November Kay Sath Sath Jahan Sardi Mein Izafa Ho Raha Hay, Waheen Gas Ki Load Shedding Bhi Shuroo Ho Chuki Hay. Jo February Kay End Tak Chalti Rahay Gi. Sui Southern Gas Company (SSGC) Tou Ailan Kar Chuki Hay Ke 15th November Say 28th February Tak Industries Ko Gas Suspend Rahay Gi.

Ho Sakta Hay Karachi Chamber Of Commerce And Industry Ya Industrial Associations Kay Pressure Kay Baad SSGC Is Main Koi Tabdili Kar Lay. Magar Ye Aik Haqeeqat Hay Kay Pakistan Main Gas Ki Shortage Hay. Aur Gas Ki Kami Ko Poora Karnay Kay Liye Gas Import Ki Ja Rahi Hay.

Hukoomat Aur Hamaray Thinktanks Supply Side Management Par To Zaur Laga Rahay Hain Magar Demand Management Kay Liye Koi Khatir-Khwah Iqdamat Nahi Kiye Ja Rahay.

Gas Supply Mein Priority Kis Ko Milni Chahiye?

Sab Say Pahlay Humain Gas Kay Mamlay Main Kam-az-Kam Ye “Pehli Tarjeeh Domestic Consumers” Ki Policy Badalna Hogi.

  • Kya Humain Ye Gas Sardion Main Geyser Say Pani Garam Karnay Kay Liye Istemal Karni Chahiye?
  • Kya Hum Anay Walay Salon Main Apnay Cholhay Gas Par Chala Sakain Gay?
  • Kya Hamain Caren Aur Garriyan Bhi Gas Par Chalani Chahiyain?

Gas Load Shedding Ka Hal Kiya Hay?

Solar Energy Domestic Sector Aur As A Whole Energy Kay Masail Ka Barra Hul Hay. Pakistan Main Sab Say Zyada Gas Bijli Paida Karnay Kay Liye Istemal Hoti Hay. Us Kay Baad Aik Barra Hissa Consumer Sector Lay Jata Hay. In Dono Kay Liye Solar Energy Ka Inqalabi Programme Launch Karna Chahiye.

  • Net-Metering Kay Rate Ko Ziada Say Ziada Behtar Bananay Ki Zarurat Hay.
  • 1 Kanal Aur Us Say Baray Ghar Kay Naqshay Main Solar Panels Lagwana Lazmi Qarar Dia Jaye.
  • Posh Ilaqaon Main Gas Geyser Par Pabandi Laga Di Jaye, Aur Hukumat Instant Electric Geyser Aur Electric Stoves Ki Maqami Industry Ko Farogh Dainay Kay Liye Iqdamat Uthaey.
  • Cooking Ko Bijli Par Shift Karnay Ka 5 Sala Roadmap Tayyar Kia Jaye, Jis Main Industry Ko Bhi Shamil Kia Jaye.
  • Electric Gariyon Par Government Ki Policy Abhi To Reengna Shuro Hui Hay. Iski Raftar Ko Taiz Karnay Ki Zarurat Hay. Mazi Main Auto Sector Ko Di Janay Wali Ghair Zarori Mara’at Ki Bajaye E-Cars Ki Policies Ko National Interest Samnay Rakhtay Huay Tayyar Karna Hoga.

Taiz Raftar Faislay Hi Taiz Raftar Taraqqi Kay Zamin Hon Gay.

شیئر

جواب لکھیں