Wo Khabar Aa Gai Jo Hum Nahi Sun’na Chahtay Thay. India Nay Bangladesh Ko 5 Runs Say Hara Dia. Yoon Us Ka Aik Qadam Semi-Final Main Hay. Jabke Doosra Qadam Aik Kick Ki Surat Main Pakistan Ko Parr Chuka Hay.

ICC T20 World Cup 2022

India vs Bangladesh

2 November 2022

Adelaide Oval, Adelaide, Australia

Result: India 5 Runs Say Jeet Gaya (D/L Method)

Raftar Bharne Do IND184-6
Virat Kohli64 (44)
KL Rahul50 (32)
BAN BowlingOMRW
Hasan Mahmud40473
Shakib Al Hasan40332
Raftar Bharne Do BAN(T:151, 16 ov.)145-6
Litton Das60 (27)
Nurul Hasan25 (14)
IND BowlingOMRW
Hardik Pandya30282
Arshdeep Singh40382

T20 World Cup, Pakistan Ka Chance Khatam?

Nahi, Aisa To Nahi Keh Saktay, Laikin Ab Pakistan Ka Semi Final Khelna Taqreeban Impossible Ho Chuka Hay. Ab Pakistan Ko Na Sirf Apnay Last Donon Matches Jeetnay Hain. Yani South Africa Aur Bangladesh Donon Ko Harana Hay. Balke Zimbabwe Say Umeed Lagani Hay Kay Wo Last Match Main India Ko Haraey Ga. Usi Zimbabwe Say Jo Aaj Netherlands Say Haar Gaya Tha.

Barish, Deciding Factor

T20 World Cup 2022 Main Buhat Say Matches Main Barish Hui. Laikin Jo Matches Huay, Kamal Huay. Is India-Bangladesh Main Sub Tha, Zabardast Muqabla Bhi Aur Barish Bhi. Balke Barish Nay Hi To Bangladesh Ka Kaam Kharab Kia. Hona Tha To Hoti Rehti. 45 Minute Baad Ruk Gai Aur Bangladesh Ko Phansa Gai.

Jab Barish Shuroo Hui To India Kay Shoulders Down Thay. Wo Litton Das Kay ‘Lathi Charge’ Say Pareshan Tha. Litton 26 Balls Par 59 Runs Kay Sath Khel Rahay Thay. Aur Sub Say Barrh Kar Ye Ke Bangladesh Dls Par Score Main 17 Runs Aagay Tha. Yani Agar Barish Ki Waja Say Match Yaheen Khatam Ho Jata To Bangladesh Jeet Jata.

Chhoti Si Khushi

Laikin Bangladesh, Aur Pakistan, Kay Fans Ko Mili “Sirf” 45 Minute Ki Khushi. Barish Ruk Gai, Match Restart Hua Aur Phir India Chha Gaya.

Bangladesh Ko Ab 16 Overs Main 151 Runs Ka Revised Target Mila Tha. Wo 7 Overs Main 66 Runs Par Khara Tha. Wo Bhi Baghair Kisi Wicket Kay Nuqsan Kay. Yani Baqi 9 Overs Main 85 Runs Ka. Laikin Barish Say Momentum Toota, Aur Phir Raftar Barqarar Nahi Reh Saki.

Tez Say Aur Tez Khelnay Kay Ki Koshish Main Bangldeshi Batsman Out Hotay Chalay Gaey. Barish Kay Baad Pehlay Hi Over Main Match Ka ‘Turning Point’ Aa Gaya. Litton Das 27 Balls Par 60 Runs Bananay Kay Baad Run Out Ho Gaey. Kl Rahul Jin Ka Aaj Buhat Dinon Baad Balla Bhi Chala, Throw Bhi Direct Lagi. Kuchh Hi Dair Main Doosray Set Batsman Najmul Hossain Shanto Out Huay Aur India Aa Gaya Match Main Wapis.

Last 5 Overs

Bangladesh Ko Last 5 Overs Main 52 Runs Ki Zarurat Thi Aur Pressure Usay Lay Dooba. Next 2 Overs Main To 2,2 Wickets Gireen. India Aaj Koi Catch Chhornay Par Tayar Nahi Tha.

Last Overs Main 20 Runs Bananay Kay Liay Wicket Keeper Nurul Hasan Nay Aik Valiant Efford Kia. Unhon Nay Last Over Ki 2nd Ball Par Six Aur 5th Ball Par Four Lagaya. Laikin Last Ball Par Match Tie Karnay Kay Liay Sixer Na Laga Sakay. Arshdeep Bach Gaey!

Nurul 14 Balls Par 25 Runs Bananay Kay Baad Tootay Dil Kay Sath Maidan Say Wapis Aaey.

Indian Innings

Bangladesh Ki Dawat Par Pehlay Batting Kartay Huay India Nay 184 Runs Ka Achha Total Banaya. Finally KL Rahul Chal Parray. Unhon nay 32 Balls Par 50 Banai, Jis Main 4 Sixes Bhi Shamil Thay. Virat Kohli Top Scorer Rahay Jinhon Nay 44 Balls Par Not-Out 64 Runs Banaey. Suryakumar Yadav Nay 16 Balls Par 30 Runs Kay Sath Un Ka Behtareen Sath Dia.

Bangladesh Ki World Cup Campaign Ab Taqreeban Khatam Ho Chuki Hay. Usay Sunday Ko Pakistan Kay khilaf Apna Last Match Khelna Hay. Jabke India 6 Points Kay Sath Group Main Top Par Aa Chuka Hay.  Us Ka Last Match Bhi Zimbabwe Kay Khilaf Hay.

ICC T20 World Cup 2022

Points Table

Group 2

MWLN/RPTNRR
Raftar Bharne Do IND43106+0.730
Raftar Bharne Do SA32015+2.772
Raftar Bharne Do BAN42204-1.276
Raftar Bharne Do ZIM41213-0.313
Raftar Bharne Do PAK31202+0.765
Raftar Bharne Do NED41302-1.233
شیئر

جواب لکھیں