Saath Aik Match Laganay.

Ye Log Duniya Bhar Mein Heroes Aur Legends Samjhay Jatay Hain. Magar Pakistan Mein In Ko Koi Khaas Ahmiyat Nahi Di Jati. Pakistan Mein Cricket Ke Ilawa Kisi Sports Ko Hukoomti Level Par Tarjeeh Nahi Di Jati. Magar Arsalan Aur Sumail Jaisay Kai Players Is Mulk Mein Hain Jo Sirf Financial Support Na Honay Ki Waja Se Bahir Mumalik Ja Kar Compete Nahi Kar Patay.

To Kya Pakistan Ko Apni Gamer Community Ko Support Karna Chahiye? Ya Sirf Cricket Hi Wo Khel Hai Jo Yahan Survive Karega?

شیئر

جواب لکھیں