Rupee Ki Qadar Main Kami Ka Silsila Badastoor Jari Hay Aur Interbank Main Dollar Aik Martaba Phir 221 Rupees Say Tajawuz Kergaya Hay.

Mulk Ki Currency Markets Main Dou Din Ki Positivity Kay Baad Dollar Kay Muqablay Main Rupee Ki Qadar Aik Bar Phir Kum Hogayi.

Wednesday Ko Bhi Dollar 78 Paisay Mehenga Hoa Aur Interbank Main 221 Rupees Say Tajawuz Kergaya.Day End Per Dollar Rs221.43 Ki Staah Per Band Hooa.

Open Market Main Bhi Dollar Ki Qadar Barh Rahi Hay Aur Supply Nayab Hai. Dollar Ki Qadar 230 Rupees Say Upper Chali Gai Hay.

Wazeer Khazana Ishaq Dar Ka Yeh Kehnay Kay Bawajood Kay Dollar Ki Asal Qadar Kisi Bhi Tarhan 200 Rupees Say Ziada Nahin; Rupee Musalsal Kamzor Horaha Hai.

Experts Kay Mutabiq Yeh Instability Mulk Kay Foreign Exchange Reserves Mein Kami, Open Market Mein Dollar Ka Nayab Hona, Political Instability Aur Remittances Main Kami Ki Waja Say Hai Aur Aanay Walay Din Mein Bhi Yahi Trend Rahayga.

شیئر

جواب لکھیں