Pichle 9 Mahino Mein Sab Se Lowest Remittances Inflow Record Kiya Gaya Hai, Jo Girtay Huay $2.2 Billion Tak Pohanch Chuka Hay. Year-On-Year Par Dekhain To Ye 15.7% Ka Decline Hay.

4MFY23 Mein Sirf America Se Anay Wali Remittances Ke Inflow Mein 7 Percent Ka Year-On-Year Izafah Dekha Gaya. Iske Ilawa Saudi Arabia Jahan Se Hamesha Se Sab Se Ziada Inflow Aata Tha, Aj Wahan Se Bhi Year-On-Year 9 Percent Kami Hui Hai. UK Se Bhi Year-On-Year 8 Percent Kami Dekhi Gai Hai.  

European Aur Western Countries Mein Recession Tou Hua Hi Hai, Par Pakistan Mein Jo Hawala Hundi Yaani Illegal Grey Markets Ke Zariye Paise Bhijwae Jarahe Hein, PKR Ki Value USD Ke Samne Kam Hu Rahi Hai Aur USD Short Ho Kar Open Market Mein High Rates Mein Bik Raha Hai. Ye Sab Remittances Ke Kam Honay Ki Bunyaadi Wajuhaat Batai Jarahi Hein.

شیئر

جواب لکھیں