Author: فواذ ضیاء

Jahan Internationally Gold Prices Mein Kami Dekhi Jarahi Hai, Wohin Pakistan Mein Gold Prices Buhat Izafa Hogaya Hai. Aaj 8th November 2022 Ko Gold Price Per Tola PKR 152,000 Par Puhanch Gai Hay. Last Time Highest Price Issi Saal Dekhi Gai Thi, Jab 28th July Ko Per Tola PKR 162,500 Tha. Laikin Aglay Mahino Mein Prices Neeche Agaeen. 24 August Ko PKR 142,307 Tola Hua, Lekin Foran Bad Price Mein Tez Raftari Se Izafa Hua. Gold Prices Mein Fluctuations Ka Reason: Gold Prices Mein In Fluctuations/High Price Key 2 Reasons Dekhe Jarahe Hein, Pehla Reason Dollar Exchange Rate Aur Doosra…

مزید پڑھیں

State Bank Of Pakistan (SBP) Key Mutabiq October End Tak Roshan Digital Accounts (RDAs) Main Foreign Exchange $5.3 Billion Ka Inflow Record Kiya Geya. Central Bank Ne Official Data Jari Kardiya Hay Jiske Mutabiq Takreeban 485,873 RDAs Khole Gae Jo 2.9 % On A Monthly Basis Ziada Hai. Par Jis Raftar Se Roshan Digital Accounts Khule Ussi Raftar Se Inflows Na Barh Sakey. September 2022 Kay End Mein Inflows $168 Million Thay Wahin October 2022 End Main Ye $146 Million Tak Gir Gae. Yaani $22 Million Kam Inflow Record Hua Jo Key 2 Years Ka Lowest Hai. September 2020 Say…

مزید پڑھیں

Government Ne Agriculture Sector Kay Liay Recently Package Announce Kia Tha. Aur Sath Hi Export-Oriented Sectors Ke Liye Concessional Electricity Ka Ailan Bhi Kia Tha, Wo Bhi Rs. 1800 Billion Ka. IMF Is Package Se Naraz Hay Aur Kehta Hay Ke Pakistani Government Ko Issey New Tax Measures Ke Zariay Reverse Ya Compensate Karna Chahiye. Government Ko Pehle Bhi Kisi Bhi Qisam Ke Tax Concession Se Aur Exemption Dainay Say Roka Gaya Tha. Needed Consolidation: FY22 Main GDP Kay 0.3 Ka Primary Surplus Target Poora Na Honay Kay Baad Government Ko Sakht Steps Ki Zarurat Hay. Par Yahan Tou Samajh…

مزید پڑھیں

Pakistani Ki Women Cricket Team Ki Player Sidra Ameen Nay ODI Main Pakistan Ki Taraf Say Saab Say Bari Innings Khelnay Ka Record Bana Diya. Lahore Main Ireland Kay Khelaf Pakistan Nay Toss Jeet Ker Batting Ka Aghaz Kia Tou Opener Sidra Ameen Chah Gaein. https://twitter.com/TheRealPCB/status/1588443629131280385?s=20&t=YXS_Xd83PgEDG9b0vM6Bcg Unhonay Wicket Kay Charon Janib Dilkash Strokes Khelay. https://twitter.com/TheRealPCB/status/1588440030120660992?s=20&t=YXS_Xd83PgEDG9b0vM6Bcg Sidra Nay 151 Balls Per 176 Runs Ki Innings Kheli. Iss Doraan Unhonay 20 Fours Aur 1 Sixer Lagaya. Irish Bowlers Sidra Ko Out Kernay Main Nakaam Rahein Aur Woh Not Out Wapis Aein. Sidra Nay Women ODI Main 5th Highest Score Bhi Banaya. Sidra…

مزید پڑھیں

Pakistan Kay Shehroon Kay Halaat Tou Buray Hain Hi Lekin Aab Gaun Aur Dehaat Jo Pehlay Hi Sailaab Say Mutasir Hain, Wahan Bhi Mehngai 30 % Tak Pohanchgai Hai. Mulk Ki Tareekh Main Pehli Baar Inflation ( Mehngai) Nay Rural Areas Ko Bhi Mutasir Kerdia Hay. Urban Areas Main Mehngai 27 % Tak Pauhanch Gaei Hay. https://youtu.be/rjfBk1L5Lj4 Pakistan Bhar Main Piyaaz 68%,Tamatar 41%,Cooking Oil 3%,Aata 9%,Milk 6%,Chicken 4%,Electricity charges 89% Aur Medicines 2.5% Barhi Hain. Economic Experts Ka Kehna Hai Kay Ye 27% Inflation Yearly Electricity Prices Ko Understate Kernay Kay Bawajoud Hay. Mahireen Ko Mehngai Ki Raftar Aagay Bhi…

مزید پڑھیں

Pakistan Stock Exchange Main Musalsaal Teesray Roz Mandi Dekhi Gai Aur Mahireen Ka Kehna Hay Kay PTI Kay Long March Aur Investors Ka Rujhaan Tabdeel Hona Iss Ki Waja Hay. KSE-100 Index Main 462.53 Points Ki Kaami Dekhi Gaei Aur Dinn Kay Ikhtetam Taak Index 41,140.33 Points Per Pauhanch Gaya. Pitchlay Friday Ko Index 42,213.48 Points Per Band Hoa Tha. Dono Weeks Ka Mawazna Kiya Jaei Tou Index Main 1,073.15 Points Ki Kami Aei Hay. Ma’ashi Mahir Salman Naqvi Nay Bataya Kay Ager Mulk Kay Halaat Theak Rahay Aur Koi Masaail Nahi Hoay Tou Aglay Hafta Market Ki Surat e…

مزید پڑھیں

Pakistan Ko Asian Development Bank (ADB) Ki Taraf say 1.5 Billion Dollar Ka Loan Mil Gaya Hay. BRACE (Building Resilience With Active Counter Cyclical Expenditures) Program Kay Mutabiq Government Of Pakistan Kay Account Main Loan Ki Yeh Raqm Agaei Hai. Iss Loan Ka Maqsaad Social Protection Ko Barhana Aur Mustahiq Afraad Ki Madaad Kerna Hay. Iss Kay Ilawa Iss Loan Say Food Security Aur Mulk Mai Rozgaar Kay Mawaqay Barhai Jaein Gay. ADB Say 1.5 Billion Dollar Loan Milnay Kay Baad Pakistan Kay Forex Reserve 9 Billion Dollar Taak Barh Gaei Hain Jo Kay Iss Say Pehlay 7.6 Billion Dollar…

مزید پڑھیں

Kiya Pakistan Default Kay Risk Per Agaya Hay? 5 Saal Kay Credit Default Swap (CDS) Say Measure Kiye Gaei Adadou Shumaar Kay Mutabiq, Tuesday Ko 3.07 % Points Upar Chala Gaya Jo Kay 13 Saal Ka Buland Tareen Figure hay. February 2020, Pakistan Main Covid-19 Kay Pandamic key Doraan CDS 5% Say 6% Darmiyan Tha. Iss Saal Jab IMF Loan Program Ki Taraf Say Kuch Khas Support Nazar Nahe Arahi, Taab tab Yeh 30% Tak Pohanch Gaya Tha. CDS Thora Bauhat Uss Waqt Recover Hoa Jaab Global Lender Nay Apnay 6.5 Billion Dollar Kay Program Ko Dobara August 2022 Shuru…

مزید پڑھیں

Pakistan Main Mini SUVs Ka Competition Barhnay Wala Hai. Honda Company Nay Taweel Intezaar Kay Baad, World Famous SUVs Ki Brand New Series Ka Ilaan Kerdia Hay. Iss Ko Honda HR-V 2022 Ka Naam Diya Gaya Hay. Honda Nay Claim Kiya Hay Kay HR-V Kay Fuel Consumption: 17 km/litre Hay . Iss May 4 Air bags Aur Lane Keep Assist Ka Feature Bhi Hay. Iss Kay Elawa Electronic Parking Brake, Rear AC Vents Samait Aur Bhi Kai Features Iss Main Maujoud Hain. Iss Ki Expected Qeemaat PKR 7000,000 Hai. Aab Dekhna Yeh Hay Kay Market May Pehlay Say Maujod MG…

مزید پڑھیں